‘Íd i Fasah se pahle, Yisú‘ yih
jánte húe, ki merá waqt á pahunchá hai ki duniyá se rihlat kar ke
Báp ke pás jáún, jab ki apnon ko jo duniyá men the
piyár kartá thá, unhen ákhir tak piyár kartá gayá.
Aur shám ká kháná kháte waqt,
jab ki shaitán ne Yahúdáh bin Sham‘aún Iskharyotí ke dil men
ḍálá thá, ki use pakaṛwáe, yih jánte húe ki Báp ne sab chízen
mere háth men kar dí hain, aur ki main Khudá se
niklá aur Khudá ke pás játá hún. Us ne kháne se uṭh kar
apná libás utárá aur ek katání kapṛá le kar apní kamar men
bándhá. Aur us ke ba‘d básan men pání ḍál kar, shágirdon
ke pánw dhoe, aur jo katání kapṛá kamar men bándhá thá,
us se ponchhne lagá. Pas wuh Shama‘ún Patras ke pás áyá. Is ne
us se kahá; ai Khudáwand, kyá tú mere pánw dhotá hai? Yisú‘
ne jawáb men us se kahá, ki jo kuchh main kartá hún ab
tú nahín jántá magar ba‘d men samjhegá. Patras ne us se
kahá, ki tú mere pánw abad tak kabhí dhone na páegá. Yisú‘ ne use
jawáb diyá agar main tujhe na dhoún, to mere sáth terá hissa
na hogá. Shama‘ún Patras ne us
se kahá, ki ai Khudáwand, sirf mere panw hí nahín,
balki mere háth aur merá sir bhí. Yisú‘ ne us se kahá, wuh jo nahá chuká
hai, use dhone kí hájat nahín, balki sarásar pák hai, tum bhí pák
ho, lekin sab ke sab nahín. Chúnki wuh apne pakaṛwánewále ko
jántá thá, is liye us ne kahá ki tum
sab pák nahín ho.
Pas jab wuh un ke pánw dho chuká,
aur apne kapṛe pahin kar phir baiṭh gayá, to un se kahá, ki kyá tum
samajhte ho ki main ne tumháre sáth kyá kiyá hai? Tum mujhe Ustád
aur Khudáwand kahte ho, aur khúb kahte ho, kyúnki main
hún. Pas jab main ne Ustád aur Khudáwand ho kar
tumháre pánw dhoe, to cháhiye ki tum bhí ek dúsre ke panw
dhoyá karo. Is liye main ne tumhen namúna diyá hai, táki
jaisá main ne tumháre sáth kiyá, waisá hí kiyá karo. Main
tum se sach sach kahtá hún, ki g̣hulám apne málik se baṛá nahín
hotá, aur na bhejá húá bhejnewále se baṛá hotá hai. Agar tum yih báten
samajh kar un par ‘amal karte ho, to tum mubárak ho. (Yúhanná) John 13:1-17
---
To find out more about Holy Thursday click herePrepare your heart to celebrate the Sacred Triduum with “The Hour” an interview with Dr. Scott Hahn on the Paschal Mystery. Click here
Check out The Sacred Page post The Last Supper and the Forgiveness of Sins and the Podcast: Holy Thursday Podcast: Dr. Brant Pitre on the Date of the Last Supper
Leroy Huizenga on the Last Supper and Priesthood Imagery
No comments:
Post a Comment