Tuesday, 27 December 2011

Saint John, Apostle and Evangelist



December 27, The Feast of St. John the Apostle, Evangelist


John, the son of Zebedee and brother of James (Matt. 4:21-22; Mark 1:19-20; Luke 5:10-11). John was one of the Twelve Apostle (Matt. 10:2; Mark 3:17; Luke 6:14; Acts 1:13).

Muqaddas Yúhanná Injil Navís ki ‘Íd

(Muqaddas Yúhanná Rasúl ká pahlá khatt) 1 John1:1-14

Ai mere bachcho,
Zindagí ke Kalám kí bábat, jo shurú‘ se thá,
jise ham ne suná,
jise ham ne apní ankhon se dekhá,
jis par ham ne gaur se nazar kí ,
aur  jise hamáre  háthon ne chhúá ;
(kyúnki zindagí záhir húí,
aur ham ne use dekhá,
aur ham gawáhí dete hain,
aur tumhe us hamesha kí zindagí kí khabar dete hain
jo Báp ke pás thí aur ham par záhir húí.)
jo kuchh ham ne dekhá aur suná
us kí khabar tumhen dete hain,
táki tum bhí hamáre sath rafáqat rakho
aur hamarí rafáqat Báp ke sáth,
aur us ke Bet́e Yisú‘ Masíh ke sáth hai
Aur ham yih báten is wáste likhte hain ki hamárí khushi kámíl ho jáe.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho

No comments:

Post a Comment