Masíh Khudáwand kí Tabdílí-i Súrat kí ‘Íd
Hallelujah: (Matí) Matthew 17:5
Hallelujah, Hallelujah
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb,
jis se main khush hún,
us kí suno
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 9:28-36
Yisú‘ ke du‘á karte waqt us ke chihre kí súrat
badal gayí.
Ek din Yisú‘, Patras, aur Yúhanná, aur Ya‘qúb
ko sáth le kar ek paháṛ par du‘á karne gayá. Aur us ke du‘á karte waqt us
ke chihre kí súrat badal gayí, aur us kí poshák safed barráq ho gayí.
Aur dekho, do ádmí us se guftagú kar rahe the, yih Músá
aur Iliyás the. Jo jalál men dikháí diye, aur us ke intiqál ká zikr
karte the, jo Yarúshalem men hone ko thá. Magar Patras aur us ke
sáthí nínd se bhare the, aur jab jáge to us ke jalál ko, aur un do
ádmíon ko dekhá jo us ke sáth khaṛe the. Aur jab wuh us se judá
hone lage, to Patras ne Yisú‘ se kahá, ki Ai Ustád hamárá yahán
honá achchhá hai, pas ham tín ḍere banáen, ek tere liye, aur ek Músá
ke liye, aur ek Iliyás ke liye, lekin wuh jántá na thá ki kyá kahtá hai.
Wuh yih kah hí rahá thá, ki bádal áyá, aur un par sáya kiyá, aur in ke
bádal men dákhil hone par wuh ḍar gaye. Aur bádal men
se ek áwáz áí, ki yih merá Beṭá hai, Almaqbúl, tum us kí suno. Aur
áwáz áte hí Yisú‘ akelá páyá gayá, aur wuh chup rahe, aur unhon
ne jo kuchh dekhá thá, un dinon men kisí se kuchh na kahá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
No comments:
Post a Comment