Friday, 31 May 2013

2 June 2013, The Most Holy Body and Blood of Christ

Masíh ke Pák Badan aur Khún kí ‘Íd
Corpus Christi
 

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 80: 17
Us ne unhen gehún ká maidah khiláyá
aur chaṭán ke shahd se ser kar diyá

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Mihrbán Khudá
Tú ne is ‘ajíb sákráminṭ ke parde men hamáre liye
Apne piyáre Beṭe ke dukhon kó yádgár chhoṛ dí hai, bakhsh de ki ham
Us ke Badan aur Khún ke Pák bhedon kí aisí ta‘zím karen
Ki apne andar mukhlisí ká phal lagátár mahsús karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Takwín kí kitáb) Genesis 14:18-20
Wuh roṭi, aur mai láyá.

Us waqt Malikí-Sádiq, Shálím ká bádsháh roṭí aur mai nikál láyá. Kyúnki wuh Khudá Ta’álá ká káhin thá. Us ko barkat de kar kahá:
Ásmán aur zamín ke kháliq Khudáe Ta‘álá kí taraf se Abrám mubárak ho,
Aur mubárak ho Khudáe Ta‘álá
Jis ne tere dushman tere háth men kar diye
Aur Abrám ne sab chízon ká daswán hissa use diyá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 109:1-4 Jamá‘ati jawáb áyat: 4
Jamá‘ati jawáb: Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai

Khudáwand ne mere Khudáwand se kahá, ki merí dahiní taraf baiṭh
Jab tak ki tere dushmanon ko tere pánwon kí chaukí na kar dún
   Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai
Khudáwand teri, táqat ká ‘asá Siyyún se baṛháegá
Tú apne dushmanon men hukmrání kar
   Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai
Tere tawallud ke din taqqdas husn-i taqdis men sháhánah táqat terí hí hai
Tú fajr se pahle shabnam kí mánind mujh se paida húá
  Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai
Khudáwand ne qasam kháí hai, aur wuh pachhtáegá nahín
Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai
   Tú Malikí-Sádiq ke rutbah par dáiman káhin hai


Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurintíon ke nám) 1 Corinthians 11:23-26
Jitní bár tum yih roṭí kháte ho, aur is piyále men se píte ho to Khudáwand kí maut ká izhár karte ho.

Ai bháiyon! Yih bát mujhe Khudáwand se pahunchí hai, aur main ne tum ko bhí pahunchá dí, ki Khudáwand Yisú‘ ne jis rát wuh pakaṛwáyá gayá, roṭí lí; aur shukhr kar ke toṛí, aur kahá, ki yih merá badan hai, jo tumhárí khátir hai, tum merí yádgárí ke liye yih kiyá karo. Aur isí tarah us ne kháne ke ba‘d piyála bhí liyá, aur kahá ki, Yih piyála mere khún men nayá ‘ahd hai. Jitní bár piyo, merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. Kyúnki jitní bár tum yih roṭí kháte, aur is piyále se píte ho to Khudáwand kí maut ká izhár karte ho, jab tak wuh na áe.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation): (Yúhanná) Jn6:51-52
Hallelujah
Hallelujah, Hallelujah
Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe, to hamesha tak zinda rahegá
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 9:11-17
Wuh sab khá kar ser húe

Ek din ek hujuḿ us ke pichhe gayá aur us ne unhen qabúl kiyá, aur un se Khudá kí bádsháhí kí báten kartá rahá, aur shifá ke muhtájon ko shifá deta rahá. Jab din khatm hone lagá, tab un bárah ne á kar us se kahá, ki hujúm ko rukhsat kar táki ás pás kí bastiyon aur gánwon men já ṭiken aur kaháne ko páen, kyúnki ham yahan wirán jagah men hain. Is par us ne un se kahá; tum hí unhen kháne ko do. Unhon ne kahá, ki hamáre pás pánch roṭiyon aur do machliliyon ke siwá aur kuchh nahín hai; magar hán, ham já kar in sab logon ke liye kháná mol le áen? Kyúnki wuh pánch hazár mard ke qaríb the. Tab us ne apne shágirdon se kahá: ki unhen pachás pachás ke daston men biṭháo. Unhon ne usí tarah kiyá, aur sab ko biṭháyá. Tab us ne un pánch roṭiyon aur do machliliyon ko le kar ásmán kí taraf dekh kar un par barkat cháhí, aur toṛ kar apne shágirdon ko detá gayá, ki logon ke áge rakkhen. Aur un sab ne kháyá aur ser húe; aur un kí bachat uṭháí gayí, ṭukṛon kí bárah ṭokriyán.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbání se apní Kalísiyá ko aman aur ittihád kí ni‘maten ‘atá kar
Jin kí taraf khufyah taur par hamáre hadye ishára karte hain
Ham tujh se yih du‘á karte hain
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Yúhanná) Jn 6: 57
Is liye ki tum beṭe ho,
Khudáwand farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
Wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham ek din tujhe rú barú dekh kar
Hamesha ke liye us lutf aur rúhání khushí se ma‘múr hon
Jis ká izhár is zindagí men
Tere Beṭe ke besh qímat badan aur khún lene se hotá hai
Hamárí yih du‘á qabúl farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Wednesday, 29 May 2013

The Ten Commandments

Khudá Ke Das Hukm
1. Ek Khudá ko mánná, aur faqat us kí bandagí, aur us ko sajda karná
2. Khudáwand ká nám be- fáida na lená
3. Khudáwand ká din pák rakhná, aur is men badaní mihnat ká kám na karná
4. Mán báp kí ‘izzat karná
5. Khún na karná
6. Ziná na karná
7. Chorí na karná
8. Jhúṭí gawáhí na dená
9. Begání ‘aurat kí árzú na karná
10. Begáne mál ká lálach na karná

In the Catechism : CCC 2052-2557 read online here

Monday, 27 May 2013

Holy Mass in Urdu on Sunday, 2 June 2013

(The Most Holy Body and Blood of Christ)
Masíh ke Pák Badan aur Khún kí ‘Íd
Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday, 2nd June 2013
Time: 3 pm


The Mass is followed by the sharing of a meal together. Everyone is welcome.

Holy Mass in Urdu every first Sunday of the month at 3pm

Friday, 24 May 2013

26 May 2013, The Most Holy Trinity



Aqdas Sálús kí ‘Íd


khilah (Entrance Antiphon):
Qádir I Mutlaq Khudá Báp mubárak ho
Mubárak ho Khudá ká iklautá Beṭá
Mubárak ho Rúhu’l Quds
Kyúnki ham par baṛí rahmat húí hai

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudá Báp
Tú ne haqq ká kalma aur pákízagí kí Rúh duniyá men bhej kar
Apná qábil-i ta‘ríf bhed insán par záhir farmáyá hai
Hamen ‘ináyat kar ki ham sachche ímán ká iqrár karte húe
Aqdas Sálús ke dáimí jalál
Aur wáhad Khudá kí qádir ‘azmat ko mánen
Masíh hamáre Khuáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Amsál kí kitáb) Proverbs 8:22-31
Duniyá ke wujúd men áne se peshtar hikmat paidá húí.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 8:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand hamáre Khudá, tamám zamín par terá nám kyá hí ‘azím-ush-shán hai.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon ke nám) Romans 5:1-5
Khudá kí mahabbat Masíh ke wasíle Rúh’ul Quds se hamáre dilon men unḍelí gayí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Mukáshfa) Rev1:8
Hallelujah, Hallelujah,
Jalál Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
Khudá jo hai, jo thá, aur jo ánewálá hai  
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 16:12-15
Jo kuchh Báp ká hai, wuh sab merá hai, jo kuchh Rúh tumhen batáegá, wuh mujh se pá kar tumhen batáegá.

Us waqt Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá; Merí aur bahut sí báten hain ki tum se kahún magar ab tum un kí bardásht nahín kar sakte. Lekin jab wuh, ya‘ní Rúh Alhaq áegá, to wuh sárí sachcháí ke liye tumhárí hidáyat karegá, kyúnki wuh apní taraf se na kahegá, lekin jo kuchh sunegá wuhí kahegá, aur tumhen áyanda kí khabar degá. Wuh merí buzurgí karegá, is liye ki wuh mujh se pá kar tumhen khabar degá. Jo kuchh Báp ká hai, wuh sab merá hai: is liye main ne kahá ki wuh mujh se pá kar tumhen khabar degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham terá nám le kar tujh se iltijá karte hain
Ki tú apne bandon ke yih nazráne pák kar
Aur inhí ke zarí‘e hamen bhí apne láiq nazr ṭhahrá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Gal 4: 6
Is liye ki tum beṭe ho,
Khudá ne apne Beṭe kí Rúh ko tumháre dilon men bhejá,
jo wuh Abbá ya‘ní “Ai Báp” kah kar pukártí hai

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham in pák chízon men sharík ho kar
Níz Pák Taslís aur baṭ na sakne wálí tauhíd ko mánte húe
Jismání aur rúhání fáidah ut́háen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
-------
It has been said, in a beautiful and profound way, that our God in his deepest mystery is not a solitude, but a family, since he has in himself fatherhood, sonship and the essence of the family, which is love. Blessed Pope John Paul II 

Catechesis on the Holy Trinity by Blessed Pope John Paul II click here

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here 

For more by Dr. Scott Hahn on The Trinity click here 
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here.

Wednesday, 22 May 2013

Five precepts of the Catholic Church


Kalísiyá ke pánch hukm
1 Itwár aur zarúrí ‘Ídon men adab se Pák Máss kí qurbání men házir honá, aur badaní mihnat ká kám na karná.
2 Muqarrar dinon men parhez karná aur roza rakhná
3 Har bars men kam se kam ek daf‘ah apne gunáhon ká i‘tiráf karná, aur Páshká ke waqt Pák Sharákat lená.
4 Man‘a kiye húe waqton aur rishton men shádí na karná
5 Apne Fádar sáhibán kí zarúraton men madad dená.

In the Catechism : CCC 2041-2043 online here

Friday, 17 May 2013

Rúh Á Rúh Á Rúh Á (Rúhu’l Quds ká gít)



Rúh Á Rúh Á Rúh Á
Rúh-i-Pak Khudáwand tú Á
Ján o jism aur rúh me tú bas já
Á Á Á Rúh Á

Rúh ke sho‘le lapak lapak jab áte hain
Bandhan sáre ṭúṭ ke girte játe hain
Á Á Á Rúh Á

Bárish hogí Rúh-i-Pak ke bádal se
miṭ jáenge páp ke dhabbe har dil se
Á Á Á Rúh Á

Rúh kí súrat me Yisú‘ jab áegá
Taihas naihas hogá shaitán, dil gáe gá
Á Á Á Rúh Á

19 May 2013, Pentecost Sunday



‘Íd -i- Pentekust
‘Íd -i- Nuzúl -i- Rúhu’l Quds


khilah (Entrance Antiphon): (Hikmat) Wis 1: 7
Khudáwand kí Rúh se duniyá ma‘múr hai
Us men har chíz samáí húí hai
Wuh har bát ke ‘ilm se wáqif hai
Hallelujah.
(Romíon) Romans 5:5
Jo Rúhu’l Quds hamen bakhshá gayá hai
Usí ke wasíle se Khudá kí mahabbat
Hamáre dilon men undelí gayí hai.
Hallelujah.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat mihrbán Khudá
Áj tú har mulk aur har qaum men sárí Kalísiyá ko
Fazl baṛháne wálí Pák ‘ibádat ke zarí‘e
‘Íd kí khúshíán manáne detá hai
Tamám duniyá par Rúhu’l Quds kí bakhshishen názal farmá
Aur Pák Injíl kí ibtidáí khúsh khabirí men
Jo asar terí a‘la mihrbání ká mahsús húá kartá hai
Us se ab bhí apne muminon ke dilon ko ma‘múr kar de
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 2:1-11
Wuh sab Rúhu’l Quds se bhar gaye, aur bolne lag gaye.

Us waqt jab ‘Íd -i- Khamsín ká din áyá to wuh sab mil kar ek hí jagah men jama‘ the, aur yak-bárgí ásmán se aisí áwáz áí jaise tund hawá ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar , jahán wuh baiṭhe the, gúnj uṭhá, aur ág ke shu‘le kí sí zubánen unhen dikháí dín. Aur judá judá ho kar har ek par ṭhahrín. Aur wuh sab Rúhu’l Quds se bhar gaye, aur dúsrí zubánen bolne lage, jis tarah Rúh ne unhen bolná ‘atá kiya.
          Aur ásmán ke tale kí har ek qaum se Khudá tars Yahúdí Yarúshalem men the. Jab yih áwáz sunáí dí, to hujúm lag gayá, aur log muta‘ajjib húe, kyúnki har ek ko yih sunáí detá thá, ki yih merí hí bolí bol rahá hai. Aur sab hairán ho kar aur muta‘ajjib kar ke ápas men kahne lage: Dekho, yih jo bolte hain kyá sab jalílí nahín? Pas kyún kar ham main se har ek apne apne watan ki, bolí suntá hai? Párthí, aur Mádí, aur ‘Ílámí, aur  Mábain-Alnaihrín aur Yahúdiya, aur Kappádukiya, aur Puntus, aur Ásiya, aur Frújiya, aur Pamfúlia, aur Misr, aur Lúbiya men Qairwán ke ás pás ke ‘iláqe ke báshinde, aur musáfirín-i Rúmá, kyá Yahúdí, kyá nau muríd, aur Kretí, aur ‘Arabí, ham apní apní zubán men unS se Khudá ke ‘ajíb kámon ká bayán sunte hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 103:1,24, 29-31, 34 Jamá‘ati jawáb áyat: 30
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Hallelujah!

Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
Ai Khudáwand tú niháyat ‘azím hai
Ai Khudáwand tere kám kyá hí kasír hain
Zamín terí khalqat se ma‘múr hai
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!
Jab tú un kí ján le letá hai, to wuh faná ho játe hain
Aur apní khák men lauṭ játe hain
Jab tú apní rúh bhejtá hai, to wuh khalq ho játe hain
Aur tú rú e zamín ko nayá kar detá hai
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!
Khudáwand ká jalál abad tak ho
Khudáwand apne kámon se khush ho
Main jo kuchh hún wuh use pasand áe
Main Khudáwand men khush rahún
Ai Khudáwand apní Rúh ko bhej
aur rú e zamín ko nayá kar de.
Ya
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon ke nám) 1 Corinthians 12:3-7, 12-13
Ham sabhon ne ek hí Rúh ká baptisma páyá hai.

Ai bháiyo! Main tumhen  jatátá hún, ki jo koí Rúh i Khudá kí hidáyat se bolta hai, wuh nahín kahtá. ki Yisú‘ mal‘ún hai. Aur na koí Rúhu’l Quds ke bag̣hir kah saktá hai, ki Yisú‘ Khudáwand hai.
Pas ni‘maten to tarah tarah kí hain, Magar Rúh ek hí hai. Aur khidmaten bhí tarah tarah kí hain, magar Khudáwand ek hí hai. Aur tásíren bhí tarah tarah kí hain, magar Khudá ek hí hai, jo sab men har tarah se asar paidá kartá hai. Lekin har kisí ko Rúh ká zuhúr fáida ke liye diyá játá hai.
Kyúnki jis tarah badan ek hai, aur us ke a‘zá bahut se hain, aur badan ke sab a‘zá agar-chih bahut se hain, to bhí báham mil kar ek hí badan hain, isí tarah Masíh bhí hai, ki ham kyá Yahúdí, kyá g̣hair quam, kyá g̣hulám, kyá ázád, sab ne ek hí Rúh ke wasíle se ek badan hone ke liye baptisma páyá, aur ham sab ko ek hí Rúh piláyá gayá.  
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah:
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Rúhu'l Quds Á. Apne ímándáron ke dilon ko bhar de
Aur un men apní mahabbat kí ág bhaṛká  
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 20:19-23
Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai, usí tarah main tumhen bhejtá hún. Rúhu’l Quds lo

Usí roz hafte ke pahle din, shám ke waqt, jab us jagah ke darwáze jahán shágird jama‘ húe the, Yahúdíon ke khauf se band the, Yisú‘ á kar bích men khaṛá ho gayá, aur un se kahá tumhen salámatí hasil ho, aur yih kah kar apne háthon aur paslí ko unhen dikháyá. Pas shágird Khudáwand ko dekh kar khush húe. Aur Yisú‘ ne phir un se kahá, tumhen salámatí hasil ho,

Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai,
main bhí usí tarah tumhen bhejtá hún.
Us ne yih kah kar un par phúnká, aur kahá ki
tum Rúhu’l Quds lo.
Jin ke gunáh tum mu‘áf karo
un ke mu‘áf kiye gaye hain;
Jin ke gunáh tum qáim rakkho,
un ke qáim rakkhe gaye hain.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘atá kar ki tere Beṭe ke wa‘da ke mutábiq
 Rúhu'l Quds is qurbání ka gaihrá ‘irfán ham par záhir farmáe
Aur apne karam se sab sachcháíán hamare liye khole
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Acts 2: 4, 11
Sab Rúhu’l Quds se bhar gaye,
aur Khudá ke ‘ajíb kám bayán karne lage Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai rahím Khudá
Tú apní Kalísiyá ko ásmání bakhshishen ‘atá kartá hai
Jo fazl tú ne ‘atá kiyá hai, use ham men maihfúz rakh
Táki Rúhu’l Quds kí ni‘mat barábar qáim rahe
Aur yih Rúhaní g̣hizá hamen abdí naját diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here