Celebrating the Feast of The Holy Family is a reminder for us to look and reflect on our own families. Living out a Christian family life is a powerful witness to the world of God’s love for us revealed in Christ. The Holy Family of Nazareth is the model for all families.
Pák Khándán kí ‘Íd A,B,C
A
Dákhilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us
nanhe bachche ko charní men pará páyá
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Parwardigár
Khudá
Terí taraf se Pák
Khándán hamare liye ek
bahut piyárá namúna baná hai
Apne karam se
bakhsh de
Ki ham is Khándán
kí gharelu nekíon aur báhmí mahabbat kí taqlíd karte húe
Shádmání ke
sáth tere hí ghar men abdí in‘ám ká lutf uṭháen
Masíh hamáre Khudáwand
ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l
Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
Yisú‘ bin Sirákh 3:2-6, 12-16 (Ecclesiasticus 3:2-6.
12-14)
Jo koí Khudáwand se dartá hai. Wuh apne man
báp kí ‘izzat kartá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 127: 1-5 Jamá‘ati jawáb
áyat: 1 (Psalm 127:1-5)
(Jamá‘ati jawáb) Mubárak hain wuh jo Khudáwand
se darte hain, aur us kí ráhon par chalte hain.
Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon Ke
Nám 3:12-21 (Colossians 3:12-21)
Khándáni zindagí….Khudá men
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke mutábiq) Matthew 2:13-15, 19-23
Bachche aur us kí mán ko sáth lekar Misr ko bhág
já
Injíl I
Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand
hamáre Khudá
Ham kaffáre
kí qurbání tere hazúr guzránte húe
tujh se minnat
karte hain
Ki Khudá
kí Kunwarí Mán aur Muqaddas Yúsuf kí sifárishon kí badaulat
tú hamáre gharánon ko apne fazl aur salámatí men hamesha
qáim rakh.
Masíh
hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.
Pák
Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)
Hamará Khudá
zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán chalá phirá
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after
Communion)
Ai niháyat mihrbán
Báp
Tú hamen
apní ásmání chízen bakhsh kar rúhání sihhat ‘atá kartá
hai
Yih bhí
‘ináyat farmá ki ham
Har waqt Pák Khándán
ká namúna apní nigáhon ke áge rakhte húe
Ún tínon
Mubárak hastíon kí pairawí karke
Is duniyá kí
musíbaten sabr ke sáth ss ke ba‘d
In
hí kí dáimí rifáqat kí shádmání hásil karen
Masíh
hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.
B
Dákhilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us
nanhe bachche ko charní men pará páyá
Pahlí Tiláwat:
Takwin 15:1-6; 21:1-3
Terá wáris tere sulb se paidá hogá
Zabúr 104: 1-6. 8-9. Jamá‘ati jawáb áyat: vv.7.8
(Psalm 104:1-6,8-9)
Wuhi Khudáwand hamará Khudá hai
wuh abd tak apne ‘ahd ko yád rakhtá hai
Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon) Hebrews 11:8. 11-12. 17-19
Ibráhím, Sáráh, Izháq ká Ímán
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 2:22-40
Bachcha baṛhtá aur mazbút hotá gayá aut hikmat se ma‘múr thá
Injíl I
Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)
Hamará Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán
chalá phirá
C
Dákhilah (Entrance Antiphon): Luke 2:16
Charwáhon ne jaldí se jákar Mariyam aur Yúsuf ko aur us
nanhe bachche ko charní men pará páyá
Pahlí Tiláwat:
1 Samúel 1:20-22. 24-28 (1 Samuel 1:20-22. 24-28)
Zabúr 83: 2-3. 5-6. 9-10. Jamá‘ati jawáb áyat: 5
Ai Khudáwand mubárak hain jo tere ghar men
rahte hain
Dusrí Tiláwat:
1Yúhanná
3:1-2. 21-24 (1John 3:1-2. 21-24)
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq 2:41-52 (Luke 2:41-52)
Yisú‘ ke mán báp ne use ustádon ke darmiyán
baiṭhá páyá
Injíl I
Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bárúk 3:38 (Baruch 3:38)
Hamará Khudá zamín par nazar áyá aur ádam-zád ke darmiyán
chalá phirá
--------------------------
For a good reflection see
The Holy Family: Model for the Modern World by Fr. John A. Hardon, S.J.