Sál ke daurán teíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr)
Psalm 118:137, 124
Ai
Khudáwand tú ‘ádil hai aur terí qazá rást
Apne
bande se apní nekí ke mutábiq sulúk kar
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai piyáre Báp Khudá
Tú hí hamárí naját ká bání hai
Tú hí hamen apná farzand baná letá
hai
Mihrbání
se apne piyáre bandon par tawajjuh kar
Táki ham
Masíh par ímán lá kar sachchí ázádí aur dáimí mírás páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle
se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur
sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí
Tiláwat:
(Hikmat kí kitáb) Wisdom 9:13-18
Khudáwand kí marzí ko kaun samajh saktá hai?
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 89:3-6, 12-14, 17 Jamá‘ati jawáb áyát: 1
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand
tú hí pusht dar pusht
Hamárí
panáhgáh rahá hai
Dusrí
Tiláwat:
(Muqaddas
Paulus Rasúl Ká Khatt Filemon ke nám) Philemon 9-10.12-17
Use phir qubúl kar, g̣hulám kí tarah nahín
balki bháí kí tarah.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah (Yúhanná) John 15:15
Hallelujah Hallelujah
Khudáwand farmátá hai main tumhen dost kahtá hún
kyúnki jo báten main ne
apne Báp se suní hain
wuh sab tumhen batá dí hain
Hallelujah
Yá
Hallelujah (Zabúr) Psalm 118:135
Hallelujah Hallelujah
Apná chihra apne bande par jalwagar farmá
Aur apne qawanín kí mujhe ta‘lím de
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 14:25-33
Ek din ek baṛá
hujúm us ke hamráh já rahá thá, to us ne phir kar un se kahá, ki agar
koí mere pás áe, aur apne báp, aur mán, aur bíwí, aur bachchon,
aur bháiyon, aur bhainon se balki apní ján se bhí kína na
rakhe, to wuh merá shágird nahín ho saktá. Aur jo apní salíb na
uṭháe, aur mere píchhe na áe wuh merá shágird nahín ho saktá.
Kyúnki tum
men se aisá kaun hai, ki jab wuh burj banáná cháhai to pahle baiṭh
kar tassurf ká hisáb na kar le, ki áyá mere pás us kí takmíl karne ká
sámán hai, yá nahín. Aisá na ho, ki jab neo rakkhe aur taiyár na
kar sake, to jo log dekhen wuh sab us par hansne lagen.
Aur kahen ki is shakhs ne ta‘mír shurú‘ to kí magar takmíl na
kar saká.
Yá kaun aisá
bádsháh hai, jo dúsre bádsháh se jang karne jáne ko ho, to pahle baiṭh
kar mashwara na kar le, ki áyá main das hazár ke sáth us ká sámná
kar saktá hún yá nahín. Jo bís hazár le kar mujh par
chaṛhá átá hai? Nahín to jab wuh hanoz dúr hí hai, qásid bhej
kar sharáit-i sulh kí darkhwást karegá. Pas isí tarah jo koí tum
men se apná sab kuchh tark na kare, merá shágird nahín ho
saktá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai niháyat rahím Khudá
Haqíqí ‘aqídat aur dilí itmínán tujh hí
se átá hai
Bakhsh de ki ham yih hadya lá kar
Munásib taur par terí ‘azmat kí ‘izzat karen
Aur pák ‘ibádat men sharík ho kar
Tere sáth aur ápas men
Ek hone ke ehsás kí taufíq páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle
se. Ámín.
Pák
Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf.
(Zabúr) Psalm 41:2-3
Jis tarah harní pání kí nadíon kí
joyá hotí hai
Waise hí, ai Khudáwand merí ján
terí mushtáq hai
Merí rúh Khudá kí zinda Khudá
kí piyásí hai
OR
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand farmátá hai, dunyá ká núr main hún,
jo merí pairawí karegá, wuh tárikí men
nahín chalegá
balki zindagí ká núr páegá.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú apne Pák Kalám aur aur ásmání
Sákráminṭ donon se
Apne ímán lánewálon kí parwarish
kartá aur inhen zindagí bakhshtá hai
Hamen
yih ‘ináyat kar ki
Tere
piyáre Beṭe kí itní baṛí ni‘maton se fáida uṭháen
Aur
hamesha har bát men
Us kí
zindagí men sharík hone páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle
se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment