Friday, 17 May 2013

19 May 2013, Pentecost Sunday



‘Íd -i- Pentekust
‘Íd -i- Nuzúl -i- Rúhu’l Quds


khilah (Entrance Antiphon): (Hikmat) Wis 1: 7
Khudáwand kí Rúh se duniyá ma‘múr hai
Us men har chíz samáí húí hai
Wuh har bát ke ‘ilm se wáqif hai
Hallelujah.
(Romíon) Romans 5:5
Jo Rúhu’l Quds hamen bakhshá gayá hai
Usí ke wasíle se Khudá kí mahabbat
Hamáre dilon men undelí gayí hai.
Hallelujah.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat mihrbán Khudá
Áj tú har mulk aur har qaum men sárí Kalísiyá ko
Fazl baṛháne wálí Pák ‘ibádat ke zarí‘e
‘Íd kí khúshíán manáne detá hai
Tamám duniyá par Rúhu’l Quds kí bakhshishen názal farmá
Aur Pák Injíl kí ibtidáí khúsh khabirí men
Jo asar terí a‘la mihrbání ká mahsús húá kartá hai
Us se ab bhí apne muminon ke dilon ko ma‘múr kar de
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 2:1-11
Wuh sab Rúhu’l Quds se bhar gaye, aur bolne lag gaye.

Us waqt jab ‘Íd -i- Khamsín ká din áyá to wuh sab mil kar ek hí jagah men jama‘ the, aur yak-bárgí ásmán se aisí áwáz áí jaise tund hawá ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar , jahán wuh baiṭhe the, gúnj uṭhá, aur ág ke shu‘le kí sí zubánen unhen dikháí dín. Aur judá judá ho kar har ek par ṭhahrín. Aur wuh sab Rúhu’l Quds se bhar gaye, aur dúsrí zubánen bolne lage, jis tarah Rúh ne unhen bolná ‘atá kiya.
          Aur ásmán ke tale kí har ek qaum se Khudá tars Yahúdí Yarúshalem men the. Jab yih áwáz sunáí dí, to hujúm lag gayá, aur log muta‘ajjib húe, kyúnki har ek ko yih sunáí detá thá, ki yih merí hí bolí bol rahá hai. Aur sab hairán ho kar aur muta‘ajjib kar ke ápas men kahne lage: Dekho, yih jo bolte hain kyá sab jalílí nahín? Pas kyún kar ham main se har ek apne apne watan ki, bolí suntá hai? Párthí, aur Mádí, aur ‘Ílámí, aur  Mábain-Alnaihrín aur Yahúdiya, aur Kappádukiya, aur Puntus, aur Ásiya, aur Frújiya, aur Pamfúlia, aur Misr, aur Lúbiya men Qairwán ke ás pás ke ‘iláqe ke báshinde, aur musáfirín-i Rúmá, kyá Yahúdí, kyá nau muríd, aur Kretí, aur ‘Arabí, ham apní apní zubán men unS se Khudá ke ‘ajíb kámon ká bayán sunte hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 103:1,24, 29-31, 34 Jamá‘ati jawáb áyat: 30
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Hallelujah!

Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
Ai Khudáwand tú niháyat ‘azím hai
Ai Khudáwand tere kám kyá hí kasír hain
Zamín terí khalqat se ma‘múr hai
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!
Jab tú un kí ján le letá hai, to wuh faná ho játe hain
Aur apní khák men lauṭ játe hain
Jab tú apní rúh bhejtá hai, to wuh khalq ho játe hain
Aur tú rú e zamín ko nayá kar detá hai
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!
Khudáwand ká jalál abad tak ho
Khudáwand apne kámon se khush ho
Main jo kuchh hún wuh use pasand áe
Main Khudáwand men khush rahún
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon ke nám) 1 Corinthians 12:3-7, 12-13
Ham sabhon ne ek hí Rúh ká baptisma páyá hai.

Ai bháiyo! Main tumhen  jatátá hún, ki jo koí Rúh i Khudá kí hidáyat se bolta hai, wuh nahín kahtá. ki Yisú‘ mal‘ún hai. Aur na koí Rúhu’l Quds ke bag̣hir kah saktá hai, ki Yisú‘ Khudáwand hai.
Pas ni‘maten to tarah tarah kí hain, Magar Rúh ek hí hai. Aur khidmaten bhí tarah tarah kí hain, magar Khudáwand ek hí hai. Aur tásíren bhí tarah tarah kí hain, magar Khudá ek hí hai, jo sab men har tarah se asar paidá kartá hai. Lekin har kisí ko Rúh ká zuhúr fáida ke liye diyá játá hai.
Kyúnki jis tarah badan ek hai, aur us ke a‘zá bahut se hain, aur badan ke sab a‘zá agar-chih bahut se hain, to bhí báham mil kar ek hí badan hain, isí tarah Masíh bhí hai, ki ham kyá Yahúdí, kyá g̣hair quam, kyá g̣hulám, kyá ázád, sab ne ek hí Rúh ke wasíle se ek badan hone ke liye baptisma páyá, aur ham sab ko ek hí Rúh piláyá gayá.  
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah:
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Rúhu'l Quds Á. Apne ímándáron ke dilon ko bhar de
Aur un men apní mahabbat kí ág bhaṛká  
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 20:19-23
Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai, usí tarah main tumhen bhejtá hún. Rúhu’l Quds lo

Usí roz hafte ke pahle din, shám ke waqt, jab us jagah ke darwáze jahán shágird jama‘ húe the, Yahúdíon ke khauf se band the, Yisú‘ á kar bích men khaṛá ho gayá, aur un se kahá tumhen salámatí hasil ho, aur yih kah kar apne háthon aur paslí ko unhen dikháyá. Pas shágird Khudáwand ko dekh kar khush húe. Aur Yisú‘ ne phir un se kahá, tumhen salámatí hasil ho,

Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai,
main bhí usí tarah tumhen bhejtá hún.
Us ne yih kah kar un par phúnká, aur kahá ki
tum Rúhu’l Quds lo.
Jin ke gunáh tum mu‘áf karo
un ke mu‘áf kiye gaye hain;
Jin ke gunáh tum qáim rakkho,
un ke qáim rakkhe gaye hain.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘atá kar ki tere Beṭe ke wa‘da ke mutábiq
 Rúhu'l Quds is qurbání ka gaihrá ‘irfán ham par záhir farmáe
Aur apne karam se sab sachcháíán hamare liye khole
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Acts 2: 4, 11
Sab Rúhu’l Quds se bhar gaye,
aur Khudá ke ‘ajíb kám bayán karne lage Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai rahím Khudá
Tú apní Kalísiyá ko ásmání bakhshishen ‘atá kartá hai
Jo fazl tú ne ‘atá kiyá hai, use ham men maihfúz rakh
Táki Rúhu’l Quds kí ni‘mat barábar qáim rahe
Aur yih Rúhaní g̣hizá hamen abdí naját diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment