Sál ke daurán Bíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Ps
83: 10-11
Ai hamáre muháfiz Khudá
Tawajjuh kar aur apne mamsúh ke chihre par nigáh farmá
Kyúnki terí bárgáhon men ek din
kisí aur jagah ke hazar dinon se bihtar hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat mihrbán Khudá
Tú ne apne piyár karne wálon ke liye
An-dekhí achchhí chízen taiyár kar rakhí hain
Hamáre dilon ko apní mahabbat se ma‘múr kar
Táki ham har bát men
Sab chízon se baṛh kar tujh hí se mahabbat rakhen
Aur tere us wa‘da ká púrá honá dekhne páen
Jo hamárí har khwáhish se kahín ziyáda ‘azím
hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Irmiyá nabí ká sahífa) Jeremiah 38:4-6.8-10
Tú tamám logon kí badí ká khwáhán hai
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Responsorial Psalm
Zabúr: Psalm 39:2-4, 18 Jamá‘ati jawáb áyát: 14
Jamá‘ati jawáb: Ai Khuáwand merí madad ke liye á
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon ke nám) Hebrews 12:1-4
Ham sabr se is dauṛ men dauṛen, jo hamáre sámne
hai
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: Cf. (A‘mál) Acts 16:14
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand hamáre dil khol
ki tere Beṭe kí báton ko qabúl karen.
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
12:49-53
Main zamín par sulh karáne nahín, balki judáí karáne
áyá hún.
Ek din Yisú‘ ne apne shágirdon
se kahá: Main zamín par ág bhaṛkáne áyá hún, to main
aur kyá cháhtá hún magar yih, ki wuh jal paṛe? Aur mujhe ek istibág̣h lena
hai, to main kaisá be-chain hún, jab tak wuh ho na le.
Kyá tum gumán karte ho, ki main
zamín par sulh karáne áyá hún? Main tum se kahtá hún,
ki nahin, balki judáí karáne. Kyúnki ab se ek ghar ke pánch
ápas men mukhálafat rakkhenge, tín se do, aur do se tín mukhálafat
rakkhenge, báp beṭe se, aur beṭá báp se, mán beṭí se, aur
beṭí mán se, sás bahú se, aur bahú sás se.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Hamáre nazráne qabúl farmá
Jin se hamárí naját ká shándár kám injám pátá hai
‘ináyat kar ki ham tujh se yih chízen pá kar aur inhen
terí nazr kar ke
Tujh hí ko páne ke qábal hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 129:
7
Khudáwand ke
pás shafqat hai
aur us ke pás kasrat se fidya hai
Or
(Yúhanná) Jn 6: 51-52
Khudáwand farmátá hai ki Main wuh
zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe to hamesha
tak zinda rahegá
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai mihrbán Khudáwand Khudá
Ham is pák ‘ibádat ke zarí‘a Masíh hí men sharík húe hain
Ham tujh se ‘ájizí ke sáth iltijá karte hain
‘ináyat kar ki ham is jahán men us ke ham-shakl ban kar
Ásmán men us ke ham-nashín banne ke qábal hon
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak
Zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment