Friday, 30 August 2013

1 September 2013, 22nd Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán báíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm 85:3, 5
Ai Khudáwand mujh par rahm kar kyúnki main din bhar tere áge nálá kartá rahá hún.
Is liye ki tú Khudáwand nek aur g̣hafúr hai
aur apne iltijá karnewálon par niháyat rahím hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Lashkaron ke Khudá
Har afzal chíz terí milkiyat hai
Apne nám kí muhabbat ham men dil-nashín kar de
Aur hamen dín-dárí kí taraqqí ‘atá kar
Táki ham men nekíon aur khúbíonparwarish ho
Aur wuh terí khabargírí ke sáth
Parwarish pá kar mahfúz bhí rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yisú‘ bin Sirákh) Ecclesiasticus 3:19-21, 30-31
Halímí ikhtiyár kar to, tú Khudáwand ká maqbúl hogá
Mere beṭe! Apne kám halímí se kar, to maqbúl sakhs ká piyárá hogá. Jitná tú ‘azmat men baṛhe, utná hí apne áp ko farotan kar, to Khudáwand kí khushnúdí tujhe hásil hogí. Kyúnki Khudáwand kí qudrat ‘azím hai, aur farotanon se us kí tamjíd hotí hai.
Mag̣hrúron kí jamá‘at ke liye ‘iláj nahín, kyúnki badí ká paudá un men jaṛ pakaṛegá, aur us ká patta bhí na lagegá. ‘Aqlmand ádmí ká dil tamsíl par g̣haur kartá hai, aur dánishmand kí khwáhish hotí hai, ki dhiyán se sune.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm:
Zabúr: 67:4-7, 10-11 Jamá‘ati jawáb áyát: Cf. 11
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
        Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.
Rástbáz khushí manáte
aur Khudá ke huzúr shádmání karte hain
Aur wuh farhat se masrúr hote hain
Khudá ke liye gáo, us ke nám kí hamd saráí karo
Khudáwand men shádmán ho, aur us ke huzúr shádmání karo
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.

Khudá apne muqaddas maskan men
Yatímon ká báp aur bewáon ká muháfiz hai
Khudá asíron ko ghar detá hai
Wuh qaidíon ko iqbál-mandí kí taraf nikál látá hai.
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.

Ai Khudá tú ne apní mírás men ba kasrat menh barsáyá,
Aur jab yih murjhá rahí thí to tú ne use tázagí bakhshí.
Terá gallah us men basne lagá
Ai Khudá, tú ne apní ‘ináyat se use muhtáj ke liye taiyár kiyá.
Ai Khudá tú ne apní shafqat se,
Muhtáj ke liye ghar taiyár kiyá.

Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon ke nám Khatt) Hebrews 12:18-19.22-24
Tum Koh-i Saihún aur zinda Khudá ke shahr ke pás áe ho.

Ai bháiyo, tum us paháṛ tak nahín  áe jo chhúá já sake, na us kí jaltí ág, aur kálí ghaṭá, aur táríkí, aur túfán aur narsinge ke shor, aur kalám kí áwáz ke pás jise sunnewálon ne sun kar darkhwást kí, ki yih kalám phir ham se na kiyá jáe. Lekin tumhen Koh-i Saihún par, aur zinda Khudá ke shahr ya‘ní ásmání Yarúshalem, aur lákhon firishton kí mahfil, aur pahlauṭhon kí jamá‘at men jin ke nám ásmán par likhe húe hain, aur us Khudá ke pás jo sab ká munsif hai, aur kámil kiye húe rástbázon kí rúhon ke pás, aur ‘ahd-i-Jadíd ke darmiyání Yisú‘, ke pás áe ho.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:23
Hallelujah Hallelujah 
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah 
Hallelujah: (Matí) Matthew 11:29
Hallelujah, Hallelujah
Merá júá uṭhá lo, aur mujh se síkho,
Kyúnki main halím, aur dil ká farotan hún
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 14:1.7-14
Jo koí apne áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá, aur jo koí apne áp ko chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.

Ek Sabt ke din aisá húá ki Yisú‘ Farísíon ke sardáron men se kisí ke ghar roṭí kháne gayá, aur wuh us kí ghát men rahe. Jab us ne dekhá, ki mihmán kyún kar sadr jagah pasand karte hain, to us ne un ke liye ek tamsíl pesh kí, aur un se kahá, jab tú shádí men buláyá jáe to sadr jagah par na baiṭh, sháyad ki tujh se bhí koí ziyáda ‘izzatdár buláyá gayá ho, aur jis ne tujhe aur use donon ko buláyá hai á kar tujh se kahe ki yih jagah us ko de, aur tujh ko sharminda ho kar sab se níche baiṭhná paṛe. Balki jab tú buláyá jáe, to sab se níchí jagah baiṭh, táki jab wuh jis ne tujhe buláyá hai áe, to tujh se kahe,  ki Ai dost, áge baṛh kar já baiṭh, tab sab mihmánon ke sámne terí ‘izzat hogí, kyúnki jo koí apne áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá, aur jo koí apne áp ko chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.
Phir us ne us se bhí jis ne us kí da‘wat kí thí kahá ki jab tú chásht yá ‘isháiyyah kí taiyárí kare to apne doston yá bháiyon yá rishtadáron yá daulatmand paṛausiyon ko na bulá, aisá na ho ki wuh bhí tujhe buláen, aur terá badla ho jáe. Balki jab tú ziyáfat kare to g̣haríbon, lunjon, langṛon, aur andhon ko bulá, aur tú mubárak hogá, kyúnki un ke pás kuchh nahín, ki tujhe badla den, magar tujhe rástbázon kí qiyámat men badla diyá jáegá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘atá kar ki yih pák nazrána
Hamen lagátár terí fazl bakhsh barkat diláe
Aur jo kuchh nishán ke taur par is se hotá hai
Wuh terí muassir qudrat se kámilíyat páe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 30:20
Ai Khudáwand, Terí wuh mihrbání kitní ‘azím hai
jo túne apne ḍarnewalon ke liye rakh chhoṛí hai.
OR
(Matí) Matthew 5:9-10
Mubárak hain wuh jo sulh karáte hain,
wuh Khudá ke farzand kahláenge.
Mubárak hain wuh jo rástí ke sabab satáe gaye hain,
ásmán kí bádsháhat unhín kí hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudá
Ham tujh se iltijá karte hain
‘ináyat kar ki ham ásmání ziyáfat kí roṭí khá kar
Muhabbat kí is g̣hizá ke asar se
Dil is qadr mazbút ho jáen
Ki apne bháiyon men terí khidmat karne ke liye taiyár hún
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Tuesday, 27 August 2013

Muqaddasa Moníká (Saint Monica)

Muqaddasa Moníká, hamáre wáste du‘á kar

Du‘á:
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
Khándání zindagí terí taraf se hotí hai
Magar ba‘z daf ‘ah kuchh gharon men
Insání kamzorí kí waja se ikhtiláfát páe játe hain
Jis se khándán mustássir hote hain
‘atá kar ki Muqaddasa Moníká kí du‘áon kí badaulat
Hamáre khándánon men am’n o ittihád qáim rahe
aur máon kí du‘áon se bachche Khudáwand se mile rahen. Ámín.


To learn more about Saint Monica click here

Holy Mass in Urdu on Sunday, 1 September 2013

22nd Sunday in Ordinary Time C
Sál ke daurán báíswán Itwár

Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday 1st  September 2013
Time: 3 pm



View Larger Map
The Mass is followed by the sharing of a meal together. Everyone is welcome.
Holy Mass in Urdu every first Sunday of the month at 3pm

Friday, 23 August 2013

25 August 2013, 21st Sunday in Ordinary Time C

Sál ke daurán Ikkíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 85: 1- 3
Ai Khudáwand apná kán jhuká aur merí sun.
Ai mere Khudá tere bande ká tawakkul tujh hí par hai. Use riháí bakhsh de.
Ai Khudáwand, mujh par rahm kar; kyúnki main din bhar tere pás chillátá rahá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Wáhid Khudá
Tú ímándáron ko yak dil banátá
Aur un ko ittifáq aur ittihád kí taufíq ‘ata kartá hai
‘ináyat kar ki tere log
Tere hukmon ko ‘azíz jánen
Aur tere wa‘don ke púre hone kí tamanná karen
Táki wuh is badaltí húí duniyá kí badaltí hálaton men
Apne dilon ko badale bag̣hair
Haqíqí khushí kí taraf lagáe rakhen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Isha‘yá  nabí ká sahífa) Isaiah 66:18-21
Wuh tumháre sab bháiyon ko tamám aqwám ke darmiyán se láenge
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Pslam
Zabúr: Psalm 116  Jamá‘ati jawáb áyát: (Marqus) Mark 16:15
Jamá‘ati jawáb: Tamám duniyá men já kar Injíl kí munádí karo
Ai sab qaumo Khudáwand kí hamd karo
Ai sab ummato us kí tausíf karo
          Tamám duniyá men já kar Injíl kí munádí karo
Kyúnki us kí rahmat ham par ustuwár hai
Aur Khudáwand kí wafá abad tak qáim hai
Tamám duniyá men já kar Injíl kí munádí karo

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon ke nám) Hebrews 12:5-7.11-13
Khudáwand jis ko piyár kartá hai, us kí tádíb kartá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:23
Hallelujah Hallelujah 
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah 
Hallelujah: (Yúhanná) John14:6
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand farmátá hai Ráh, aur Haqq, aur Zindagí main hún
Mere wasíle ke bag̣hair Báp ke pás koí nahín á saktá.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 13:22-30
Mashriq, aur mag̣hrib se log áenge aur Khudá kí bádsháhí kí ziyáfat men sharík honge.

Un dinon men Yisú‘  Yarúshalem játe húe shahr shahr aur gánw gánw phir kar ta‘lím detá thá. Aur kisí ne us se kahá, ai Khudáwand, kyá naját pánewale thoṛe hain? Us ne un se kahá, jánfishání karo, ki tum tang darwáze se dákhil ho, kyúnki men tum se kahtá hún, ki bahutere koshish karenge ki dákhil hon magar ho na sakenge.
Jab ghar ká málik uṭh kar darwáza band kar chuká ho, to tum báhar khaṛe ho kar yún kahte húe darwáze khaṭkhaṭáná shurú karoge, ki ai Khudáwand hamáre liye khol de, aur wuh jawáb de kar tum se kahegá, ki main tumhen nahín pahchántá, tum kahán ke ho? Tab tum kahne lagoge, ki ham ne tere huzúr men kháyá piyá, aur tú ne hamáre bázáron men ta‘lím dí. Lekin wuh tum se kahegá, main tumhen nahín pahchántá, tum kahán ke ho? “Ai sáre badkardáro, mere pás se dúr ho jáo”
Wahán roná aur dánton ká bajná hogá, jab Ibráhím, aur Isháq, aur Ya‘qúb, aur sab nabíon ko Khudá kí bádsháhí men shámil, aur apne áp ko báhar nikálá húá dekhoge. Aur mashriq, mag̣hrib, shimál, janúb se log á kar Khudá kí bádsháhí kí ziyáfat men sharík honge.
Aur dekho, ba‘z ákhir aise hain jo awwal honge, aur ba‘z awwal hain, jo ákhir honge.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú ne ek hí zabíhah ke ek bár qurbán hone ke zarí‘a
Apne liye lepálak farzandon kí qaum kharídí hai
Apne rahm o karam se apne kalísiyá ko aman aur ittihád kí taufíq ‘ináyat farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 103: 13-15
Ai Khudáwand terí san‘aton ke samar se zamín ásúda hogí
táki tú zamín se roṭí nikále
aur mai insán ke dil ko khush kare.
Or
(Yúhanná ) John 6:55
Khudáwand farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai
wuh hamesha kí zindagí rakhtá hai,
aur main use yaum-i akhar men phir zinda karúngá.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tujh se minnat karte hain
Ham men apne rahm ke mutábiq púre ‘iláj ká kám kar de
Mihrbán ho kar ham wuh rúh paidá kar
Ki jis se ham khud ba-khud sar-garmí ke sáth sab kuchh terí pasand ke muwáfiq karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here