Friday 9 November 2012

11th November 2012, Thirty Second Sunday in Ordinary Time B

Updated
Sál ke daurán battíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 87:3
Ai Khudáwand merí du‘á ko apne hazúr men pahunchne de.
Mere chilláne par apne kán lagá.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(1Mulúk kí kitáb) 1 Kings 17:10-16
Bewa ne ek chhoṭí ṭikkiyá banáí aur Iliyás ke pás láí

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 145:6-10 Jamá‘ati jawáb áyat:2
Ai merí ján Khudáwand kí hamd kar

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘IbráníoKe Nám) Hebrews 9:24-28
Masíh ek hí bár bahuteron ke gunáh utháne ke liye qurbán húá
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation)
Hallelujah: (Mukáshafa) Rev 2:10
Hallelujah, Hallelujah
Khudáwand farmátá hai:
Agar tujhe ján bhí dení paṛí tú wafádár rah
Main tujhe zindagí ká táj dúngá.
Hallelujah
OR
Hallelujah: (Matí) Matthew 5:3
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hain wuh jo rúh ke gharíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 12:38-44
Is kangál bewa ne sab se ziyáda ḍálá hai

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 22:1-2
Khudáwand merá chaupán hai, mujhe kamí nahín.
Wuh mujhe harí harí charágáhon men biṭhátá hai:
Wuh mujhe ráhat kí nadíon ke pás le játá hai.
OR
(Lúqá) Luke 24:35
Shágirdon ne roṭí toṛne ke waqt Khudáwand Yisú‘ ko pahcháná.

...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
Dr. Michael Barber "Widows,Miracles and Sacrifice" (Sunday Readings Podcast for 11/11/12)

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

 Reflecting on the Gospel for the Thirty-second Sunday in Ordinary Time, From The Gospel of Mark by Mary Healy, reflecting on Mark 12:41-44 click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment