Thursday 9 May 2013

12th May 2013, The Ascension of the Lord


‘Íd -i- Su‘úd

At the Mass during the day

khilah (Entrance Antiphon): (A‘mál) Acts 1: 11
Ai Jalílí mardo, tum kyún khaṛe ásmán kí taraf dekhte ho?
Jis tarah tum ne use ásmán par játe dekhá hai, usí tarah wuh phir áegá, Hallelujah.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Masíh terá Beṭá ásmán par já kar hamen wuhí ráh ikhtiyár karne ke qábil ṭhahrátá hai
Jahán hamárá ráhbar jalál ke sáth ham se pahle chalá gayá
Wahán yaqíní ummed hamen bhí bulá letí hai
Bakhsh de ki ham khush ho kar áj kí Pák ‘Íd manáen
Aur apní Pák ummed ká púrá honá dekhne páen
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 1:1-11
Wuh un ke dekhte hí dekhte úpar uṭhá liyá gayá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 46:2-3,6-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Jamá‘ati jawáb:
Khudá khushí ke na‘re ke sáth
Khudáwand turhí áwáz ke sáth su‘úd hotá hai.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke nám) Ephesians 1:17-23
Use ásmán par apní dahiní taraf biṭháyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Or
(‘Ibráníon ke nám Khatt) Hebrews 9:24-28.10:19-23
Masíh haqíqí maqdis menkhil húá

Hallelujah: cf. (Matí) Mat 28:19, 20
Hallelujah, Hallelujah,
Jáo já kar sab qaumon ko shágird banáo,
Main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún.
 Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 24:46-53
Jab wuh unhen barakt de rahá thá to ásmán par uṭháyá gayá

Aur un se kahá ki yún likhá hai, ki Almasíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdon men se jí uṭhegá, aur Yarúshalem se shurú‘ kar ke sab qaumon men us ke nám se gunáhon ki mu‘áfí ke liye tauba kí munádí kí jáegí. Tum hí in báton ke gawáh ho. Dekho, main apne Báp ká mau‘úd tum par názil karúngá jab tak tum úpar se quwwat se mullabas na ho, shahr men ṭhahro.
 Tab wuh unhen báhar Bait ‘aniyá kí taraf le gayá, aur apne háth uṭhá kar unhen barkat dí. Aur aisá húá, ki jab wuh unhen barkat de rahá thá, to un sé judá ho gayá, aur ásmán par uṭháyá gayá. Aur wuh use sijda karke, baṛí khushí se Yarúshálem ko wápas chale gaye, aur bilánág̣hah haikal men Khudá kí hamd karte rahe.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tere Beṭe ke mubárak Su‘úd kí yád men
‘ájizánah iltijá ke sáth yih qurbání nazr kar rahe hain
Bakhsh de ki yih niháyat Pák ‘ibádat
Hamen ásmán kí chízon kí tamanná diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Matí) Mat 28:20
Main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Qádir-i-mutlaq aur azlí Khudá
Ham abhí is duniyá men rahte hain
Phir bhí tú a‘la chízen hamáre háthon men detá hai
‘ináyat kar ki Masíhí ‘aqídat ká ehsás
Hamen us taraf le jáe
Jahán Masíh men hamárí hí insániyat ab bhí tere pás hai
Ham tujh se yih du‘á karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment