Aqdas Sálús kí ‘Íd
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
Qádir I Mutlaq Khudá Báp mubárak ho
Mubárak ho Khudá ká iklautá Beṭá
Mubárak ho Rúhu’l Quds
Kyúnki ham par baṛí rahmat húí hai
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudá Báp
Tú ne haqq ká kalma aur pákízagí kí Rúh duniyá men
bhej kar
Apná qábil-i ta‘ríf bhed insán par záhir farmáyá hai
Hamen ‘ináyat kar ki ham sachche ímán ká iqrár karte
húe
Aqdas Sálús ke dáimí jalál
Aur wáhad Khudá kí qádir ‘azmat ko mánen
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Amsál kí kitáb) Proverbs 8:22-31
Duniyá ke wujúd men áne se peshtar hikmat paidá húí.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá
ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 8:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand hamáre Khudá, tamám
zamín par terá nám kyá hí ‘azím-ush-shán hai.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon ke nám) Romans 5:1-5
Khudá kí
mahabbat Masíh ke wasíle Rúh’ul Quds se hamáre dilon men
unḍelí gayí hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Mukáshfa) Rev1:8
Hallelujah, Hallelujah,
Jalál Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
Khudá jo hai, jo
thá, aur jo ánewálá hai
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John
16:12-15
Jo kuchh Báp ká hai, wuh sab merá hai, jo kuchh Rúh tumhen
batáegá, wuh mujh se pá kar tumhen batáegá.
Us waqt Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá; Merí aur bahut
sí báten hain ki tum se kahún magar ab tum un kí
bardásht nahín kar sakte. Lekin jab wuh, ya‘ní Rúh Alhaq áegá, to
wuh sárí sachcháí ke liye tumhárí hidáyat karegá, kyúnki wuh
apní taraf se na kahegá, lekin jo kuchh sunegá wuhí kahegá, aur tumhen
áyanda kí khabar degá. Wuh merí buzurgí karegá, is liye ki wuh
mujh se pá kar tumhen khabar degá. Jo kuchh Báp ká hai, wuh
sab merá hai: is liye main ne kahá ki wuh mujh se pá kar tumhen
khabar degá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham terá nám le kar tujh se iltijá karte hain
Ki tú apne bandon ke yih nazráne pák kar
Aur inhí ke zarí‘e hamen bhí apne láiq nazr ṭhahrá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon): Gal 4: 6
Is liye ki tum beṭe ho,
Khudá ne apne
Beṭe kí Rúh ko tumháre dilon men bhejá,
jo wuh Abbá ya‘ní “Ai Báp” kah kar pukártí hai
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham in pák chízon men sharík ho
kar
Níz Pák Taslís aur baṭ na sakne wálí tauhíd ko mánte húe
Jismání aur rúhání fáidah ut́háen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
-------
It has been said, in a beautiful and profound way, that our God in
his deepest mystery is not a solitude, but a family, since he has in himself
fatherhood, sonship and the essence of the family, which is love. Blessed
Pope John Paul II
Catechesis on the Holy Trinity by Blessed Pope John Paul II click here
Podcasts:
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For more by Dr. Scott Hahn on The Trinity click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here.
No comments:
Post a Comment