Sál ke daurán báíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm 85:3, 5
Ai Khudáwand mujh par rahm kar kyúnki main din bhar tere
áge nálá kartá rahá hún.
Is liye ki tú Khudáwand nek aur g̣hafúr hai
aur apne iltijá karnewálon par niháyat rahím hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Lashkaron ke Khudá
Har afzal chíz terí milkiyat hai
Apne nám kí muhabbat ham men dil-nashín kar de
Aur hamen dín-dárí kí taraqqí ‘atá kar
Táki ham men nekíon aur khúbíon kí
parwarish ho
Aur wuh terí khabargírí ke sáth
Parwarish pá kar mahfúz bhí rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yisú‘ bin Sirákh) Ecclesiasticus 3:19-21, 30-31
Halímí ikhtiyár
kar to, tú Khudáwand ká maqbúl hogá
Mere beṭe! Apne kám halímí se
kar, to maqbúl sakhs ká piyárá hogá. Jitná tú ‘azmat men
baṛhe, utná hí apne áp ko farotan kar, to Khudáwand kí khushnúdí
tujhe hásil hogí. Kyúnki Khudáwand kí qudrat ‘azím hai, aur
farotanon se us kí tamjíd hotí hai.
Mag̣hrúron kí jamá‘at ke
liye ‘iláj nahín, kyúnki badí ká paudá un men jaṛ
pakaṛegá, aur us ká patta bhí na lagegá. ‘Aqlmand ádmí ká dil tamsíl
par g̣haur kartá hai, aur dánishmand kí khwáhish hotí hai, ki dhiyán
se sune.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Responsorial Psalm:
Zabúr: 67:4-7, 10-11 Jamá‘ati jawáb áyát: Cf. 11
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudá
tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.
Rástbáz khushí manáte
aur Khudá ke huzúr shádmání karte hain
Aur wuh farhat se masrúr hote hain
Khudá ke liye
gáo, us ke nám kí hamd saráí karo
Khudáwand men
shádmán ho, aur us ke huzúr shádmání karo
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.
Khudá apne
muqaddas maskan men
Yatímon ká báp aur bewáon ká muháfiz hai
Khudá asíron
ko ghar detá hai
Wuh qaidíon ko iqbál-mandí kí taraf nikál látá hai.
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.
Ai Khudá tú ne apní mírás men ba kasrat menh
barsáyá,
Aur jab yih murjhá rahí thí to tú ne use tázagí bakhshí.
Terá gallah us men basne lagá
Ai Khudá, tú ne apní ‘ináyat se use muhtáj ke liye
taiyár kiyá.
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.
Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon ke nám Khatt) Hebrews 12:18-19.22-24
Tum Koh-i Saihún aur zinda Khudá ke shahr ke pás áe ho.
Ai bháiyo, tum us paháṛ tak nahín áe jo chhúá já sake, na us kí jaltí
ág, aur kálí ghaṭá, aur táríkí, aur túfán aur narsinge ke shor, aur
kalám kí áwáz ke pás jise sunnewálon ne sun kar darkhwást
kí, ki yih kalám phir ham se na kiyá jáe. Lekin tumhen Koh-i Saihún
par, aur zinda Khudá ke shahr ya‘ní ásmání Yarúshalem, aur lákhon
firishton kí mahfil, aur pahlauṭhon kí jamá‘at men jin
ke nám ásmán par likhe húe hain, aur us Khudá ke pás jo sab
ká munsif hai, aur kámil kiye húe rástbázon kí rúhon ke
pás, aur ‘ahd-i-Jadíd ke darmiyání Yisú‘, ke pás áe ho.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:23
Hallelujah Hallelujah
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (Matí) Matthew 11:29
Hallelujah, Hallelujah
Merá júá uṭhá lo, aur mujh se síkho,
Kyúnki main halím, aur dil ká farotan hún
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
14:1.7-14
Jo koí apne áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá,
aur jo koí apne áp ko chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.
Ek Sabt ke din aisá húá ki Yisú‘
Farísíon ke sardáron men se kisí ke ghar roṭí kháne
gayá, aur wuh us kí ghát men rahe. Jab us ne dekhá, ki mihmán kyún kar sadr jagah pasand karte hain, to us ne un ke liye ek
tamsíl pesh kí, aur un se kahá, jab tú shádí men buláyá jáe to
sadr jagah par na baiṭh, sháyad ki tujh se bhí koí ziyáda ‘izzatdár
buláyá gayá ho, aur jis ne tujhe aur use donon ko buláyá hai á kar
tujh se kahe ki yih jagah us ko de, aur tujh ko sharminda ho kar sab se níche baiṭhná
paṛe. Balki jab tú buláyá jáe, to sab se níchí jagah baiṭh, táki jab
wuh jis ne tujhe buláyá hai áe, to tujh se kahe, ki Ai dost, áge baṛh kar já baiṭh, tab
sab mihmánon ke sámne terí ‘izzat hogí, kyúnki jo koí apne
áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá, aur jo koí apne áp ko
chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.
Phir us ne us se bhí jis ne us kí
da‘wat kí thí kahá ki jab tú chásht yá ‘isháiyyah kí taiyárí kare to
apne doston yá bháiyon yá rishtadáron yá daulatmand
paṛausiyon ko na bulá, aisá na ho ki wuh bhí tujhe buláen,
aur terá badla ho jáe. Balki jab tú ziyáfat kare to g̣haríbon,
lunjon, langṛon, aur andhon ko bulá, aur tú
mubárak hogá, kyúnki un ke pás kuchh nahín, ki tujhe badla
den, magar tujhe rástbázon kí qiyámat men badla diyá
jáegá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘atá kar ki yih pák nazrána
Hamen lagátár terí fazl bakhsh barkat diláe
Aur jo kuchh nishán ke taur par is se hotá hai
Wuh terí muassir qudrat se kámilíyat páe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 30:20
Ai Khudáwand, Terí wuh mihrbání kitní ‘azím hai
jo túne apne ḍarnewalon ke liye rakh chhoṛí hai.
OR
(Matí) Matthew 5:9-10
Mubárak hain wuh jo sulh karáte hain,
wuh Khudá ke farzand kahláenge.
Mubárak hain wuh jo rástí ke sabab satáe gaye hain,
ásmán kí bádsháhat unhín kí hai.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudá
Ham tujh se iltijá karte hain
‘ináyat kar ki ham ásmání ziyáfat kí roṭí khá kar
Muhabbat kí is g̣hizá ke asar se
Dil is qadr mazbút ho jáen
Ki apne bháiyon men terí khidmat karne ke
liye taiyár hún
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment