Friday, 4 October 2013

6 October 2013, 27th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán Sattáíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
(Ástir) Cf. Est 4: 17
Ai Khudáwand, sab chízen tere mátahat hain.
Koí nahin jo terí marzí ká muqábala kare.
Tú hí ne sab kuch ya‘ni ásmán, zamín aur jo kuch ásmán ke níche hai khlaq kiyá, Tú hí sab ká Khudáwand hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutlaq aur azlí Khudá
Tú ham par is qadar shafíq aur mihrbán hai
Ki tú apne ‘arz-kunindon kí ummed aur liyáqat se baṛh kar
Inhen apní ni‘maton se málámál kartá hai
Apná rahm ham par názil farmá
Un gunáhon ko mu‘áf kar jin se hamárá zamír ghabrá játá hai
Níz in chízon ká izáfah kar de
Jin ke liye du‘á karte waqt ham ‘arz karne kí jurat tak nahín rakhte
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Habaqqúq nabí kí kitáb) Habakkuk 1:2-3; 2:2-4
Ímán se sádiq zinda rahegá

Ai Khudáwand main kab tak nála karúngá, aur tú na sunegá? Tere huzúr kab tak chilláúngá ki zulm! aur tú na bacháegá? Tú mujhe kyún badkirdárí aur musíbat dikátá hai, ki main sitam, aur zulm par nazar karún, fitna o fasád mere sámne barpá hotá rahtá hai.
Tab Khudáwand ne jawáb men mujh se kahá, ki royá ko qalam-band kar, use lauhon par wazih kar táki jald, aur bá-ásání paṛhá jáe. Kyúnki royá muqarrara waqt ke liye hai, wuh sar-anjám hogá, aur khatá na karegá; agarchi der bhí kare, to bhí intizár karte rahná, kyúnki wuh yaqínan wuqú‘ men áegá, aur tákhír na karegá. Jis ká dil rást nahín dekh wuh kaise faná hotá hai, par ímán se sádiq zinda rahegá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Psalm
Zabúr: Psalm 94: 1-2. 6-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 8
Jamá‘ati jawáb: Kásh áj tum apne dil ko sakht na karo

Áo, ham Khudáwand ke liye nag̣hma pardází karen
apní naját kí chatán ke liye khushí se lalkáren.
Us ke huzúr shukrguzárí karte húe áen
aur gít gáte húe us ke áge khushí ke na‘re máren.
  Kásh áj tum apne dil ko sakht na karo
Áo, ham jhuken, aur sajda karen
Aur apne kháliq Khudáwand ke áge dozánú ho jáen
Kyunki wuhí hamárá Khudá hai  
Aur ham us kí pásbání kí ummat
Balki us kí hidáyat ká gallah hain
  Kásh áj tum apne dil ko sakht na karo
Kásh ki áj tum us kí áwáz suno
tum apne dil ko sakht na karo, jaisá  Maríbah men
Ya jaisá Massah ke din, biyábán men kiyá thá
Jahán tumháre ajdád ne merá imtihán kiyá,
aur mere kámon ko dekh kar bhí mujhe ázmáyá
  Kásh áj tum apne dil ko sakht na karo

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl ká dúsrá khatt Timutáús ke nám) 2 Timothy 1:6-8.13-14
Hamáre Khudáwand kí gawáhí dene se kabhí na sharmá
Ai piyáre farzand: main terí hidáyat kartá hún, ki tú Khudá ke us fazl ko musht‘ail kar, jo mere háth rakhne se tujhe hásil hai. Kyúnki Khudá ne hamen dhashat kí nahín balki qudrat, aur muhabbat, aur tarbiyat kí rúh dí hai. Pas hamáre Khudáwand kí gawáhí dene se, aur mujh se jo us ká qaidí hún, sharmindah na ho, balki Injíl ke liye dukh sahne men sharík ho, us Khudá kí qudrat ke muwáfiq.
Jo sahíh báten tú ne mujh se sunín, un ká naqshah us ímán aur muhabbat ke sáth ḥifz kar rakkh jo Masíh Yisú‘ men hai. Tú Rúhu’l Quds ke wasíle se jo ham men sukúnat pazír hai, us achchhí amánat kí nigahbání kar.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Samúel) 1 Samuel 3:9, (Yúhanná) John 6:69
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand farmá, terá banda suntá hai
Hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain
Hallelujah
Hallelujah: (Patras) 1 Peter 1:25
Hallelujah, Hallelujah
Khudáwand ká kalám abad tak báqí rahtá hai
Yih kalám kyá hai?
Yih wuh kalám hai jis kí khushkhabarí tumhen dí gayí hai
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 17:5-10
Kásh tum men ímán hotá

Ek din rasúlon ne Khudáwand se kahá, ki hamárá ímán baṛhá.  Khudáwand ne kahá, ki Agar tum ráí ke dáne ke barábar bhí ímán rakhte, aur tum is shahtút se kahte, ki jaṛ se ukhaṛ kar samundar men já lag; to tumhárí mántá.
Aur tum men se aisá kaun hai, jis ká ek g̣hulám halwáhá yá charwáhá ho, ki jab khet se áe, to us se kahe, ki jald á kar kháná kháne baiṭh? Balki us se yih na kahe, ki Merá nashtá taiyár kar, jab tak ki main kháún píún, kamar-bastah ho kar merí khidmat kar; us ke ba‘d phir khúd khá pí lená? Kyá wuh us g̣hulám ká is liye ihsán mánegá, ki us ne hukm kí báton kí ta‘míl kí isí tarah un sab báton kí ta‘míl ke ba‘d jin ká tumhen hukm húá, tum bhí, kaho, ki Ham nikamme g̣hulám hain, jo karná ham par wájib thá, wuhí kiyá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tere kahne par yih nazráne tere pás láte hain
Ham láiq khidmat guzárí ká farz adá karte húe
Is Pák ‘ibádat men shámil hote hain
In nazránon ko qabúl kar
Aur is niháyat Pák ‘ibádat ke zarí‘a
Apní naját kí pákízagí hamen ‘ináyat farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Marsiye) Lam 3: 25
Khudá apne muntazir bandon ke liye nek hai,
aur us ján ke liye bhí jo us kí tálib ho.
Or
(1 Qurintíon) Cf. 1 Cor 10: 17
Roṭí ek hí hai, is liye ham jo bahut hain ek hí badan hain.
Ham sab ek hí roṭí aur ek hí piyále men sharík hote hain.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
‘atá kar ke ham is Pák ‘ibádat men sharík  hone se
ásúda ho kar parwarish páen
aur ákhir kár us ke hamshakl banen
Jo hamen is rúhání ghizá men miltá hai aur jo tere sáth
hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.

---
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. Michael Barber on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment