Sál ke daurán uníswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 73: 20, 19, 22, 23
Ai Khudáwand apne ‘ahd o paimán ká liház kar,
Apne miskín bandon ko hamesha ke liye bhúl na já
Uṭh ai Khudáwand tú apní hí wakálat kar
Apne tálibon kí áwázon ko farámosh na kar
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir i Mutlaq aur abdí Khudá
Ham tujhe apná Báp kahne kí jurat karte hain
Hálánki ham is láiq nahín
Hamáre dilon men
Lepálak farzandon kí rúh ko mukammal kar
Táki ham wa‘de kí mírás men dákhil hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hikmat kí kitáb) Wisdom 18:6-9
Jis tarah tú
ne hamáre dushmanon par sazá bhejí, usí tarah tú ne hamen
apne pás buláyá aur ‘izzat bakhshí.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 32:1, 12 18-20, 22 Jamá‘ati jawáb áyát: 12
Jamá‘ati jawáb: Mubárak hai wuh ummat jis ko Khudáwand ne chun liyá hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon ke nám) Hebrews 11:1-2.8-19
Ibráhím us shahr ká ummedwár thá, jis ká sáne‘ aur mia‘már Khudá
hai
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: Cf. (Matí) Matthew 11:25
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hai tú ai Báp,
Ásmán aur zamín ke Khudáwand
Ki tú ne bádsháhat ke ráz
Mah’z chhoṭon par záhir kiye hain.
Hallelujah
Yá
(Matí) Mt 24:42 44
Hallelujah, Hallelujah
Jágte raho, aur taiyár raho
Kyúnki tum nahín jánte
Ibn i Insán kab áegá
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
12:32-48
Tum bhí taiyár raho
Yisú‘ ne apne shágirdon se
kahá: Ai chhoṭe galle na ḍar; kyúnki tumháre Báp ko pasand áyá, ki
bádsháhí tumhen de.
Apná
mál o asbáb bech ḍálo aur khairát do, aur apne liye aise baṭúe
banáo, jo puráne nahín hote, ya‘ní ásmán par ná-mumkin ulzawál khazána jahán chor nazdík nahín játá, aur kíṛá kharáb
nahín kartá. Kyúnki jahán tumhárá khazána
hai, wahín tumhárá dil bhí lagá rahegá.
Kamar
bastah raho, aur apne chirág̣h raushan rakkho. Aur tum un ádmíon kí
mánind ho, jo apne málik kí ráh dekhte hon, ki wuh shádí men
se kab wápas áegá, táki jab áe, aur khaṭkhaṭáe to fauran us ke wáste
khol den. Mubárak hain wuh g̣hulám jinhen málik á kar
jagtá páe. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh áp kamar bándh
kar unhen kháná kháne ko biṭháegá, aur un kí khidmat
kartá jáegá. Aur agar wuh rát ke dúsre pahar, yá tísre pahar áe, aur unhen
aisá páe, to wuh g̣hulám mubárak hain. Lekin yih ján rakkho, ki agar
ghar ká málik jántá ki chor kis ghaṛí áegá, to wuh jágtá rahtá, aur
apne ghar men naqb lagne na detá. Pas tum bhí taiyár raho, ki jis
ghaṛí tum khiyál bhí nahín karte Ibn-i-Insán áegá.
Tab
Patras ne us se kahá, ki ai Khudáwand tú yih tamsíl ham hí se kahtá
hai, yá sab se? Khudáwand ne kahá: Kaun hai wuh ímándár, aur
hoshiyár muntazim jise málik ne apne ghar par muqarrar kiyá, táki paimánah gandum waqt par
unhen diyá kare. Mubárak hai wuh g̣hulám jise málik á kar yún
hí kartá páe. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh use apne
sáre mál ká mukhtár kar degá. Lekin agar wuh g̣hulám apne dil men
kahe, ki merá málik áne men der kartá hai, aur g̣hulámon aur
laundíon ko márná, aur khaná, píná, aur mast honá shurú kare, to
us g̣hulám ká málik aise din á maujúd hogá, ki wuh intizár na kartá ho,
aur aisí gharí, ki wuh na jántá ho, aur wuh use káṭ ḍálegá, aur
beímánon ke sáth us ká bakhrah kar degá. Pas jis g̣hulám ne apne málik kí marzí ján kar taiyárí na kí,
na us kí marzí ke mutábiq ‘amal kiyá, wuh bahut már kháegá. Magar jis ne
na ján kar már kháne ká kám kiyá, wuh thoṛí már kháegá. Pas jise
bahut diyá gayá, us se bahut talab kiyá jágegá, aur jise bahut saunpá
gayá, us se ziyáda mángá jáegá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Shoter form: (Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 12:35-40
Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá:
Kamar
bastah raho, aur apne chirág̣h raushan rakkho. Aur tum un ádmíon kí mánind ho, jo apne málik
kí ráh dekhte hon, ki wuh shádí men se kab wápas áegá,
táki jab áe, aur khaṭkhaṭáe to fauran us ke wáste khol den.
Mubárak hain wuh g̣hulám jinhen málik á kar jagtá páe. Main
tum se sach kahtá hún, ki wuh áp kamar bándh kar unhen
kháná kháne ko biṭháegá, aur un kí khidmat kartá jáegá. Aur
agar wuh rát ke dúsre pahar, yá tísre pahar áe, aur unhen aisá páe, to
wuh g̣hulám mubárak hain. Lekin yih ján rakkho, ki agar ghar ká
málik jántá ki chor kis ghaṛí áegá, to wuh jágtá rahtá, aur apne ghar
men naqb lagne na detá. Pas tum bhí taiyár raho, ki jis ghaṛí tum khiyál
bhí nahín karte Ibn-i-Insán áegá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai mihrbán aur shafíq Khudáwand Khudá
Tú ne apne karam se hamen yih chízen bakhshí
hain
Táki ham inhen terí nazr kar saken
Tú apní qudrat se
Inhen hamárí naját ká pur-ma‘ni aur muassir zarí‘a
baná detá hai
Pas ham se rází ho kar
Apní kalísiyá ke yih hadye qabúl farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 147: 12, 14
Ai Yarúshalem, Khudáwand kí hamd kar, wuh tujhe genhún
ke maida se ásúda kartá hai.
Or
(Yúhanná) Cf. Jn 6: 51
Khudáwand
farmátá hai ki jo roṭí jahán kí zindagí ke liye Main dúngá
wuh merá gosht hai.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham
Tere niháyat pák sákráminṭon men
Sharík ho kar naját páen
Aur terí sacháí kí raushaní men qáim rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment