Muqaddas Yúsuf
kí ‘Íd
(Muqaddasa Kunwárí Mariyam
ká shauhar)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Lúqá) Luke 12:42
Yih wuh ímándár aur hoshyár muntazim hai, jise málik ne apne
ghar par muqarrar kiyá hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutlaq Khudá
Tú ne insání zát kí naját ká bání Muqaddas Yúsuf ke
sipurd kiyá
Táki wuh wafádárí ke sáth us kí dekh bhál kare
Bakhsh de ki usí kí sifárishon kí badaulat
Terí Pák Kalísiyá naját ke bhedon kí khidmat kí
har waqt páband rahe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Samúel nabí kí dúsrí kitáb) Samuel 7:4-5, 12-14, 16
Khudáwand Khudá
use apne báp Dáúd ká takht degá
Zabúr: Psalm
88:2-5, 27, 29 Jamá‘ati jawáb áyat: 37
Us kí nasl abad tak qáim rahegí
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon ke
nám) Romans 4:13, 16-18, 22
Agarchih ma‘lúm hotá thá ki Ibráhám kí ummed
bar na áegí, us ne ummed rakhí aur wuh ímán láyá.
Na‘rah-e Hamd:
(Zabúr) Psalm 83:5
Ai Khudáwand, mubárak hain wuh jo tere ghar men
rahte hain
Kyúnki wuh to hamesha terí sitáish karte hain
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq 2:41-52
Yisú‘ ke mán báp ne use ustádon ke darmiyán
baiṭhá páyá
Yisú‘ ke wálidain har sál ‘Íd i Fasah par Yarúshalem ko jáyá
karte the.
Aur jab wuh bárah baras ká ho gayá to wuh ‘Íd ke dastúr ke
mutábiq Yarúshalem ko gaye. Aur jab un dinon ko púrá kar ke lauṭe,
to wuh laṛká Yisú‘Yarúshalem men rah gayá. Magar us ke mán
báp ko khabar na thí, balki wuh yih samajh kar ki wuh qáfle men
hai, ek manzil nikal gaye, aur use apne rishtadáron aur ján pahchánon
men ḍhúnḍhne lage, aur na pá kar us kí talásh men
Yarúshalem ko wápas gaye. Aur unhon ne tín roz ke ba‘d use haikal men
ustádon ke darmiyan baiṭhá un kí sunte aur un se suwál karte
páyá, aur jitne us kí sun rahe the, us kí samajh aur us ke jawábon
se muta‘ajjib the, aur wuh use dekh kar hairán húe, aur us kí mán ne
us se kahá; Beṭá tú ne ham se aisá kyún kiyá? Dekh, terá báp
aur main kuṛhte húe tujhe ḍhúnḍhte the. Us ne un se kahá; tum mujhe kyún
ḍhúnḍhte the, kyá tumhen yih khayál na thá ki wuh
zarúr apne Báp ke ghar men hogá? Magar jo bát us ne un se kahí wuh
us ko na samjhe. Tab wuh un ke sáth rawána hokar Násarat men áyá,
aur un ke tábi‘ rahá aur us kí mán ne yih sab báten apne dil
men rakkhín.
Aur Yisú‘ hikmat aur qadd o qámat men aur Khudá
aur ádmíon kí maqbúlíyat men taraqqí kartá gayá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Mihrbán Khudá
Tere iklaute Beṭe ne Muqaddas Mariyam kunwárí se paidá
ho kar
Muqaddas Yúsuf men wuh pálne wálá báp páyá
Jo intiháí fikrmandí ke sáth us kí khidmat kartá rahá
Bakhsh de ki ham usí tarah sáf dilon ke sáth
Tere altár kí khidmat karne ke qábil hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Matí) Matthew 25:21
Ai nek aur diyánatdár g̣hulám, shábásh! Apne málik kí khushí
men shámil ho.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Mihrbán Khudá
Tere gharáne ke log shádmání ke sáth
Muqaddas Yúsuf kí ‘Íd manáte húe
Is altár kí rúhání ghizá
khá kar ser húe hain
Ham tujh se minnat karte hain ki
Hamesha hamárí hifázat kar
Aur apne karam se ham men apní
ni‘maten qáim rakh
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
No comments:
Post a Comment