Sál ke daurán Pachíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
Khudá farmátá hai ki ummat ká bachánewálá main hí hún,
Wuh kaise bhí dukh men mujhe pukáren main un kí
sunúngá,
Main hamesha ke liye unhí ká Khudáwand rahúngá.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú ne Pák Sharí‘at aur Muqaddas Injíl ke tamám qawá‘id ko
Is maqsad se muqarrar farmáyá hai
Ki ham tujh ko, aur hamsáye ko bhí piyár karná síkhen
‘ináyat kar ki ham
Tere hukmon ko mán kar
Hamesha kí zindagání hásil karne ke qábil ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús kí kitáb) Amos 8:4-7
Un ke khiláf jo miskín ko rupaye ke liye kharídte
hain.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 112: 1-2. 4-8 Jamá‘ati
jawáb áyat: 1. 7
Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand kí
hamd karo, jo miskín ko uṭhá letá hai
Yá
Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Timutáús ke nám) 1 Timothy
2:1-8
Khudá ke huzúr har ek ke
liye du‘áen kí jáen, jo ki cháhtá hai, ki sab ádmí naját
páen.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: cf. (A‘mál) Acts 16:14
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand hamáre dil khol
Ki tere Beṭe kí báton ko qabúl karen.
Hallelujah
Yá
Hallelujah:( 2 Qurintíon) 2 Cor 8:9
Hallelujah, Hallelujah
Yisú‘ Masíh daulatmand ho kar
Tumhárí khátir g̣haríb ban gayá
Táki tum us kí g̣haríbí ke sabab se daulatmand ban jáo
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq)
Luke 16:1-13
Tum Khudá aur daulat donon kí g̣hulámí nahín
kar sakte.
Ek din Yisú‘ ne apne shágirdon
se kahá, ki ek daulatmand ádmí thá, jis ká ek mukhtár thá, aur us
ke pás us par ilzám lagáyá gayá, ki yih terá mál uṛátá hai, tab us ne
use bulá kar kahá, ki yih kyá hai jo main tere haq men suntá
hún, apní mukhtárí ká hisáb de, kyúnki áinda tú
mukhtár nahín rah saktá. Us mukhtár ne apne jí men
kahá, ki main kyá karún kyúnki merá málik mukhtárí
mujh se letá hai, khudáí mujh se hotí nahín, aur bhík mángne
se mujhe sharm átí hai. Mujhe ma‘lúm hai ki kyá karná cháhíye, táki jab
mukhtárí se ma‘zúl ho
jáún, to log mujhe apne gharon men jagah den. Pas
apne málik ke ek ek qarzdár ko bulá kar pahle se púchhá ki tú mere málik
ká kitná dharátá hai? Us ne kahá sau bat tel, us ne us se kahá, ki apní dastáwez le, aur
jald baiṭh kar pachás likh de. Phir dúsre se kahá, tú kitná dharátá hai, us ne kahá sau kurr gehún. Us ne us se kahá, apní dastáwez le
aur assí likh de. Tab málik ne bad-diyánat mukhtár kí ta‘ríf kí,
is liye ki us ne hoshyárí kí thí, kyúnki is duniyá ke farzand núr
ke farzandon kí nisbat apne taur taríq men ziyáda hoshyár hain.
Pas main tum se kahtá hún, ki ná-rástí kí daulat se apne
liye dost paidá karo táki jab wuh tum se játí rahe to yih dáimí maskanon
men tumhen qabúl karen. Jo thoṛe se thoṛe men
diyánatdár hai wuh bahut men bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe men
bad-diyánat hai, wuh bahut men bhí bad-diyánat hai. Pas agar tum
ná-rást daulat men diyánatdár na ṭhahre to haqíqí daulat tumhen
kaun suprud karegá? Aur agar tum begáne mál men diyánatdár na
ṭhahre to jo tumhárá apná hai use kaun tumhen degá. Koí g̣hulám
do málikon kí g̣hulámí nahín kar saktá, is liye ki yá ek
se kínah rakkhegá, aur dúsre se muhabbat, yá ek se milá rahegá, aur
dúsre ko ná-chíz jánegá, tum Khudá aur daulat donon kí
g̣hulámí nahín kar sakte.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Shorter
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
16:10-13
Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá, Jo thoṛe se thoṛe men
diyánatdár hai wuh bahut men bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe men
bad-diyánat hai, wuh bahut men bhí bad-diyánat hai. Pas agar tum
ná-rást daulat men diyánatdár na ṭhahre to haqíqí daulat tumhen
kaun suprud karegá? Aur agar tum begáne mál men diyánatdár na
ṭhahre to jo tumhárá apná hai use kaun tumhen degá. Koí g̣hulám
do málikon kí g̣hulámí nahín kar saktá, is liye ki yá ek
se kínah rakkhegá, aur dúsre se muhabbat, yá ek se milá rahegá, aur
dúsre ko ná-chíz jánegá, tum Khudá aur daulat donon kí
g̣hulámí nahín kar sakte.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbání se apní chuní húí qaum ke nazráne qabúl farmá
Táki tere bande Pák ‘ibádat men sharík ho kar
Apne ímán ke ‘aqídat-mandí ke iqrár ke mutábiq
Roṭí aur mai kí súraton men
Tere piyáre Beṭe ko páen
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá
hai. Ámín
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 118:4-5
Tú ne apne qawái‘d
is liye diye hain ki jí ján se máne jáen.
Kásh merí ráhen
aisí mustaqil hon ki main tere qawánín ko mánún.
OR
(Yúhanná) Jn 10:14
Khudáwand farmátá
hai: Achchhá charwáhá main hún,
Main apní bheṛon ko jántá
hún, aur wuh merí bheṛen mujhe jántí hain
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú apní pák
chízen de kar
Hamárí parwarish
kartá hai
Apní mihrbání se lagátár hamárí madad kar
Táki ham Pák ‘ibádat ke zarí‘a
Aur apne nek chál chalen ke sabab
Naját ká phal hasil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment