Friday 3 May 2013

5th May 2013, 6th Sunday of Easter C


Páshká ká chhaṭhá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Yasa‘iya) Is 48: 20
Khush alháni ke sáth is bát kí khabar do aur mashhúr karo
zamín kí intihá tak is ká e‘lán karo,
aur kahte jáo ki Khudáwand ne apne logon ko riháí bakhshí
 Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Masíh Khudáwand murdon men se zinda húá
‘ináyat kar ki shádmání kí in dinon
Jo pák ‘ibádaten ham us kí ‘izzat men ádá karte hain
Un ko ‘aqídat aur garm-joshí ke sáth adá karen
Táki ham apní naját ka silsilah ke tamám wáqi‘át par g̣haur karen
Aur un ke mutábiq ‘amalí taur par apní zindagíán guzáren
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 15:1-2.22-29
Kyúnki Rúhu’l Quds ne aur ham ne munásib jáná, ki in zarúrí báton ke siwá, tum par aur bojh na ḍálen.

Us waqt ba‘z log Yahúdiya se á kar bháiyon ko ta‘lím dene lage, ki agar Músá kí sunnat ke muwáfiq tumhárá khatna na ho, to tum naját nahín pá sakte. Pas  jab Paulús aur Barnabás kí un se baṛí takrár aur bahs húí, to yih ṭhahráyá gayá, ki Paulús aur  Barnabás, aur dúsron ne chand ashkhás is mas’ale kí bábat rasúlon, aur káhinon ke pás Yarúshalem ko jáen.
Tab rasúlon aur káhinon ne sárí kalísiyá samet munásib jáná, ki apne men ba‘z shakhsh chun kar, Paulús aur Barnabás ke sáth Athákiya ko bhejen, ya‘ní Yahúdáh ko jo Barsabá kahlátá hai, aur Sílás ko jo bháiyon men muqaddam the: aur in ke háth yih likh bhejá, ki
Un bháiyon ko jo Athákiya, aur Súriya, aur Kilikiya men g̣hair qaumon men se hain. Un ke rasúlon aur káhin bháiyon kí taraf se alsalám.Chúnki ham ne suná hai, ki ham men se ba‘z ne jinhen ham ne hukm nahín diyá thá já kar tumhen apní báton se ghabrá diyá hai, aur tumháre dilon ko pareshán kiyá hai. Is liye ham ne ek dil ho kar ansab samjhá, ki ba‘z ádmíon ko chunen, aur apne mu‘azzazín Barnabás aur Paulús ke hamráh tumháre pás bhejen.
Yih donon aise ádmí hain, jinhon ne apní jánen hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke nám par nisár kar rakkhí hain. Pas ne Yahúdáh aur Sílás ko bhejá hai, aur wuh yih báten zubání bhí bayán karenge. Kyúnki Rúhu’l Quds ne aur ham ne  munásib jáná, ki in zarúrí báton ke siwá, tum par aur bojh na ḍálen, ki tum buton ke chaṛháwon, aur lahú, aur galá ghonṭe húe jánwaron aur harámkárí se parhez karo, agar tum in báton se kinára karoge, to khúb karoge, walsalám.  

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 67 (66):2-3, 5-6, 8 Jamá‘ati jawáb áyat: 4
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudá, qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
or
Hallelujah

Khudá ham par rahm kare aur hamen barkat bakhshe
Wuh apná chihra ham par jalwagar farmáe, táki zamín par us kí ráh kí
Aur tamám qaumon men us kí naját kí pahchán ho
Ai Khudá, qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
Ummaten shád hon aur khushí manáen
Kyúnki tú rástí se qaumon par hukúmat
Aur zamín par ummaton kí hidáyat kartá hai
Ai Khudá, qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
Ai Khudá, qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen
Khudá hamen barkat ‘atá farmáe
Aur kul hudúd-i jahán us ká khauf kháen
Ai Khudá, qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.

Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa kí Kitáb) Revelation 21:10-14.22-23
Us ne mujhe muqaddas shahr ko ásmán se utarte dikháyá.

Us waqt firishta mujhe wajd kí hálat men ek baṛe aur únche pahár par le gayá, aur us ne us muqaddas shahr Yarúshalem ko ásmán pr se Khudá ke pás se utarte dikháya. Us men Khudá ká jalál thá, aur us kí raushaní niháyat besh-qímat patthar, ya‘ní billaurí yashb kí sí thí, aur us kí díwár baṛí, aur buland thí, aur us ke bárah darwáze the, aur un darwázon par bárah firishte the, aur un par nám likhe húe the, aur wuh baní Isráel ke bárah qabílon ke nám the. Mashriq kí taraf tín darwáze, aur shimál kí taraf tín darwáze, aur junúb kí taraf tín darwáze, aur mag̣hrib kí taraf tín darwáze the. Aur us shahr kí díwár kí bárah bunyáden thín, aur un par Barre ke bárah rasúlon ke bárah nám likhe húe the.
Main ne us men koí haikal na dekhí; is liye ki Khudáwand Khudá Qádir i Mutlaq, aur Barra us kí haikal hain. Aur wuh shahr súraj, aur chánd ká muhtáj nahín, ki wuh use raushan karen; kyúnki Khudá ke jalál ne use raushan kar rakkhá hai, aur barrah us ká chirág̣h hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn14:23
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú ne farmáyá agar koí mujhe piyár kartá hai
to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 14:23-29
Rúhu’l Quds jo kuchh main ne kahá hai, tumhen yád diláegá.

Us waqt se Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá, agar koí mujhe piyár kartá hai, to wuh mere kalám par ‘amal karegá. Aur merá Báp bhí use piyár karegá. Aur ham us ke pás áenge, aur us ke hán apná maqám karenge. Jo mujhe piyár nahín kartá, wuh merí báton par ‘amal nahín kartá, aur jo kalám tum sunte ho, wuh merá nahín, balki Báp ká hai, jis ne mujhe bhejá hai.
Main ne yih báten tumháre sáth hote húe tum se kahín, lekin wuh wakíl ya‘ní Rúhu’l Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumhen sab báten sikháegá, aur jo kuchh ki main ne tum se kahá hai, tumhen yád diláegá. Main tumhen salámatí diye játá hún, apní salámatí tumhen detá hún, jis tarah duniyá detí hai, usí tarah main nahín detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare. Tum sun chuke ho ki main ne tum se kahá ki main játá hún, aur ki tumháre pás phir átá hún. Agar tum mujhe piyár karte, to khush hote, ki main Báp ke pás játá hún kyúnki Báp mujh se baṛá hai. Aur ab main ne tum se is ke hone se peshtar kah diyá hai, táki jab ho jáe to tum ímán láo. 

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki pesh kiye húe nazránon ke sáth
Hamárí du’áen bhí tere hazúr pahunchen
Táki ham terí baṛí shafqat kí besh-qímat ni‘maten pá kar
Un ke muwáfiq chalen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 14: 15-16
Khudáwand farmátá hai
ki agar tum mujhe piyár karte ho, to mere hukm máno
aur main Báp se darkhwást karúngá aur wuh tumhen dúsrá wakíl bakhshegá
jo abad tak tumháre sáth rahegá. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Qádir-i-mutlaq aur abadí Khudá
Tú Masíh ke jí uṭhne ke zarí‘a
Hamesha kí zindagí ke liye hamen bahál kar detá hai
Ham men hamáre Khudáwand ke marne
Aur phir jí uṭhne ká phal kasrat se paidá kar
Aur hamáre dilon men naját bakhsh ásmání g̣̣hizá kí táqat bhar de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment