Friday, 15 March 2013

17th March 2013, 5th Sunday of Lent C



Rozon ká pánchwán Itwár C


khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 43:1-2
Ai Khudá merá insáf kar, aur ná pák qaum ke muqábale men merí wakálat kar. Farebí aur badkirdár ádmí se mujhe chhuṛá,
kyúnki tú hí merá Khudá hai, jo mujhe tawánáí bakhshtá hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tere Beṭe ne duniyá ko itná piyár kiyá
Ki us ne apne áp ko maut ke hawále kar diyá
Tú apne fazl se hamárí madad kar
Táki ham usí kí tarah muhabbat rakhen
níz hoshiyarí aur ‘aqlmandí ke sáth chal kar
zamíní safar kar saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Isha‘yá nabí ká sahífa) Isaiah 43:16-21
Dekh main ek nayá kám karúngá aur apní ummat ko pání piláúngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 125: 1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Khudáwand ne hamáre liye ‘azím kám kiye hain. Ham shádmán ho gaye hain.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Philippians 3:8-14
Us ke dukhon men shirkat se, main ne us kí khátir chízon ká nuqsán uṭháyá.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(‘Ámús) Amos 5:14
Tum nekí kí talásh karo na ki badí kí, táki tum zinda raho,
aur Khudáwand Rabb u’l afwáj dar haqíqat tumháre sáth hai.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Yúhanná mutábiq)  John 8:1-11
Jo tum men begunáh ho, wuhí pahle patthar máre

Us waqt Yisú‘ Koh i Zaitún ko gayá, aur subh sawere phir haikal men áyá, aur sab log us ke pás áe aur wuh baiṭh kar unhen ta‘lím dene lagá. Tab faqíh aur Farísí ek ‘aurat ko láe, jo ziná men pakṛí gayí thí, aur use bích men khaṛá kar ke us se kahá; ai ustád, yih ‘aurat ziná men ‘ain fi’l ke waqt pakrí gayí hai. Músá ne to sharí‘at men hamen hukm diyá hai, ki aisíon ko sangsár karen; pas tú kyá kahtá hai? Unhon ne yih use ázmáne ke liye kahá thá, táki us par ilzám lagáne kí waja páen. Magar Yisú‘ jhuk kar unglí se zamín par likhne lagá. Aur jab wuh us se suwál hí karte rahe, to us ne sídhe ho kar un se kahá, ki jo tum men begunáh ho, wuhí pahle us ke patthar máre. Aur phir jhuk kar zamín par likhne lagá. Aur wuh yih sun kar buzurgon se le kar ek ek kar ke chale gaye, aur Yisú‘ akelá rah gayá, aur ‘aurat bích men khaṛí rahí. Tab Yisú‘ ne sídhe ho kar us se kahá; bíbí wuh kahán gaye hain? Kyá kisí ne fatwa nahín lagáyá? Us ne kahá ki ai Khudáwand, kisí ne nahín. Aur Yisú‘ ne kahá ki main bhí tujh par fatwa nahín lagátá, chalí já, phir gunáh na karná.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Tú ne apne bandon ko Masíhí ímán ke usúlon par chalne kí hidáyat kí hai
Tú hamen is Pák Qurbání ke asar se muqaddas baná
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Yúhanná) John 8:10-11
Khudáwand ne kahá ki kyá tujh par kisí ne fatwá nahín lagáyá? Ai Khudáwand kisí ne kahá nahín, Main bh́í tujh par fatwá nahín lagátá, phir gunáh na karná.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá
Ham tere Beṭe ke badan aur khún men sharík húe hain
‘ináyat kar ki ham hamesha us ke isrárí badan ke a‘zá men shumár kiye jáen
Jo tere sáth
hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. Michael Barber on Sunday readings check out the Sacred Page click here also check out the post Was the Story of the Woman Caught in Adultery Really a Later Addition to the Gospel of John? by Dr. Michael Barber.

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment