Monday, 26 December 2011

Saint Stephen


St. Stephen, the first Martyr, Feast on 26 December



Muqaddas Shahid-i Awwal Istifanus kí ‘Íd

Un dinon men Istifanus, fazl aur quwwat se ma‘múr ho kar, logon men baṛe baṛe mu‘jaze aur karishmay dikháyá kartá thá tab us ‘ibádatkháne se jo Ahrár ká kahlátá hai, aur Qurenion aur Iskandarion aur un men se jo Kilikiya aur Ásiya se the, ba‘z uṭhkar Istifanus se bahs karne lage. Wuh na to us hikmat ká aur na rúh hí ká muqábala kar sake jis se wuh kalám kartá thá.

Wuh yih báten sunte hí apne dilon men jal gaye. aur us par dánt písne lage. Magar us ne Rúhu’l Quds se ma‘múr ho kar, ásmán kí taraf gaur se nazar kí, aur Khudá ká jalál, aur Yisú‘ ko  Khudá ke dahine háth khaṛe húe dekhá
Aur kahá dekho: “main ásmán ko khulá, aur Ibn i Insan ko Khudá ke dahine háth khaṛá dekhta hún.” Is par unhon ne baṛe zor se chillákar apne kán band kar liye, aur ek dil hokar us par lapke aur shahr se báhar nikálkar use sangsár karne lage : aur gawáhon ne apne kapṛe Sháúl námi ek nujawán ke panwon ke pás rakh diye. Pas jab wuh Istifanus ko sangsár kar rahe the to us ne du‘á karke kahá ki “Ai Khudáwand Yisú‘, merí rúh ko qubúl kar.”

(Rasúlon ke A‘mál) Acts 6:8-10,7:54-59


No comments:

Post a Comment