Friday, 1 March 2013

3rd March 2013, 3rd Sunday of Lent C


Rozon ká Tísrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 24:15-16
Merí ánkhen har waqt Khudáwand kí taraf lagí rahtí hain
kyúnki wuhí, mere panw ko phandon se bacháegá.
Ai Khud́wand, merí taraf mutawajjih ho, aur mujh par rahm kar 
kyúnki main bekas aur musíbat men mubtilá hún.
Or
(Hizqíel) cf. Ezekiel 36.23-26
Khudáwand farmátá hai ki jab tumháre zari‘a merí taqdís hogí
to main tumhen sab mulkon men se jama‘ karúngá .
Main tum par pání chhiṛkún
aur tum har dágh se pák sáf ho jáoge, 
Main tumháre bátin men ek nayí rúh ḍalúngá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat shafíq Khudá
Jab koí rahm dikháe yá nekí ká kám kare
To yih terí taraf se hotá hai
Tú ne hamen is kám kí hidáyat kí hai
Ki ham rozon, du‘áon aur khairát ke kámon se
Apne gunáhon se riháí hásil karen
Mihrbán ho kar ham ‘ájizon par nigáh kar
Jo apne gunáhgár hone ká iqrár karte hain
Ham apne gunáhon ká iḥsás karte húe
Tere rahm o karam se tasallí hásil karte rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Khurúj) Exodus 3:1-8.13-15
Wuh jo hai, us ne mujhe tumháre pás bhejá hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Ps 102:1-4, 6-8,11  Jamá‘ati jawáb áyat: 8
Jamá‘ati jawáb:Khudáwand rahím aur mihrbán hai
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
Jo kuchh mujh men hai, is ke quddús nám ko mubárak kahe.
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
Us ke kisí eḥsán ko farámosh na kar
Khudáwand rahím aur mihrbán hai
Wuh terí tamám badíon ko mu‘áf kartá hai
Wuh terí tamám bímáríon se shifá detá hai
Wuh terí zindagí ko halákat se chhuṛátá hai
Aur shafaqat aur rahmat ká táj tujh par rakhtá hai
Khudáwand rahím aur mihrbán hai
Khudáwand ‘adálat ká kám kartá hai
Aur tamám mazlúmon ke liye insáf kartá hai
Us ne apní ráhen Músá ko
Aur apne kám baní Isráíl ko dikháe hain
Khudáwand rahím aur mihrbán hai
Khudáwand rahím aur mihrbán hai
Wuh tawíl ulsabr aur niháyat shafíq hai
Kyúnki jis qadar ásmán zamín se buland hai
Usí qadar us kí rahmat us se ḍarne walon par hai.
Khudáwand rahím aur mihrbán hai

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká pahlá Khatt Qurintíon Ke Nám) 1 Corinthians 10:1-6.10-12
Sab májare jo Músá ke waqt is qaum par biyábán men waqi‘ húe, likhe gaye ki hamáre wáste namúna hon.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
Matí 4:17
Khudáwand farmátá hai, ki tauba karo,
kyúnki ásmán kí bádsháhí nazdík á gayí hai

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 13:1-9
Agar tum tauba na karo, to sab isí tarah halák hoge.

Usí mau‘qa par ba‘z házir the, jinhon ne use un Jalílíonkhabar dí jin ká khún Pilátus ne un ke zabíhon ke sáth miláyá thá. Aur us ne jawáb men un se kahá ki kyá tum samajhte ho ki yih Jalílí báqí sab Jalílíon se gunahgár the, ki un ke sáth yún húá? Main tum se kahtá hún ki nahín, lekin agar tum tauba na karo to sab isí tarah halák hoge. Yá wuh aṭhárah jin par Siloam ká burj girá, aur dab mare, kyá tum samajhte ho, ki wuh Yarúshalem ke báqí sab rahnewálon se ziyáda qusúrwár the? Main tum se kahtá hún, ki nahín lekin agar tum tauba na karoge, to sab isí tarah halák hoge.
  Aur us ne yih tamsíl kahí, ki kisí ke tákistán men anjír ká ek darakht lagá húá thá. Us ne á kar is ká phal ḍhúnḍá magar na páyá. Tab us ne karrám se kahá, dekh, tín baras se main á kar anjír ke is darakht men phal ḍhúnḍtá hún magar nahín pátá, use káṭ ḍál, yih zamín ko bhí kyún roke rahe? Par us ne jawáb men us se kahá, ki ai Khudáwand, is sál aur bhí use rahne de, ki main us ke gird tháonlá khodún aur khád ḍálún, sháíd ki áinda pahle, nahín to phir kaṭwá dená.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Is qurbání ke sabab ham se rází ho kar ‘ináyat kar
Ki ham apne gunáhon ko makhlasí ke liye minnat karte húe
apne bháiyon ko mu‘áf  karne par bhí ámádah rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 83:4-5
Chiṛiyá ko ṭhikáná miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán wuh apne bachchon ko rakhe,
yani ai mere bádsháh mere Khudá
tere mazbahon ke pás mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain.
Wuh hamesha terí sitáish karenge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham ne pák sharákat le kar ásmání bhed kí zamánat páí
Ham is zamín par rahne ke báwajúd
Ásmání roṭí khá kar ser húe hain
Pas, ham ‘ájizí ke sáth tujh se minnat karte hain
Ki is pák ‘ibádat ke asar se
Ham púrá phal pá saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

...

Podcast:


Audio

For Sermon by Fr. Robert Barron click here

For reflection by Dr. Scott Hahn click here


Video

For reflection in Urdu by Rev. Deacon Harish Massey click here


For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here


Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment