Thursday 29 November 2012

Advent Wreath Prayers in Urdu (Roman Script)

Ámad Ke Áyyam Kí ‘Ibádat



Ta‘áruf (Introduction)

Ámad ke din Yisú‘ Masíh is dunyá men áne kí taiyár ke din hote hain. Is liye sab Masíhíon ká farz hai ki wuh apne dilon, khándádon aur máhol ko Yisú‘ ke liye taiyár karen. Ámad kí taiyárí ke liye kalísiyá men phúlon sabz patton aur chár mumbattíon se sajáyá játá hai. Dáira yá pahiya is liye istai‘mál kiyá játá hai, kyúnki ye dáimí zindagí ká nishán hai, harí  shákhen zindagí kí nash-o-namá kí ‘alámat hai, chár mumbattían gunáh ke andhere ko dúr karne aur Yisú‘ ke intizár kí ‘alámat hain. Is rasm ko pur ma‘ni, aur bá-maqsad banáne ke liye ye ‘ibádat murattab kí gayí hai táki du‘á aur ‘ibádat ke zarí‘e ham apne áp ko Yisú‘ kí Ámad ke liye bihtar taur par taiyár kar saken.

Ágaz-i ‘ibádat Ámad ke gít se kiyá jáe

Gít

Sarbaráh:     Hamárí madad Khudáwand ke nám se hai
Sab:             Jis ne ásmán aur zamín ko banáyá

Sarbaráh:     Ham du‘ángen

Ai Khudáwand tú jo zindagí denewálá hai, phúlon kí is malá ke sabz patton kí tara bhí nayí aur táza zindagí ‘atá kar táki ham bhí apne aur dúsron ke liye zindagí ká nishán ban jáen

Sab:             Ámín

(Sarbaráh  phúlon kí is malá paní chhirktá hai aur sab se chhoṭá bachcha mumbattí jalátá hai aur yih du‘á paṛhí játí hai)

Sarbaráh:     Ham du‘á karen:

Ai Khudáwand ham tujh se iltijá karte hain ki apne núr kí raushní ham par ḍál táki ham is núr se un chízon se mahfúz rahen jin se ham is mulk men rahte húe ghabŕate hain be-bas aur áqalliyyat hone ká ihsás bakhsh ki ham tujh se hamesha quwwat páen tú jo zinda rahtá aur saltanat kartá hai.

Sab:             Ámín

Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah 7:11-14
(Isaiah nabí sát sau sál pahle Masíh kí mu‘ jizanah paidáish kí peshín-goi kartá hai)

Injíl I Muqaddas: (Matí) Matthew 1:1-17
(Masíh Dáúd kí nasal se paidá húá)

Dhiyán aur shukrguzárí
Tiláwaton ki ba’d kuch der ke liye khámoshí men Kalám par dhiyán karen

Sarbaráh:     Ham du‘á karen

Ai Khudáwand ham tere niháyat shukrguzár hain ki tú Pák Kalám aur mumbattí kí raushní kí ‘alámat ke zarí‘e, hamáre dilon men áyá táki hámarí zindagí ke sab andhere dúr ho jáen. ‘atá kar ki ham har roz apne dilon ko tere liye taiyár karen táki baṛe din kí ‘Íd ko apní zindagí se pur-ma‘ni baná saken. Tere Pák nám ke wasíle se. Ámín.

Sab:             Ai hamáre báp, Salám ai Mariyam, Jalál Báp aur Beṭe….

Ákhrí Gít

(Ámad ke dúsre tísre aur chauthe hafte ke liye mundarajah zail Tiláwaten paṛhen)

Ámad ke dusrá haftah:

Pahlí Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah 9:1-7
(Yisú‘ aman, insáf, aur Salámatí ká Sháhzáda)

Injíl I Muqaddas: (Lúqá) Luke 1:5-25
(Yúhanná kí paidáish kí khushkhabarí)

Ámad ke tísrá haftah:

Pahlí Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah 40:1-5
(Khudáwand kí ráh taiyár aur hamwár karne kí talqín)

Injíl I Muqaddas: (Matí) Matthew 3:1-12
(Yúhanná Isha‘yá kí peshín-goi ko púrá kartá hai)

Ámad ke chauthá haftah:

Pahlí Tiláwat: (Míkáh) Micah 5:1-6
(Yisú‘ kí paidáish ki taraf Ishára)

Injíl I Muqaddas: (Lúqá) Luke 1:39-56
(Muqaddasa Mariyam khidmat ká a namúna)

No comments:

Post a Comment