Páshká ká chhaṭhá Itwár C
Dákhilah (Entrance Antiphon): Cf. (Yasa‘iya) Is 48: 20
Khush alháni ke sáth is bát kí khabar
do aur mashhúr karo
zamín kí intihá tak is ká e‘lán
karo,
aur kahte jáo ki Khudáwand
ne apne logon ko riháí bakhshí
Hallelujah
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Masíh Khudáwand murdon
men se zinda húá
‘ináyat kar ki shádmání kí in
dinon kí
Jo pák ‘ibádaten ham us kí
‘izzat men ádá karte hain
Un ko ‘aqídat aur garm-joshí
ke sáth adá karen
Táki ham apní naját ka silsilah
ke tamám wáqi‘át par g̣haur karen
Aur un ke mutábiq ‘amalí taur par
apní zindagíán guzáren
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke A‘mál) Acts
15:1-2.22-29
Kyúnki Rúhu’l Quds ne aur
ham ne munásib jáná, ki in zarúrí báton ke siwá, tum par aur bojh
na ḍálen.
Us waqt ba‘z log Yahúdiya se á kar
bháiyon ko ta‘lím dene lage, ki agar Músá kí sunnat ke muwáfiq
tumhárá khatna na ho, to tum naját nahín pá sakte. Pas jab Paulús aur Barnabás kí un se baṛí takrár aur
bahs húí, to yih ṭhahráyá gayá, ki Paulús aur Barnabás, aur dúsron ne chand ashkhás
is mas’ale kí bábat rasúlon, aur káhinon ke pás Yarúshalem
ko jáen.
Tab rasúlon aur káhinon
ne sárí kalísiyá samet munásib jáná, ki apne men ba‘z shakhsh
chun kar, Paulús aur Barnabás ke sáth Athákiya ko bhejen, ya‘ní Yahúdáh ko jo
Barsabá kahlátá hai, aur Sílás ko jo bháiyon men muqaddam
the: aur in ke háth yih likh bhejá, ki
Un bháiyon ko jo Athákiya,
aur Súriya, aur Kilikiya men g̣hair qaumon men se hain.
Un ke rasúlon aur káhin bháiyon kí taraf se alsalám.Chúnki
ham ne suná hai, ki ham men se ba‘z ne jinhen ham ne hukm nahín
diyá thá já kar tumhen apní báton se ghabrá diyá hai, aur
tumháre dilon ko pareshán kiyá hai. Is liye ham ne ek dil ho kar
ansab samjhá, ki ba‘z ádmíon ko chunen, aur apne mu‘azzazín Barnabás aur Paulús ke hamráh
tumháre pás bhejen.
Yih donon aise ádmí hain,
jinhon ne apní jánen hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke
nám par nisár kar rakkhí hain. Pas ne Yahúdáh aur Sílás ko bhejá
hai, aur wuh yih báten zubání bhí bayán karenge. Kyúnki
Rúhu’l Quds ne aur ham ne munásib
jáná, ki in zarúrí báton ke siwá, tum par aur bojh na ḍálen,
ki tum buton ke chaṛháwon, aur lahú, aur galá ghonṭe
húe jánwaron aur harámkárí se parhez karo, agar tum in báton
se kinára karoge, to khúb karoge, walsalám.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 67 (66):2-3, 5-6, 8 Jamá‘ati
jawáb áyat: 4
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudá,
qaumen terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish
karen.
or
Hallelujah
Khudá ham par rahm kare aur hamen barkat
bakhshe
Wuh apná chihra ham par jalwagar
farmáe, táki zamín par us kí ráh kí
Aur tamám qaumon men
us kí naját kí pahchán ho
Ai Khudá, qaumen
terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
Ummaten shád hon aur khushí
manáen
Kyúnki tú rástí se qaumon
par hukúmat
Aur zamín par ummaton kí
hidáyat kartá hai
Ai Khudá, qaumen
terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
Ai Khudá, qaumen
terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen
Khudá hamen barkat ‘atá farmáe
Aur kul hudúd-i jahán us ká khauf
kháen
Ai Khudá, qaumen
terí sitáish karen, sab qaumen terí sitáish karen.
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa kí Kitáb) Revelation 21:10-14.22-23
Us ne mujhe muqaddas shahr ko
ásmán se utarte dikháyá.
Us waqt firishta mujhe wajd kí
hálat men ek baṛe aur únche pahár par le gayá, aur us ne us
muqaddas shahr Yarúshalem ko ásmán pr se Khudá ke pás se utarte
dikháya. Us men Khudá ká jalál thá, aur us kí raushaní
niháyat besh-qímat patthar, ya‘ní billaurí yashb kí
sí thí, aur us kí díwár baṛí, aur buland thí, aur us ke bárah
darwáze the, aur un darwázon par bárah firishte the, aur un par nám
likhe húe the, aur wuh baní Isráel ke bárah qabílon ke nám the.
Mashriq kí taraf tín darwáze, aur shimál kí taraf tín darwáze, aur
junúb kí taraf tín darwáze, aur mag̣hrib kí taraf tín darwáze the. Aur
us shahr kí díwár kí bárah bunyáden thín, aur un par Barre
ke bárah rasúlon ke bárah nám likhe húe the.
Main ne us men koí
haikal na dekhí; is liye ki Khudáwand Khudá Qádir i Mutlaq,
aur Barra us kí haikal hain. Aur wuh shahr súraj, aur chánd ká
muhtáj nahín, ki wuh use raushan karen; kyúnki Khudá
ke jalál ne use raushan kar rakkhá hai, aur barrah us ká chirág̣h hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr
ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn14:23
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú ne farmáyá agar koí mujhe
piyár kartá hai
to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár
karegá aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John
14:23-29
Rúhu’l Quds jo kuchh main ne
kahá hai, tumhen yád diláegá.
Us waqt se Yisú‘ ne apne shágirdon
se kahá, agar koí mujhe piyár kartá hai, to wuh mere kalám par ‘amal
karegá. Aur merá Báp bhí use piyár karegá. Aur ham us ke pás áenge,
aur us ke hán apná maqám karenge. Jo mujhe piyár nahín
kartá, wuh merí báton par ‘amal nahín kartá, aur jo kalám
tum sunte ho, wuh merá nahín, balki Báp ká hai, jis ne mujhe bhejá
hai.
Main ne yih báten
tumháre sáth hote húe tum se kahín, lekin wuh wakíl ya‘ní Rúhu’l
Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumhen sab báten
sikháegá, aur jo kuchh ki main ne tum se kahá hai, tumhen yád
diláegá. Main tumhen salámatí diye játá hún, apní
salámatí tumhen detá hún, jis tarah duniyá detí hai, usí tarah
main nahín detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare. Tum
sun chuke ho ki main ne tum se kahá ki main játá hún,
aur ki tumháre pás phir átá hún. Agar tum mujhe piyár karte, to khush
hote, ki main Báp ke pás játá hún kyúnki Báp mujh
se baṛá hai. Aur ab main ne tum se is ke hone se peshtar kah diyá
hai, táki jab ho jáe to tum ímán láo.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se
hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki pesh kiye húe
nazránon ke sáth
Hamárí du’áen bhí tere hazúr
pahunchen
Táki ham terí baṛí shafqat kí
besh-qímat ni‘maten pá kar
Un ke muwáfiq chalen
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 14:
15-16
Khudáwand farmátá hai
ki agar tum mujhe piyár karte ho,
to mere hukm máno
aur main Báp se darkhwást
karúngá aur wuh tumhen dúsrá wakíl bakhshegá
jo abad tak tumháre sáth rahegá.
Hallelujah
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Qádir-i-mutlaq aur abadí Khudá
Tú Masíh ke jí uṭhne ke zarí‘a
Hamesha kí zindagí ke liye hamen
bahál kar detá hai
Ham men hamáre Khudáwand
ke marne
Aur phir jí uṭhne ká phal kasrat
se paidá kar
Aur hamáre dilon men
naját bakhsh ásmání g̣̣hizá kí táqat bhar de
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment