‘Íd -i- Su‘úd
At the Mass during the day
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(A‘mál) Acts 1: 11
Ai Jalílí mardo, tum kyún khaṛe ásmán kí taraf dekhte
ho?
Jis tarah tum ne use ásmán par játe dekhá hai, usí tarah wuh
phir áegá, Hallelujah.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Masíh terá Beṭá ásmán par já kar hamen wuhí ráh ikhtiyár
karne ke qábil ṭhahrátá hai
Jahán hamárá ráhbar jalál ke sáth ham se pahle chalá
gayá
Wahán yaqíní ummed hamen bhí bulá letí hai
Bakhsh de ki ham khush ho kar áj kí Pák ‘Íd manáen
Aur apní Pák ummed ká púrá honá dekhne páen
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 1:1-11
Wuh un ke dekhte hí dekhte úpar uṭhá liyá gayá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr
ho.
Zabúr : Psalm 46:2-3,6-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
Jamá‘ati jawáb:
Khudá khushí
ke na‘re ke sáth
Khudáwand turhí
áwáz ke sáth su‘úd hotá hai.
or
Hallelujah!
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke
nám) Ephesians 1:17-23
Use ásmán par apní dahiní taraf biṭháyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Or
(‘Ibráníon ke nám Khatt) Hebrews 9:24-28.10:19-23
Masíh haqíqí maqdis men dákhil húá
Hallelujah: cf. (Matí)
Mat 28:19, 20
Hallelujah, Hallelujah,
Jáo já kar sab qaumon ko shágird banáo,
Main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
24:46-53
Jab wuh unhen barakt de rahá thá to ásmán par uṭháyá gayá
Aur un se kahá ki yún likhá hai, ki Almasíh dukh
uṭháegá, aur tísre din murdon men se jí uṭhegá, aur Yarúshalem
se shurú‘ kar ke sab qaumon men us ke nám se gunáhon ki
mu‘áfí ke liye tauba kí munádí kí jáegí. Tum hí in báton ke
gawáh ho. Dekho, main apne Báp ká mau‘úd tum par názil karúngá
jab tak tum úpar se quwwat se mullabas na ho, shahr men ṭhahro.
Tab
wuh unhen báhar Bait ‘aniyá kí taraf le gayá, aur apne háth uṭhá kar
unhen barkat dí. Aur aisá húá, ki jab wuh unhen barkat de rahá
thá, to un sé judá ho gayá, aur ásmán par uṭháyá gayá. Aur wuh use sijda
karke, baṛí khushí se Yarúshálem ko wápas chale gaye, aur bilánág̣hah
haikal men Khudá kí hamd karte rahe.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tere Beṭe ke mubárak Su‘úd kí yád men
‘ájizánah iltijá ke sáth yih qurbání nazr kar rahe hain
Bakhsh de ki yih niháyat Pák ‘ibádat
Hamen ásmán kí chízon kí tamanná diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon): Cf. (Matí) Mat 28:20
Main duniyá ke ákhir tak har roz tumháre sáth hún.
Hallelujah
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Qádir-i-mutlaq aur azlí Khudá
Ham abhí is duniyá men
rahte hain
Phir bhí tú a‘la chízen
hamáre háthon men detá hai
‘ináyat kar ki Masíhí ‘aqídat
ká ehsás
Hamen us taraf le jáe
Jahán Masíh men
hamárí hí insániyat ab bhí tere pás hai
Ham tujh se yih du‘á karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment