Friday, 29 March 2013

31st March 2013, Easter Sunday, ‘Íd -i- Qiyámat Al-Masíh



Masíh ke jí uṭhne kí ‘Íd
‘Íd -i- Qiyámat Al-Masíh
Subah kí ‘ibádat (At The Mass During The Day)

khilah (Entrance Antiphon): cf. Zabúr 138: 18,5-6
Main zinda ho kar ek bár phir tumháre sáth hún,
Tú apná shafqat bhará háth mujh par rakhtá hai.
Terí hikmat mere liye bahut ‘azím hai. Hallelujah
Or
(Lúqá) Luke 24:34; cf. (Mukáshafa) Rv 1:6
Khudáwand Masíh dar haqíqat jí uṭhá.
Hallelujah, usí ko jalál aur qudrat
abadu’l ábád tak hásil hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Áj tú ne apne piyáre Beṭe ke wasíle se maut par g̣halib á kar
Hamáre liye hamesha kí zindagí ká darwáza khol diyá hai
Áj ham Khudáwand ke jí uṭhne kí ‘Íd manáte hain
‘atá kar ki ham Rúhu’l Quds ke zarí‘e naye ban kar
Ákhir kár jí uṭhen aur abdí zindagí ke núr menkhil hon
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 10:34, 37-43
Ham ne us ke murdon men se jí uṭhne ke ba‘d us ke sáth kháyá aur piyá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 118:1-2, 16-17, 22-23  Jamá‘ati jawáb áyat:24
Jamá‘ati jawáb:
Yih wuhí din hai jise Khudáwand ne muqarrar kiyá hai.
Ham is ke báre men shádmán hon aur khushí manáen.
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah 

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulssíon ke nám) Colossians 3:1-4
Tum ‘álam i bálá kí chízon kí talásh men raho jahán Masíh hai
Or
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 5:6-8
Puráne khamír ko nikál do, tum táza gundhá húá áṭá, bano

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: 1 Corinthians 5:7-8
Hallelujah, Hallelujah
Masíh Hamárá Fasah qurbán húá hai.
Pas áo ham Khudáwand men ‘Íd manáen
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 20:1-9
Us ká murdon men se jí uṭhná zarúr hai

Hafte ke pahle din, Mariyam Majdalí aise taṛke ki hanúz andherá hí thá, qabr par áí, aur patthar ko qabr se haṭá húá dekhá. Tab wuh Shama‘ún Patras aur us dúsre shágird ke pás daurí áí, jise Yisú‘ piyár kará thá, aur un se kahá, ki Khudáwand ko qabr se nikál le gaye hain ; aur ham nahín jánten ki unhon ne use kahán rakhá hai. Tab Patras aur wuh dúsrá shágird nikale aur qabr kí taraf gaye, chunánchi wuh donon ikaṭṭhe duaṛe, magar dúsrá shágird Patras se baṛh gayá, aur qabr par pahle pahunchá. Us ne jhuk kar katání kapṛe paṛe húe dekhe; magar wuh andar na gayá. Tab Shama‘ún Patras bhí us ke píchhe píchhe áyá aur qabr ke andar gayá aur katání kapṛe paṛe húe dekhe, aur wuh rúmál jo us ke sir par thá, un katání kapṛon ke sáth nahín balki judá lipṭá húá ek jagah paṛá thá. Tab dúsrá shágird bhí jo qabr par pahle áyá thá andar gayá, aur dekh kar yaqín kiyá. Kyúnki wuh hanúz nawishta ko na jánte the, ki murdon men se us ká jí uṭhná zarúr hai. Tab wuh shágird apne ghar ko wápas chale gaye.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Karím Khudá
Ham Páshká kí ‘ Íd manáte húe terí huzúr wuh nazrána pesh karte hain
Jis se niháyat a‘lá taríqe se terí kalísiyá naye sire se paidá hotí hai
Aur parwarish pá kar baṛhtí hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (1 Qurintion)1Cor 5:7-8
Áj Masíh Hamárá Páshká qurbán húá.
Ham sáfdilí aur sachcháí kí bekhamírí roṭí se ‘Íd karen. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai niháyat mihrbán Khudá
Apní kalísiyá kí hamesha hifázat kar
Táki yih Masíh ke marne aur jí uṭhne ke Páshkáí bhedon se nayí ho kar
Khud bhí jí uṭhne kí núrání takmíl ko pahunche.
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment