Masíh ke Pák Badan aur Khún kí ‘Íd
Corpus Christi
Dákhilah (Entrance
Antiphon): Cf. (Zabúr)
Ps 80: 17
Us ne unhen gehún ká maidah khiláyá
aur chaṭán ke shahd se ser kar diyá
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Mihrbán Khudá
Tú ne is ‘ajíb sákráminṭ ke parde men hamáre liye
Apne piyáre Beṭe ke dukhon kó yádgár chhoṛ dí hai, bakhsh
de ki ham
Us ke Badan aur Khún ke Pák bhedon kí aisí
ta‘zím karen
Ki apne andar mukhlisí ká phal lagátár mahsús karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Takwín kí kitáb) Genesis 14:18-20
Wuh roṭi, aur mai láyá.
Us waqt Malikí-Sádiq, Shálím ká bádsháh roṭí aur mai nikál
láyá. Kyúnki wuh Khudá Ta’álá ká káhin thá. Us ko barkat
de kar kahá:
Ásmán aur zamín ke kháliq Khudáe Ta‘álá kí taraf
se Abrám mubárak ho,
Aur mubárak ho Khudáe Ta‘álá
Jis ne tere dushman tere háth men kar diye
Aur Abrám ne sab chízon ká daswán hissa use diyá.
Pák kalám ke paṛhe
aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 109:1-4 Jamá‘ati jawáb áyat: 4
Jamá‘ati jawáb: Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin
hai
Khudáwand ne mere Khudáwand se kahá, ki merí dahiní taraf
baiṭh
Jab tak ki tere dushmanon ko tere pánwon kí
chaukí na kar dún
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah
par dáiman káhin hai
Khudáwand teri, táqat ká ‘asá Siyyún se baṛháegá
Tú apne dushmanon men hukmrání kar
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah
par dáiman káhin hai
Tere tawallud ke din taqqdas husn-i taqdis men sháhánah táqat
terí hí hai
Tú fajr se pahle shabnam kí mánind mujh se paida húá
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par
dáiman káhin hai
Khudáwand ne qasam kháí hai, aur wuh pachhtáegá nahín
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah
par dáiman káhin hai
Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurintíon ke nám) 1
Corinthians 11:23-26
Jitní bár tum yih
roṭí kháte ho, aur is piyále men se píte ho to Khudáwand
kí maut ká izhár karte ho.
Ai bháiyon!
Yih bát mujhe Khudáwand se pahunchí hai, aur main ne
tum ko bhí pahunchá dí, ki Khudáwand Yisú‘ ne jis rát wuh
pakaṛwáyá gayá, roṭí lí; aur shukhr kar ke toṛí, aur kahá, ki yih
merá badan hai, jo tumhárí khátir hai, tum merí yádgárí ke liye
yih kiyá karo. Aur isí tarah us ne kháne ke ba‘d piyála bhí liyá, aur kahá
ki, Yih piyála mere khún men nayá ‘ahd hai. Jitní bár piyo,
merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. Kyúnki jitní bár tum yih
roṭí kháte, aur is piyále se píte ho to Khudáwand kí maut ká
izhár karte ho, jab tak wuh na áe.
Pák kalám ke paṛhe
aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
(Gospel Acclamation): (Yúhanná) Jn6:51-52
Hallelujah
Hallelujah, Hallelujah
Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe, to hamesha tak zinda rahegá
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 9:11-17
Wuh sab khá kar ser húe
Ek din ek
hujuḿ us ke pichhe gayá aur us ne unhen qabúl kiyá, aur un se Khudá
kí bádsháhí kí báten kartá rahá, aur shifá ke muhtájon
ko shifá deta rahá. Jab din khatm hone lagá, tab un bárah ne á kar
us se kahá, ki hujúm ko rukhsat kar táki ás pás kí bastiyon
aur gánwon men já ṭiken aur kaháne ko páen,
kyúnki ham yahan wirán jagah men hain. Is par us
ne un se kahá; tum hí unhen kháne ko do. Unhon ne kahá, ki
hamáre pás pánch roṭiyon aur do machliliyon ke siwá
aur kuchh nahín hai; magar hán, ham já kar in sab logon
ke liye kháná mol le áen? Kyúnki wuh pánch hazár
mard ke qaríb the. Tab us ne apne shágirdon se kahá: ki unhen
pachás pachás ke daston men biṭháo. Unhon ne usí
tarah kiyá, aur sab ko biṭháyá. Tab us ne un pánch roṭiyon
aur do machliliyon ko le kar ásmán kí taraf dekh kar un par barkat
cháhí, aur toṛ kar apne shágirdon ko detá gayá, ki logon ke
áge rakkhen. Aur un sab ne kháyá aur ser húe; aur un kí bachat
uṭháí gayí, ṭukṛon kí bárah ṭokriyán.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbání se apní Kalísiyá ko aman aur ittihád kí ni‘maten
‘atá kar
Jin kí taraf khufyah taur
par hamáre hadye ishára karte hain
Ham tujh se yih du‘á karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon): (Yúhanná) Jn 6: 57
Is liye ki tum beṭe ho,
Khudáwand
farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
Wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham ek din tujhe rú barú dekh kar
Hamesha ke liye us lutf aur rúhání khushí se ma‘múr hon
Jis ká izhár is zindagí men
Tere Beṭe ke besh qímat badan aur khún lene se hotá hai
Hamárí yih du‘á qabúl farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment