Sunday 18 March 2018

Kyá túne mere Khudáwand ko maslúb dekhá hai?

کیا تو نے میرے خُداوند کو مصلوب دیکھا ہَے؟





Kyá túne mere Khudáwand ko maslúb dekhá hai?
Us ke khún ká qatrah qatrah bahate dekhá hai?

Salíb pah háth us ke pasáre gaye
Háth páon men kíl us ke gáṛe gaye
Kis karb se guzrá wuh us ko kyá túne  dekhá hai?

Salíb ke pás ghamzada má khaṛí rotí thí
Beṭe ko dekh dekh kar wuh áhain bhartí thí
Kyá ghamzada má ko túne rote dekhá hai?

Jánkaní kí hálat men jab maslúb chilláyá
Dhartí kámpí súraj ne apná munh chhupáyá
Kyá zulm ke áge súraj ko kabhí chhupte dekhá hai?

Jis ne ján fidá kí ham pah wuh mohsin kaisá hai
Dushman se bhí piyár kare wuh us ká piyár kaisá hai?
Kyá aisá piyár anokhá túne pahle dekhá hai?

No comments:

Post a Comment