Monday, 12 December 2011

The Benedictus


The Benedictus also called Canticle of Zechariah can be found in the Gospel of St. Luke 1:68-79. This Hymn of praise is part of the Morning Prayer (Liturgy of Lauds).

A good Meditation and Catechesis on the Benedictus by Blessed John Paul II can be found here


Zakaryáh ká gít. (Luke 1:68-79)                                                   


Mubárak ho Khudáwand Khudá-e Isráíl
Kyúnki us ne tawajjuh karke
apní ummat ko makhlasí bakhshí

Aur us ne apne bande Dáúd ke gharane men
Hamáre liye qarn-e naját nasb kiyá
Jaisá us ne apne un ambiyá-e pák ke mun se kahá thá
Jo qadím se hote áe hain

Ki us ne hamen hamáre dushmaon se
Aur hamáre sab kína-waron ke háth se naját dí
Aur ki us ne hamáre bápdádá par rahm kare
Apne pák ‘ahd ko yád farmáyá

ya‘ní us qasam ko jo us ne
hamáre báp Ibráhím se kháí thí
ki wuh hamen yih ‘ináyat farmáe ga
ki apne dushmanon ke háth se riháí pákar
ham bekhauf us kí khidmat karen
us ke huzúr apne kull áyyam
pákízagí aur sadáqat ke sáth

aur tú ai bachche
Haq ta‘álá ká nabí kahláegá
kyúnki tú Khudáwand ke áge áge
us kí ráhen taiyár kartá jáegá
taki un ke gunáhon kí mu‘afí se
us kí qaum ko naját kí  ma‘rifat diláe
hamáre Khudá kí us ‘ain rahmat kí wajh se
jis ke sáth ‘alam-i-bálá kí fajr ham par áegí
taki unhen raushní bakhshe
jo tárikí aur maut ke sáye men baiṭhe hain
aur hamáre qadamon
salamt́i kí ráh men hidáyat kare

No comments:

Post a Comment