Thursday 28 March 2013

Jesus Washes His Disciples' Feet John 13:1-17



‘Íd i Fasah se pahle, Yisú‘ yih jánte húe, ki merá waqt á pahunchá hai ki duniyá se rihlat kar ke Báp ke pás jáún, jab ki apnon ko jo duniyá men the piyár kartá thá, unhen ákhir tak piyár kartá gayá.

Aur shám ká kháná kháte waqt, jab ki shaitán ne Yahúdáh bin Sham‘aún Iskharyotí ke dil men ḍálá thá, ki use pakaṛwáe, yih jánte húe ki Báp ne sab chízen mere háth men kar dí hain, aur ki main Khudá se niklá aur Khudá ke pás játá hún. Us ne kháne se uṭh kar apná libás utárá aur ek katání kapṛá le kar apní kamar men bándhá. Aur us ke ba‘d básan men pání ḍál kar, shágirdon ke pánw dhoe, aur jo katání kapṛá kamar men bándhá thá, us se ponchhne lagá. Pas wuh Shama‘ún Patras ke pás áyá. Is ne us se kahá; ai Khudáwand, kyá tú mere pánw dhotá hai? Yisú‘ ne jawáb men us se kahá, ki jo kuchh main kartá hún ab tú nahín jántá magar ba‘d men samjhegá. Patras ne us se kahá, ki tú mere pánw abad tak kabhí dhone na páegá. Yisú‘ ne use jawáb diyá agar main tujhe na dhoún, to mere sáth terá hissa na hogá.  Shama‘ún Patras ne us se kahá, ki ai Khudáwand, sirf mere panw hí nahín, balki mere háth aur merá sir bhí. Yisú‘ ne us se kahá, wuh jo nahá chuká hai, use dhone kí hájat nahín, balki sarásar pák hai, tum bhí pák ho, lekin sab ke sab nahín. Chúnki wuh apne pakaṛwánewále ko jántá thá, is liye  us ne kahá ki tum sab pák nahín ho.

Pas jab wuh un ke pánw dho chuká, aur apne kapṛe pahin kar phir baiṭh gayá, to un se kahá, ki kyá tum samajhte ho ki main ne tumháre sáth kyá kiyá hai? Tum mujhe Ustád aur Khudáwand kahte ho, aur khúb kahte ho, kyúnki mainn. Pas jab main ne Ustád aur Khudáwand ho kar tumháre pánw dhoe, to cháhiye ki tum bhí ek dúsre ke panw dhoyá karo. Is liye main ne tumhen namúna diyá hai, táki jaisá main ne tumháre sáth kiyá, waisá hí kiyá karo. Main tum se sach sach kahtá hún, ki g̣hulám apne málik se baṛá nahín hotá, aur na bhejá húá bhejnewále se baṛá hotá hai. Agar tum yih báten samajh kar un par ‘amal karte ho, to tum mubárak ho. (Yúhanná)  John 13:1-17
---
To find out more about Holy Thursday click here

Prepare your heart to celebrate the Sacred Triduum with “The Hour” an interview with Dr. Scott Hahn on the Paschal Mystery. Click here

Check out The Sacred Page post The Last Supper and the Forgiveness of Sins and the Podcast: Holy Thursday Podcast: Dr. Brant Pitre on the Date of the Last Supper

Leroy Huizenga on the Last Supper and Priesthood Imagery

No comments:

Post a Comment