Friday, 13 September 2013

15 September 2013, 24th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán chaubíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
(Yishú‘ bin Sirákh) Sirach 36:18
Ai Khudáwand jo terá intizár karte hain un ko salámatí bakhsh
Táki tere ambiyá kí sachchái záhir ho
Apne bande aur apní ummat kí du‘áen qabúl kar.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudá
Tamám káinát ke kháliq aur málik hamárí taraf tawajjuh kar
Bakhsh de ki ham dil o ján se terí ‘ibádat aur terí khidmat karen
Táki ham tere rahm o karam ká asar mahsús karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat: 
(Khurúj kí kitáb) Exodus 32:7-11, 13-14
Khudáwand us bad-sulúkí se jo us ne apní qaum se karne ko kahá thá ruk gayá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm:
Zabúr: Psalm 50: 3-4. 12-13. 17. 19. Jamá‘ati jawáb áyat: (Lúqá) Luke 15:18
Jamá‘ati jawáb: Main uṭh kar apne Báp ke pás jáún

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Timutáús ke nám) 1Tim 1:12-17
Masíh Yisú‘ is duniyá men áyá ki gunahgáron ko bacháe

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho

Gospel Acclamation
Hallelujah: cf. (Ifisíon) Ephesians 1:17.18
Hallelujah, Hallelujah
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ká Báp
Hamáre dil kí ánkhen raushan kare
Táki ham samajh len ki us ke buláwe kí hamen kyá ummed hai
Hallelujah
Hallelujah: (2 Qurintíon) 2 Corinthians 5:19
Hallelujah, Hallelujah
Khudá Masíh ke wasíle, duniyá ko apne sáth miláyá thá
Aur us ne mel miláp ká yih paig̣hám hamen saunp diyá hai.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 15:1-32
Ek tá’ib gunahgár ke bá‘is ásmán par ziyáda khushí hogí.

Un dinon sab muhassil aur gunahgárYisú‘ ke pás áe the, táki us kí sunen. Aur Farísí aur faqíh yún kahte húe i‘tiráz karte the ki, yih gunahgáron se miltá, aur un ke sáth kháná khátá hai. Tab us ne un se yih tamsíl kahí ki
   Tum men se aisá kaun ádmí hai jis ke pás sau bheṛen hon, aur un men se ek kho jáe to ninnánawe ko biyábán men na chhoṛe, aur jab tak use na páe us khoí húí ko ḍhúnḍtá na phire? Aur jab páe to khush ho kar use apne kandhe par uṭhá letá hai. Aur ghar á kar doston aur paṛausiyon ko bulá kar un se yún kahtá hai ki mere sáth Khushí karo kyúnki main ne apní khoí húí bheṛ páí. Main tum se kahtá hún ki isí tarah ninnánawe rástbázon kí nisbat, jo tauba ke muhtáj nahín ek táib gunahgár ke bá‘is ásmán par ziyáda khushí hogí.
 Yá kaun aisí ‘aurat hai, jis ke pás das dirham hon, aur ek dirham kho jáe, to chirág̣h jalá kar ghar men jháṛú na de aur jab tak na páe, koshish se ḍhúnḍhtí na rahe. Aur jab páe, to saheliyon aur paṛausinon ko yún kah kar na buláe ki mere sáth khushí karo ki main ne apná khoyá húá dirham páyá. Main tum se kahtá hún ki isí tarah ek táib gunahgár ke bá‘is Khudá ke firishton ke sámne khushí hotí hai.
  Phir us ne kahá, kisí shakhs ke do beṭe the. Un men se chhoṭe ne báp se kahá, ai báp mál ka wuh hissa jo mujhe átá hai, mujhe de. Us ne mál unhennṭ diyá. Aur bahut din na guzre , ki chhoṭá beṭá sab kuchh jama‘ kar ke dúr daráz mulk ko rawána húá, aur wahán us ne apná mál aubáshí men uṛá diyá. Aur jab sab kharch kar chukka, to us mulk men sakht kál paṛá. Aur wuh muhtáj hone lagá. Tab us mulk ke ek báshinde ke hán já paṛá: us ne use apne kheton men súar charáne bhejá. Aur wuh cháhtá thá ki un chhilkon se jo súar kháte the, apná peṭ bhare; magar koí use na detá thá.
  Tab us ne hosh men á kar kahá, ki mere báp ke kitne mazdúron ko bahut roṭí miltí hai, aur main yahán bhúká martá hún. Main uṭh kar apne báp ke pás jáúngá aur us se kahúngá, ki ai báp main ne ásmán ká aur terí nazar men gunáh kiyá hai. Ab is láiq nahín rahá ki phir terá beṭá kahláún; mujhe apne mazdúron men se ek kí mánind baná.
  Aur uṭh kar wuh apne báp ke pás chalá, aur abhí wuh dúr hí thá, ki use dekh kar us ke báp ko tars áyá, aur dauṛ kar use gale lagá liyá aur mukarraran chumá. Beṭe ne us se kahá, ki ai báp, main ne ásmán ká aur terí nazar men gunáh kiyá hai, aur ab is láiq nahín rahá ki phir terá beṭá kahláún. Magar báp ne apne g̣hulámon se kahá, ki jaldí se achchhí se achchhí poshák nikál láo aur use pahináo, aur us ke háth men angúṭhí aur pánw men jútí pahináo. Aur pale húe bachhṛe ko lá kar zabh karo, ki ham kháen aur khushí manáen; kyúnki merá yih beṭá murda thá, ab zinda ho gayá hai; kho gayá thá, ab milá hai. Pas wuh khushí karne lage.
  Aur us ká baṛá beṭá khet men thá, jab wuh ghar ke nazdík áyá to rág aur nách kí áwáz suní. Tab ek g̣hulám ko bulá kar púchhá ki yih kyá hai? Is ne us se kahá, terá bháí áyá hai, aur tere báp ne palá húá bachhṛá zabh kiyá hai, is liye ki use sahih salámat páyá. Us ne khafá ho kar na cháhá ki andar jáe. Magar us ká báp báhar á kar use manáne lagá. Us ne jawáb men apne báp se kahá, dekh itne barason se main terí khidmat kartá rahá aur kabhí tere hukm ke khiláf na chalá, magar tú ne kabhí ek bakrí ká bachcha bhí mujhe na diyá ki main apne doston ke sáth khushí manáún. Magar jab terá yih beṭá áyá, jis ne apná mál kasbíon par uṛáyá. To tú ne us ke liye palá húá bachhṛá zabh kiyá. Us ne us se kaha beṭá, tú hamesha mere pás hai aur jo kuchh merá hai wuh terá hí hai. Lekin khushí manáná aur shádmán honá wájab thá, kyúnki terá yih bháí murda thá, ab zinda ho gayá hai, kho gayá thá, ab milá hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Shorter
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq)Luke 15:1-10
Ek tá’ib gunahgár ke bá‘is ásmán par ziyáda khushí hogí.

  Un dinon sab muhassil aur gunahgárYisú‘ ke pás áe the, táki us kí sunen. Aur Farísí aur faqíh yún kahte húe i‘tiráz karte the ki, yih gunahgáron se miltá, aur un ke sáth kháná khátá hai. Tab us ne un se yih tamsíl kahí ki
  Tum men se aisá kaun ádmí hai jis ke pás sau bheṛen hon, aur un men se ek kho jáe to ninnánawe ko biyábán men na chhoṛe, aur jab tak use na páe us khoí húí ko ḍhúnḍtá na phire? Aur jab páe to khush ho kar use apne kandhe par uṭhá letá hai. Aur ghar á kar doston aur paṛausiyon ko bulá kar un se yún kahtá hai ki mere sáth Khushí karo kyúnki main ne apní khoí húí bheṛ páí. Main tum se kahtá hún ki isí tarah ninnánawe rástbázon kí nisbat, jo tauba ke muhtáj nahín ek táib gunahgár ke bá‘is ásmán par ziyáda khushí hogí.
  Yá kaun aisí ‘aurat hai, jis ke pás das dirham hon, aur ek dirham kho jáe, to chirág̣h jalá kar ghar men jháṛú na de aur jab tak na páe, koshish se ḍhúnḍhtí na rahe. Aur jab páe, to saheliyon aur paṛausinon ko yún kah kar na buláe ki mere sáth khushí karo ki main ne apná khoyá húá dirham páyá. Main tum se kahtá hún ki isí tarah ek táib gunahgár ke bá‘is Khudá ke firishton ke sámne khushí hotí hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Hamárí iltijáen sun kar ham se rází ho
Apne bandon aur bandíon ke yih nazráne qabúl kar
Táki tere Pák nám kí ta‘zím ke liye ek ek ká nazrána
Sab kí naját ke liye mufíd ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 35:8
Ai Khudáwand terá karm kyá hí besh qímat hai.
Baní nau‘ insán tere paron ke sáye kí panáh lete hain
OR
(1Qurintíon) 1 Cor 10:16
Barkat ka piyála jis par barkat dete hain,
Masíh ke khún kí shirákat hai.
Wuh roṭí jo ham toṛte hain wuh Masíh ke badan kí shirákat hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat farmá ki ásmání ni‘mat kí tásír se
Ham jism aur rúh donon ke liház se
Qábú men rahen
Táki hamárí koí zátí rag̣hbat nahín
Balki isí ni‘mat ká asar
Hamárí ráhbarí kare
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment