Friday 27 September 2013

29 September 2013, 26th Sunday in Ordinary Time


Sál ke daurán Chhabbíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
(Dániál) Daniel 3:31, 29, 30, 43, 42
Ai Khudáwand jo kuch tú ham par láyá hai aur ham se kiyá hai
tú ne wuh ‘ahd o sadáqat se kiyá hai.
Kyúnki ham ne tujh se ru gardání kar ke gunáh kiyá thá.
Ham ne tere hukmon ko nahín máná thá.
Pas apne nám ká jalál záhir kar,
aur apní intiháí rahmat ke mutábiq ham se sulúk kar.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
Tú ziyáda tar rahm kar ke aur tars khá kar apní qudrat-i Mutlaq záhir kartá hai
Ham par apne kí kasrat názil farmá
Táki ham aise chalen
Ki tere wa‘de hamáre liye púre ho saken
Aur tú hamen apní ásmání barkaton men hissadár baná sake
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat: 
(‘Ámús kí kitáb) Amos 6:1, 4-7
Jo apní masnadon par daráz hote hain, buland áwáz se gáte aur daráz hote hain jaláwatan kiye jáenge

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 145:7-10 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb:  Ai merí ján Khudáwand kí hamd kar
 Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Timutáús ke nám) 1 Timothy 6:11-16
Jin báton kí tujhe tákíd kí gayí hai, un par Khudáwand ke záhir hone tak ‘amal kar.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah 
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah
Hallelujah: (2 Qurintíon) 2 Corinthians 8:9
Hallelujah, Hallelujah
Yisú‘ Masíh daulatmand ho kar
Tumhárí khátir g̣haríb ban gayá
Táki tum us kí g̣haríbí ke sabab se daulatmand ban jáo
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 16:19-31
Tú apní zindagí men achchhí chízen hásil kar chuká, aur usí tarah La‘zar burí chízen, ab wuh tasallí pátá hai, aur tú taṛaptá hai.

Ek din Yisú‘ ne Farísíon se kahá: Ek daulatmand ádmí thá, jo argawání aur mihín kapṛe pahintá, aur har roz ‘aish-o-‘ishrat  kartá thá : Aur La‘zar námí násúron se bhará húá ek bihkárí, us ke darwáze par paṛá húá thá, aur use árzú thi, ki main un ṭukṛon se peṭ bharon, jo is daulatmand kí mez se girte hain : balki kutte bhí  á kar us ke násúr cháṭṭe the. Aur aisá húá, ki wuh bihkárí mar gayá, aur firishton ne use le já kar Ibráhím kí god men pahunchá diyá, aur wuh daulatmand bhí mará, aur dafnáyá gayá, aur jab us ne ‘álam i asfal ke ‘azáb men mubtalá ho kar apní ánkhen uṭháín to dúr se Ibráhím ko dekhá, aur La‘zar ko us kí god men, aur us ne pukár kar kahá, ki Ai báp Ibráhím, mujh par rahm kar, aur La‘zar ko bhej, táki wuh apní unglí ká sirá pání se bhigo kar, merí zubán ṭhanḍhí kare ; kyúnki main is ág men taṛaptá hún. Par Ibráhím ne kahá, beṭá, yád kar, ki tú apní zindagí men achchhí chízen hásil kar chuká, aur usí tarah La‘zar burí chízen: pas ab wuh tasallí pátá hai, par tú taṛaptá hai. Aur in sab báton ke ‘iláwah, hamáre tumháre darmiyán ek baṛá gaṛhá há’il hai: aisá ki jo yahán se tumháre pás jáná cháhen, na já saken; aur na wahán se yahán á saken. Tab us ne kahá, Pas ai báp, main terí minnat kartá hún, ki tú ise mere báp ke ghar bhej: Kyúnki mere pánch bháí hain; wuh unhen ágáh kare, aisá na ho, ki wuh bhí is jáe ‘azáb men á paṛen. Magar Ibráhím ne kahá: Un ke pás Taurát-i-Músá aur saháif-i-ambiyá to hain, wuh un kí sunen. Us ne kahá, Nahín, ai báp Ibráhím! lekin agar koí murdon men se un ke pás jáe, to wuh tauba karenge. Magar us ne us se kahá, ki Jab wuh Taurát-i-Músá aur saháif-i-ambiyá kí nahín súnte, to agar murdon men se koí jí uṭhe, to us kí bhí na mánenge.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai rahím Khudá
Hamen yih taufíq de ki hamárá nazrána terá maqbúl-i nazar ho
Hamáre liye har tarah kí barkat ká chashma baháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 118:49-50
Ai Khudáwand, us kalám ko yád kar jo tú ne apne bande se kiyá hai,
aur jis se tú ne ummed daláí hai.
Merí musíbat men yihí mere liye tasallí ká bá‘is hai.
OR
(1 Yúhanná) 1 Jn 3:16
Ham ne is se Khudá kí muhabbat ko jáná hai
ki us ne hamáre wáste apní  ján de dí
is liye cháhiye ki ham bhí bháiyon ke wáste ján den.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú is Pák ‘ibádat ke zarí‘a hamen
Jismání aur rúhání shifá ‘atá kartá hai
Táki ham jalálí watan men Masíh ke ham mírás banen
Ham usí ke dukh uṭhá kar
Usí kí maut ká e‘lán karte hain
Usí ke wasíle se hamárí iltijá qabúl kar
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
---

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment