Wednesday, 14 August 2013

Thursday 15 August 2013, The Assumption of the Blessed Virgin Mary



Muqaddasa Kunwárí Mariyam ká ásmán par uṭháyá jáná

khilah (Entrance Antiphon): (Mukáshafa) Rev 12:1
Ek baṛá nishán ásmán par nazar áyá ya‘ní ek khátún jo súraj ko oṛhe húe, pánwon tale chánd rakkhe aur bárah sitáron ká táj pahinne húe thí

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir i Mutlaq aur azlí Khudá
Tú ne apne Beṭe kí mán be-dág̣h Kunwárí Mariyam ko
Jism aur Rúh ke sáth ásmání jalál menkhil kiyá
‘ináyat farmá ki ham har waqt ásmán kí chízon kí fikr men rahte húe
Usí ke jalál men sharík hone ke láiq banen 
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Mukáshafa kí kitáb) Apocalypse 11:19, 12:1-6, 10
Ek ‘aurat súraj ko oṛhe húe chand par khaṛí thí

Us waqt Khudá kí haikal ásmán men khul gayí aur us kí haikal men us ke ‘ahd ká sandúq nazar áyá, aur bijliyán, aur áwázen, aur garajen paidá húín, aur zalzalah áyá, aur baṛe baṛe ole paṛe.
 Phir ek baṛá nishán ásmán nazar áyá, ya‘ní ek khátún jo súraj ko oṛhe húe thí, aur jis ke pánwon ke níche chánd, aur sir par bárah sitáron ká táj thá.Wuh hámila thí, aur taklíf men ho kar dard i zih ke sabab se chillátí thí.
 Tab ek aur nishán ásmán par dikháí diyá; aur dekh, surkh rang ká ek baṛá azhdahá jis ke sát sir, aur das síng the, aur sát táj us ke siron par the, aur us kí dum ne ásmán ke tiháí sitaron ko khench kar zamín par girá diyá: phir azhdahá us khatún ke áge jis ká bachcha paidá hone ko thá, já khaṛá húá, táki jab bachcha paidá ho, to use nigal jáe. Aur us ke hán narínah farzand húá, jo lohe ke ‘asá se sab qaumon par hukúmat karegá, aur us ká farzand Khudá aur us ke takht ke pás tak uṭhá liyá gayá.
Aur wuh khátún biyábán men bhág gayí, jahán Khudá ne us ke liye jagah taiyár kí hai, táki wahán ek hazár do sau sáṭh din tak us kí parwarish kí jáe. Tab main ne ek baṛí áwáz ásmán men yih kahte suní, ki
 Ab naját, aur qudrat, aur hamáre Khudá kí bádsháhí aur us ke Masíhí ká ikhiyár záhir húa.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Pslam       
Zabúr: Psalm 44:10-12, 16 Jamá‘ati jawáb áyat:10

Malika tere dahine háth
Ofír ke sone se muzayyan khaṛí hai.

Sháhon kí betiyán terá istiqbál kartí hain
Malika tere dahine háth Ofír ke sone se muzayyan khaṛí hai
Ai beṭí sun, g̣haur kar ke kán lagá,
Apní qaum aur apne báp ká ghar bhúl já
Malika tere dahine háth
Ofír ke sone se muzayyan khaṛí hai.

Bádsháh tere husn ká mushtáq hogá:
Wuhí terá Khudáwand hai, to us kí mutí‘ ho
Wuh khushí aur shádmání se pahuncháí játí hain
Wuh sháhí mahall menkhil hotí hai
Malika tere dahine háth
Ofír ke sone se muzayyan khaṛí hai.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt QurintíoKe Nám) 1 Corinthians 15:20-26
Pahlá phal Masíh aur phir wuh jo us ke hain.

Ai bháiyo, Masíh fíl-haqíqat un men se jo so gaye hain, pahlá phal ho kar murdon men se jí uthá hai. Kyúnki jab insán ke sabab se maut áí, to insán hí ke sabab se murdon kí qiyámat bhí áí. Aur jaisá Ádam men sab marte hain, waisá hí Masíh men sab zinda kiye jáenge. Lekin har ek apní apní bárí men: pahlá phal Masíh, wuh jo Masíh kí ámad par us ke hain. Aur us ke ba‘d khátma hogá, jab wuh sárí hukúmat aur sárá ikhtiyár aur qudrat nest kar ke saltanat Khudá ya‘ní Báp ke hawále kar degá. Kyúnki jab tak wuh sab dushmanon ko apne pánwon tale na láe, zarúr hai ki saltanat kare. Sab se pichhlá dushman jo nest kiyá jáegá wuh maut hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah:
Hallelujah Hallelujah 
Mariyam ásmán par uṭhá lí gayí hai
Firishton kí tamám Jamá‘aten khushí manáti hain
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 1:39-56
Al Qádir ne mere liye baṛe baṛe kám kiye hain, us ne past hál ko buland kiyá hai.

Un dinon men Mariyam uṭh kar jaldí se kohistán men Yahúdáh ke ek shahr ko gayí. Aur Zakaryáh ke ghar men dakhil hokar Ilísábát ko salám kiyá. Aur jonn Ilísábát ne Mariyam ká salám suná to bachcha us ke batn men uchhal paṛá aur Ilísábát Rúh-u’l Quds se bhar gayí. Aur buland áwáz se pukár kar kahne lagí. Ki tú ‘auraton men mubárak hai aur tere batn ká phal mubárak hai. Aur mere liye yih bát kaise húí ki mere Khudáwand kí mán mere pás áí? kyúnki dekh jonhí tere salám kí áwáz mere kán men pahunchí, to bachcha mere batn men khushí  se uchhal paṛá. Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúnki jo baten Khudáwand kí taraf se kahí gaí thín wuh púrí hongí.
Aur Mariyam ne kahá:
Merí ján Khudáwand kí baṛáí kartí hai,
aur merí rúh mere naját denewále Khudá se khush húí;
Kyúnki us ne apní bandí kí pasthálí par nazar kí:
Is liye dekh ab se lekar har zamáne ke log mujhe mubárak kahenge.
Kyúnki Al-Qádir ne mere liye  baṛe baṛe kám kiye hain,
Aur us ká nám Quddús hai.
Aur us kí rahmat un par jo us se darte hain
Pusht dar pusht rahtí hai.
Us ne apne bázú se zor dikháyá;
Aur unhen jo dil ke qiyás se maghrúr hain paráganda kar diyá
Us ne qudrat wálon ko takht se girá diyá,
Aur pasthálon ko buland kiyá.
Us ne bhúkon ko achchhí chízon se ser kar diyá,
Aur daulatmandon ko khálí háth lauṭá diyá.
Us ne apne bande Isráíl kí dastgíri kí,
Táki apní us rahmat ko yád farmáe,
Jo Ibráhím aur us kí nasl par abad tak rahegí
Jaisá us ne hamáre bápdádá se kah diyá thá
Aur Mariyam tín mahíne ke qaríb us ke sáth rahí, aur apne ghar ko lauṭ gayí.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Kásh hamárá ‘aqídat-mandí ká nazrána tere maqbul i nazar ho
Aur Muqaddasa Mariyam Kunwárí ásmán takht nashín ho kar
Hamáre liye sifárísh kartí rahe
Nez hamáre dilon men wuh ág sulgáe
Jis se ham men har waqt yih fikr táza rahe
Ki ek din tere huzúr áne ke qábil hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Lúqá) Luke 1:48-49
Har zamáne ke log mujhe mubárak kahenge, kyúnki Al-Qádir ne mere liye baṛe baṛe kám kiye hain.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham ne naját ká Sákaráminṭ liyá hai
Bakhsh de ki Muqaddasa Mariyam Kunwáríapne ásmán takht par se
Hamáre liye sifárishen kar ke jí uṭhne ká jalál hamen diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

---

Tracts on Catholic Answers:

Catholic Encyclopedia

Church Documents:
Church Fathers on The Assumption click here
Homilies of Pope Benedict XVI 2005 and 2011

Books: 

Books by Mark Shea

CD Sets by Tim Staples

No comments:

Post a Comment