Friday, 22 March 2013

24th March 2013, Palm Sunday of the Passion of the Lord


Khajúron ká Itwár
Khudáwand kí Azíyat ká Itwár
 (Palm Sunday, Passion Sunday)

The commemoration of the Lord’s Entrance into Jerusalem
Masíh Khudáwand ká Bait al-Muqaddas men dakhil honá

Antiphon: Mt 21:9
Dáúd ke Beṭe kí ho saná            Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá
Allah ke nám se jo áe                Rab kí taraf se wuh barkat páe
Har dam ho Rája kí ham se saná         Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá

After this, the Priest and people sign themselves, while the Priest says:
In the name of the Father, and of the Son, and of the Holy Spirit.
Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ke nám men

Then he greets the people in the usual way. A brief address is given, in which the faithful are invited to participate actively and consciously in the celebration of this day, in these or similar words:

‘Azizo - ham pánch hafton tak Masíhí muhabbat ke izhár aur khudnisárí ke a‘mál se Páshká ke bhedon ko manáne kí taiyárí karte rahe hain. Aj yahán ekaṭhe ho kar dunyá bhar ke tamám Masíhon ke sáth ham yih Pák ‘ibádat shurú karte hain. Masíh Khudáwand jashn ke sáth apne shahr Bait al-Muqaddas menkhil hotá hai, táki dukh uṭhá kar, mar kar aur jí uṭh kar hamárí naját ká kám púrá kar de. Cháhiye ki ham ‘aqídat ke sáth is wáq‘ia ko yád karen, aur zinda ímán se apne Khudáwand ke hamrah chalen. Salíbí dukhon men us ká sáth de kar ham us ke jí uṭhne aur us kí nayí zindagí men bhí sharík honge.
After the address, the Priest says one of the following prayers with hands extended.

Ham du‘á karen
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá,
in ṭaihníyon ko barkat de aur in ko pák kar.
Áj ham khushí ke sáth iqrár karte hain
ki Masíh Khudáwand hamárá naját dahinda aur Bádsháh hai.
Bakhsh de ki ham wafádári ke sáth us kí pairawí karen,
aur ek din naye aur abdí Bait al-Muqaddas kí khushíyan hásil karen.
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se.
R. Ámín

Or

Ai mihrbán Khudá,
apne logon ke ímán ko baṛhá 
aur hamárí du‘áen qabúl kar.
Áj ham háthon men yih ṭaihníyan liye húe
apne fátah Bádsháh Masíh kí ta‘zím karte hain.
Bakhsh de ki ham us men har waqt terí hí ta‘zím karte rahen,
aur apní zindagíyan usí taríqe se guzáren jo us ne hamen sikháyá hai.
jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai.
R. Ámín

He sprinkles the branches with holy water without saying anything.
Then a Deacon or, if there is no Deacon, a Priest, proclaims in the usual way the Gospel concerning the Lord’s entrance according to one of the four Gospels. If appropriate, incense may be used.

Injíl I Muqaddas kí Tiláwat:

A-   (Matí)                   Matthew 21.1-11
B-   (Marqus)                Mark 11.1-10  or (Yúhanná) John 12:12-16
C-   (Luqá)                   Luke 19.29-40

Injíl I Muqaddas:-
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 19:28-40
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke nám se átá hai

Us waqt Yisú‘ Yarúshalem kí ráh le kar áge áge chalá. Aur aisá húá, ki jab us paháṛ par jo zaitún kahlátá hai Baitfage aur Bait‘aniyyáh ke nazdík pahunchá, to apne shágirdon men se do ko yih kah kar bhejá ki, sámne ke gánw men jáo, aur us menkhil hote hí ek gadhí ká bachcha bandhá húá páoge, jis par kabhí koí ádmí sawár nahín húá: use khol kar láo. Aur agar koí tum se púchhe ki kyún kholte ho? To us se yún kahná ki Khudáwand ko darkár hai. Bheje húon ne já kar, jaisá us ne un se kahá thá, waisá hí páyá. Aur jab gadhí ká bachcha khole lage to us ke maĺikon ne un se kahá; ki is bachche ko kyún kholte ho? Unhon ne kahá ki Khudáwand ko darkár hai.

Aur wuh use Yisú‘ ke pás láe aur apne kapṛe us bachche par ḍál kar Yisú‘ ko sawár kiyá. Jab já rahá thá, to wuh apne kapṛe  ráh men bichháte játe the. Aur jab wuh koh-i Zaitún ke utár par pahunchá, to shágirdon kí sárí jamá‘at un sab mu‘jizon ke sabab se jo unhon ne dekhe the khush ho kar buland áwáz se yún kahte húe Khudá kí tamjíd karne lagí ki

Mubárak hai wuh Bádsháh,
Jo Khudáwand ke nám se átá hai
Ásmán par salámatí
‘álam i bálá par jalál

Aur us hujúm men se ba‘z Farísíon ne us se kahá, ki ai ustád, apne shágirdon ko jhiṛak. Aur us ne jawáb men kahá; Main tum se kahtá hún, ki agar yih chup bhí rahen, to patthar chillá uṭhenge.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho

After the Gospel, a brief homily may be given. Then, to begin the Procession, an invitation may be given by a Priest or a Deacon or a lay minister, in these or similar words:
 Áen! Jis tarah logon ká púrá gúroh, Masíh Yisú‘ ke hamráh shahr kí taraf gayá. Ham bhí usí tarah us kí tamjíd karte húe salámatí se jáen.

K- Áo ham adab se chalen
J- Masíh ko mubárak kahen

The Procession to the church where Mass will be celebrated then sets off in the usual way. If incense is used, the thurifer goes first, carrying a thurible with burning incense, then an acolyte or another minister, carrying a cross decorated with palm branches according to local custom, between two ministers with lighted candles. Then follow the Deacon carrying the Book of the Gospels, the Priest with the ministers, and, after them, all the faithful carrying branches.
As the Procession moves forward, the following or other suitable chants in honour of Christ the King are sung by the choir and people.

Mass
khilah (Entrance Antiphon): cf. John12:1. 12-13; Psalm 24:9-10
Páshká kí ‘id se chha din pahle
Khudáwand Yarúshalem men áyá,
aur qaum ke farzand ṭaihníyan laihráte húe
us ke istiqbál ke liye nikale
aur yih kahte húe Khudáwand kí tamjíd karne lage:

Hosha‘ná,
mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai

Ai Pháṭako apne sir baland karo,
ai qadím darwázo únche ho jáo
táki jalál ká bádsháh dákhil ho.
Yih jalál ká bádsháh kaun hai?
LashkaronKhudáwand, wuhí jalál ká bádsháh hai.

‘álam i bálá par hosha‘ná
 Mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai

(Jamá‘atí Du‘á) Collect
Ham du‘á karen
Ai Qádir-i-mutlaq, aur abadí Khudá
Tú ne ne baní nau‘ insán ko apná piyárá Beṭá bakhshá táki wuh hamen bacháe
Aur hamáre liye inkisárí aur halímí ká shándár namúna ho
Us ne insán ban kar, aur salíb par apní ján de kar, terí marzí púrí kí
Apní rahmat se hamen yih taufíq ‘atá kar
Ki ham us kí pairawí kar ke tere  sachche gawáh rahen
Aur us kí qiyámat men sharík hone ke láiq banen
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Yasa‘iya nabí ká sahífa) Isaiah 50:4-7
Main ne to tauhín se apná munh nahín chhupáyá. Main jantá hún ki main sharminda na húngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.


Zabúr 22:8-9, 17-20, 23-24 Jamá‘ati jawáb áyat:2
(Jamá‘ati jawáb): Ai mere Khudá, ai mere Khudá, tú ne mujhe kyún chhoṛ diyá hai?

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Philippians 2:6-11
Us ne apne áp ko firotan kar diyá, lekin  Khudá ne use niháyat baland kiyá

Yisú Masíh ne Khudá kí zát men ho kar
Khudá ke barábar honá ghanímat na jáná

Balki us ne apne áp ko khalí kar diyá
aur ghulám kí zát ikhtiyár karke
insánon ká mushábih ho gayá

insání shakl men páyá já kar
apne áp ko firotan kar diyá
aur maut, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá

aur isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai,

Táki Yisú‘ ke nám par har ek ghuṭná jhuke,
Kyá ásmán men, kyá zamín par, kyá ‘álam-i asfal men

Aur Khudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare,
ki Yisú‘ Masíh Khudáwand hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-i Hamd: (Filippíon) Philippians 2:8-9
Masíh hamárí khátir maut balki salíbí maut tak farmánbardár rahá
isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq ) Luke 22:14-23:56
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke dukhon ká zikar

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á
Ai mihrbán Khudá, bakhsh de ki tere piyáre Beṭe Yisú‘ Masíh kí azíyat, aur maut hamen tere maqbúl-i nazr kar den
Ham akele kuch nahín kar sakte
Lekin hamáre naját-dahinda kí kámal qurbání
Hamen tere rahm aur mahabbat ke láiq banáegí
Apne karam se hamen yih taufíq ‘atá kar
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se. Ámín

(Tamhídí Hamd) Preface
Yih wáqa‘i wájib aur niháyat munásib hai
Ai Quddús Báp ki, ham har waqt aur har jagah
Tere piyáre Beṭe ke wasile se terá shukr adá karen
Wuh ham gunáhgáron ke liye kaffára de kar
Salíbí maut sahne par ámádah húá
Us ne mar kar, hamáre gunáhon ko miṭá ḍálá
Aur jí uṭh kar, hamen Khudá se phir miláyá
Is liye ham farishton aur ásmán ke báshindon ke sáth
Yih kahte húe terí hamd o saná karte hain: QUDDÚS….
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Matí) Matthew 26:42
Ai mere Báp, agar mere piye baghair yih piyála mujh se nahín ṭal saktá, to terí marzí púrí ho.

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai mihrbán Khudá,
Ham is Pák ‘ibádat men sharík ho kar
‘ájizí ke sáth tujh se iltijá karte hain
Tere Beṭe kí maut hamárí ummed, aur hamáre ímán ko baṛhátí hai
Bakhsh de ki us ká jí uthná
Hamáre liye sábit-qadamí ká bá‘is ho
Aur hamen hamesha kí naját daláe
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se. Ámín

...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment