Tuesday, 10 September 2013

Terá Kalám zamáne men ai Khudáwandá


"God gave me the gift of the Holy Spirit to listen to the whispering of His revelation about the WORD and guided me to put in the poetry & music form. God's revelation came in the month of December 1987, when I was staying in the Franciscan Friary and was in the final year in Christ the King Seminary in Karachi. The hymn, first time ever, was sung by the choir of Sada-e-Daur parish in Korangi, when the first Bible Sunday was celebrated in Pakistan. It was recorded in 1988". Fr. Francis Tanveer

Lyrics:

Terá Kalám zamáne men ai Khudáwandá
asar dikhá ke rahá jis bhí rúp men áyá
Tere Kalám ne ráton ko raushaní bakhshí
Tere Kalám ne tufán ká rukh badal d́álá
Terá Kalám hai shu‘la bhí aur shabnam bhí
Terá Kalám hai anmol ai Khudáwandá
Tere Kalám ne logon ko bakhshí ázádí
Tere Kalám se duniyá men inqiláb áyá
Na thá wajúd kisí shai ká jab zamáne men

Khudáyá tú thá tere sáth terá Kalma thá.

No comments:

Post a Comment