Friday, 8 March 2013

10th March 2013, 4th Sunday of LentRozon ká Chauthá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
(Isha‘yá ) cf. Isaiah 66:10-11
Yarúsalem ke sáth khushí karo,
Aur us ke sáth shádmán ho.
Tum sab jo us se muhabbat rakhte ho,
Musarrat se ma‘múr ho kar naghma saráí karo.
Tum sab jo mátam karte ho, aur tasallí pá kar ásúda ho

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir Khudá
Tú hairán kun taríqe se apne Kalme ke zarí‘e
Insání zát ko shifá detá hai
Apní Masíh qaum ko sargarm muhabbat aur pur-josh ímán ‘ináyat kar
Táki wuh kámil shauq se Páshká kí ‘Íd manáne ke liye apne áp ko taiyár kare
Ham tujh se yih iltijá karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings

Pahlí Tiláwat: 
(Iushua‘ Nabí kí Kitáb) Joshua 5:9-12
Khudá kí qaum mau‘údah mulk menkhil hone par ‘íd i fasah manátí hai

Zabúr: Ps 33:2-7 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Jamá‘ati jawáb: Chakho aur dekho ki Khudáwand kaisá bhalá hai

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dúsrá Khatt Qurintíon Ke Nám) 2 Corinthians 5:17-21
Khudá ne Masíh ke wasíle dunyá ko apne sáth milá liyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Lúqá) Luke 15:18
Main uṭh kar apne báp ke pás jáúngá aur us se kahún
Ki ai báp main ne ásmán ká aur terí nazar men gunáh kiyá hai.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Lúqá mutábiq) Luke 15:1-3.11-32
Yih terá bháí murda thá, ab zinda ho gayá hai

Us waqt muhassil aur gunahgárYisú‘ ke pás áe the, táki us kí sunen. Aur Farísí aur faqíh yún kahte húe i‘tiráz karte the ki, yih gunahgáron se miltá, aur un ke sáth kháná khátá hai. Tab us ne un se yih tamsíl kahí ki, kisí shakhs ke do beṭe the. Un men se chhoṭe ne báp se kahá, ai báp mál ka wuh hissa jo mujhe átá hai, mujhe de. Us ne mál unhennṭ diyá. Aur bahut din na guzre , ki chhoṭá beṭá sab kuchh jama‘ kar ke dúr daráz mulk ko rawána húá, aur wahán us ne apná mál aubáshí men uṛá diyá. Aur jab sab kharch kar chukka, to us mulk men sakht kál paṛá. Aur wuh muhtáj hone lagá. Tab us mulk ke ek báshinde ke hán já paṛá: us ne apne kheton men súar charáne bhejá. Aur wuh cháhtá thá ki un chhilkon se jo súar kháte the, apná peṭ bhare; magar koí use na detá thá.
  Tab us ne hosh men á kar kahá, ki mere báp ke kitne mazdúron ko bahut roṭí miltí hai, aur main yahán bhúká martá hún. Main uṭh kar apne báp ke pás jáúngá aur us se kahúngá, ki ai báp main ne ásmán ká aur terí nazar men gunáh kiyá hai. Ab is láiq nahín rahá ki phir terá beṭá kahláún; mujhe apne mazdúron men se ek kí mánind baná.
  Aur uṭh kar wuh apne báp ke pás chalá, aur abhí wuh dúr hí thá, ki use dekh kar us ke báp ko tars áyá, aur dauṛ kar use gale lagá liyá aur mukarraran chumá. Beṭe ne us se kahá, ki ai báp, main ne ásmán ká aur terí nazar men gunáh kiyá hai, aur ab is láiq nahín rahá ki phir terá beṭá kahláún. Magar báp ne apne g̣hulámon se kahá, ki jaldí se achchhí se achchhí poshák nikál láo aur use pahináo, aur us ke háth men angúṭhí aur pánw men jútí pahináo. Aur pale húe bachhṛe ko lá kar zabh karo, ki ham kháen aur khushí manáen; kyúnki merá yih beṭá murda thá, ab zinda ho gayá hai; kho gayá thá, ab milá hai. Pas wuh khushí karne lage.
  Aur us ká baṛá beṭá khet men thá, jab wuh ghar ke nazdík áyá to rág aur náchne kí áwáz suní. Tab ek g̣hulám ko bulákar púchhá ki yih kyá hai? Is ne us se kahá, terá bháí áyá hai, aur tere báp ne palá húá bachhṛá zabh kiyá hai, is liye ki use sahih salámat páyá. Us ne khafá ko kar na cháhá ki andar jáe. Magar us ká báp báhar á kar use manáne lagá. Us ne jawáb men apne báp se kahá, dekh itne barason se main terí khidmat kartá rahá aur kabhí tere hukm ke khiláf na chalá, magar tú ne kabhí ek bakrí ká bachcha bhí mujhe na diyá ki main apne doston ke sáth khushí manáún. Magar jab terá yih beṭá áyá, jis ne apná mál kasbíon men uṛáyá. To tú ne us ke liye palá húá bachhṛá zabh kiyá. Us ne us se kaha beṭá, tú hamesha mere pás hai aur jo kuchh merá hai wuh terá hí hai. Lekin khushí manáná aur shádmán honá wájab thá, kyúnki terá yih bháí murda thá, ab zinda ho gayá hai, kho gayá thá, ab milá hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham yih hadíye jo hamárí abadí naját ke wasíle banenge
Khushí ke sáth tere hazúr láe hain
Ham tujh se iltijá karte hain yih ‘atá kar ki
Ham púre bharose se in pák chízon ká ihtirám karen
Aur duniyá kí naját ke liye Eukharistí ‘ibádat ko láiq taur par ‘amal men láen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Lúqá) Luke 15:32
Beṭá tujhe shádmán honá cháhiye, kyúnki terá bháí mar gayá thá, phir zinda ho gayá, wuh kho gayá thá, par wuh phir milá.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú har insán ko jab wuh is duniyá men átá hai munawwar kartá hai
Ham tujh se minnat karte hain
Ki tú hamáre dilon ko bhí apne shándár fazl se raushan kar
Táki ham hamesha wuhí sochen
Jo tujh ‘azím Khudá ke nadík pasandída aur qabúl ho
Aur ham dil kí sachcháí ke sáth tujhe piyár karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment