Friday, 2 August 2013

4 August 2013, 18th Sunday in Ordinary Time C

Sál ke daurán aṭhárahwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 69: 2, 6
Ai Khudá, karm kar ke mujhe bachá le.
Ai Khudáwand jald merí madad kar,
tú hí merá parwardigár, aur merá bacháne wálá hai.
Ai Khudáwand der na kar.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tere bande sab se baṛh kar yih khwáhish rakhte hain
Ki tú hamen hamesha apná rahm dikhátá rahe
Hamáre liye fakhr ká sabab yih hai
Ki tú hí hamárá kháliq aur málik hai
Pas apne bandon kí taraf tawajja kar
Apní pahlí ni‘maten bahál kar
Aur bahál kar ke inhen qáim rakkh
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Jámi‘ kí kitáb) Ecclesiastes 1:2; 2:21-23
Insán ko us kí sárí mushaqqat se kyá faida

Bátil hí bátil, yih hai Jámi‘ ká kahná.
Bátil hí bátil sab kuchh bátil hai
Kyúnki ek insán aisá hai, jis kí mihnat, hikmat, ‘ilm, aur hunar-mandí se hai. Par wuh use dúsre aise ádamí ke hisse ke liye chhoṛ jáegá, jis ne mihnat nahín kí yih bhí bátil aur baṛí qabáhat hai. To insán ko apni, tamám mihnat aur apne dil kí us bezárí se kyá fáida hai jo us ne súraj ke níche uṭháí. kyúnki us ke tamám ayyám andoh aur us ká shug̣hl musíbat hai, yahán tak ki rát ko bhí us ká dil árám nahín pátá, yih bhí bátil hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 94:1-2, 6-9 Jamá‘ati jawáb áyát: 8-7

Jamá‘ati jawáb:
Kásh ki áj tum us kí áwáz suno!
Tum apne dil ko sakht na karo

Áo, ham Khudáwand ke liye nag̣hma pardází karen
apní naját kí chatán ke liye khushí se lalkáren.
Us ke huzúr shukrguzárí karte húe áen
aur gít gáte húe us ke áge khushi ke na‘re máren.

 Kásh ki áj tum us kí áwáz suno!
  Tum apne dil ko sakht na karo

Áo, ham jhuken, aur sijda karen
Aur apne kháliq Khudáwand ke áge dozánú ho jáen
Kyunki wuhí hamárá Khudá hai  
Aur ham us kí pásbání kí ummat
Balki us kí hidáyat ká gallah hain
 
  Kásh ki áj tum us kí áwáz suno!
  Tum apne dil ko sakht na karo

Kásh ki áj tum us kí áwáz suno 
Tum apne dil ko sakht na karo, jaisá Maríbah men
Ya jaisá Massah ke din, biyábán men kiyá thá
Jahán tumháre ajdád ne merá imtihán kiyá,
aur mere kámon ko dekh kar bhí mujhe ázmáyá
 
Kásh ki áj tum us kí áwáz suno!
  Tum apne dil ko sakht na karo

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 3:1-5.9-11

Ai bháiyo! Agar tum Masíh ke sáth jí uṭhe ho to ‘álam i bálá kí chízon kí talásh men raho, jahán Masíh Khudá kí dahiní taraf baiṭhá húá hai. ‘álam i bálá kí chízon ke khayál men raho, na ki un ke jo zamín par hain. Kyúnki tum mar chuke ho, aur tumharí zindagí Masíh ke sáth Khudá men chhupí húí hai. Jab Masíh jo hamárí zindagí hai záhir hogá, to tum bhí us ke sáth jalál men záhir ho jáoge. 
Pas tum apne zamíní a‘zá ko murda rakkho, ya‘ní harámkárí nápákí, shahwat, burí khwáhish aur lálach ko jo but parastí ke barábar hai. Ek dúsre se jhúth na bolo, tum ne to purání insáníyat ko us ke kámon samet utár diyá hai. Aur us nayí ko pahin liyá hai, jo ma‘rifat hásil karne ke liye apne kháliq kí súrat par nayí bantí játí hai. Jahán na koí Yúnání hai, na Yahúdí, na makhtún, na g̣hair makhtún, na barbarí, na Askútí, na g̣hulám, aur na ázád, magar Masíh hí sab kuchh hai, aur sab men hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 17:17
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand terá Kalám sachcháí hai,
Sachcháí ke wasíle se hamen muqaddas kar
Hallelujah
Hallelujah: (Matí) Matthew 5:3
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hain wuh jo rúh ke g̣haríb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 12:13-21
Jo tú ne jama‘ kiyá hai, wuh kis ká hogá?

Ek din hujuḿ men se kisí ne us se kahá, ki ai Ustád mere bháí se kah, ki mírás ká merá hissa mujhe de. Magar us ne us se kahá, ki miyán! Kis ne mujhe tum par qází yá muqassim muqarrar kiya? Aur us ne un se kahá, ki khabardár raho, aur sáre lálach se kinára karo; kyúnki kisí kí zindagí us ke mál kí firáwání par munhasir nahín.
Aur us ne un se ek tamsíl kahí, ki kisí daulatmand kí zamín men bahut fasl húí, Aur wuh apne dil men soch kar kahne lagá, ki Main kyá karún, kyúnki mere hán jagah nahín, jahán apní paidáwár jama‘ karún. Aur us ne kahá, Main yih karúngá : ki apní koṭhiyán ḍháúngá, aur baṛí banáúngá; aur wahán apná tamám anáj aur mál jama‘ karúngá. Aur apní ján se kahúngá, ki Ai ján tere pás bahut sá mál bahut barason ke liye jama‘ hai; chain kar, khá, pí, ‘aish kar. Magar Khudá ne use kahá, Ai nádán, isí rát terí ján tujh se talab kar lí jáegí: pas jo tú ne taiyár kiyá hai, wuh kis ká hogá? Aisá hí wuh hai, jo apne liye khazána jama‘ kartá hai, aur Khudá ke nazdík daulatmand nahín.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tujh se minnat karte hain
Apne rahm o karam se in hadyon ko pák kar
Yih us rúhání qurbání kí nazr ṭhahrenge
Jis ke zarí‘e tú hamen bhí ek kámil nazrána banáegá
Hamen yih taufíq ‘atá kar
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Hikmat) Wisdom 16:20
Ai Khudáwand tú ne hamen ásmán se taiyár kardah aisí roṭí bakhshí jis men har tarah kí lazzat aur har záiqa kí shiríni hai.
Or
(Yúhanná ) John 6:35
Khudáwand farmátá hai ki main zindagí kí roṭí hún, jo mere pás áe wuh hargiz bhúká na hogá, aur jo mujh par ímán láe wuh kabhí piyásá na hogá.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú ne ásmání ni‘mat ke zarí‘e hamen tázagí bakhshí hai
Hamesha hamárá sáth de
Har waqt ham par apná rahm o karam názil farmá
Aur hamen is qábal ṭhahrá
Ki abdí naját páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment