Khajúron ká Itwár
Khudáwand kí Azíyat ká Itwár
(Palm Sunday, Passion
Sunday)
The commemoration of the Lord’s Entrance into Jerusalem
Masíh Khudáwand ká Bait al-Muqaddas men dakhil
honá
Antiphon: Mt 21:9
Dáúd ke Beṭe kí ho saná Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá
Allah ke nám se jo áe Rab kí taraf se wuh barkat páe
Har dam ho Rája kí ham se saná Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá
After this, the Priest and people sign themselves,
while the Priest says:
In the name of the Father, and of the Son, and of the Holy Spirit.
Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ke nám men
Then he greets the people in the usual way. A brief
address is given, in which the faithful are invited to participate actively and
consciously in the celebration of this day, in these or similar words:
‘Azizo - ham pánch hafton
tak Masíhí muhabbat ke izhár aur khudnisárí ke a‘mál se Páshká
ke bhedon ko manáne kí taiyárí karte rahe hain. Aj yahán
ekaṭhe ho kar dunyá bhar ke tamám Masíhon ke sáth ham yih Pák
‘ibádat shurú karte hain. Masíh Khudáwand jashn ke sáth apne
shahr Bait al-Muqaddas men dákhil hotá hai, táki dukh uṭhá
kar, mar kar aur jí uṭh kar hamárí naját ká kám púrá kar de. Cháhiye
ki ham ‘aqídat ke sáth is wáq‘ia ko yád karen, aur zinda ímán se
apne Khudáwand ke hamrah chalen. Salíbí dukhon men
us ká sáth de kar ham us ke jí uṭhne aur us kí nayí zindagí men
bhí sharík honge.
After the address, the Priest says one of the
following prayers with hands extended.
Ham du‘á karen
Ai Qádir-i-mutlaq Khudá,
in ṭaihníyon ko barkat de
aur in ko pák kar.
Áj ham khushí ke sáth iqrár
karte hain
ki Masíh Khudáwand hamárá
naját dahinda aur Bádsháh hai.
Bakhsh de ki ham wafádári
ke sáth us kí pairawí karen,
aur ek din naye aur abdí Bait
al-Muqaddas kí khushíyan hásil karen.
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se.
R. Ámín
Or
Ai mihrbán Khudá,
apne logon ke ímán ko
baṛhá
aur hamárí du‘áen qabúl
kar.
Áj ham háthon men
yih ṭaihníyan liye húe
apne fátah Bádsháh Masíh kí
ta‘zím karte hain.
Bakhsh de ki ham us men
har waqt terí hí ta‘zím karte rahen,
aur apní zindagíyan usí
taríqe se guzáren jo us ne hamen sikháyá hai.
jo tere sáth hamesha se hamesha tak
zinda rahtá aur saltanat kartá hai.
R. Ámín
He sprinkles the branches with holy water without
saying anything.
Then a Deacon or, if
there is no Deacon, a Priest, proclaims in the usual way the Gospel concerning
the Lord’s entrance according to one of the four Gospels. If appropriate,
incense may be used.
Injíl I Muqaddas
kí Tiláwat:
A-
(Matí) Matthew
21.1-11
B-
(Marqus) Mark 11.1-10 or (Yúhanná) John 12:12-16
C-
(Luqá) Luke
19.29-40
Injíl I Muqaddas:-
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 19:28-40
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke nám se átá hai
Us waqt Yisú‘ Yarúshalem kí ráh le kar áge áge chalá. Aur
aisá húá, ki jab us paháṛ par jo zaitún kahlátá hai Baitfage aur Bait‘aniyyáh
ke nazdík pahunchá, to apne shágirdon men se do ko yih
kah kar bhejá ki, sámne ke gánw men jáo, aur us men
dákhil hote hí ek gadhí ká bachcha bandhá húá páoge, jis par
kabhí koí ádmí sawár nahín húá: use khol kar láo. Aur agar koí
tum se púchhe ki kyún kholte ho? To us se yún kahná ki Khudáwand
ko darkár hai. Bheje húon ne já kar, jaisá us ne un se kahá thá,
waisá hí páyá. Aur jab gadhí ká bachcha khole lage to us ke maĺikon
ne un se kahá; ki is bachche ko kyún kholte ho? Unhon ne kahá
ki Khudáwand ko darkár hai.
Aur wuh use Yisú‘ ke pás láe aur apne kapṛe us bachche par
ḍál kar Yisú‘ ko sawár kiyá. Jab já rahá thá, to wuh apne kapṛe ráh men bichháte játe the. Aur jab
wuh koh-i Zaitún ke utár par pahunchá, to shágirdon kí
sárí jamá‘at un sab mu‘jizon ke sabab se jo unhon ne dekhe
the khush ho kar buland áwáz se yún kahte húe Khudá
kí tamjíd karne lagí ki
Mubárak hai wuh Bádsháh,
Jo Khudáwand ke nám se átá hai
Ásmán par salámatí
‘álam i bálá par jalál
Aur us hujúm men se ba‘z Farísíon ne us se kahá,
ki ai ustád, apne shágirdon ko jhiṛak. Aur us ne jawáb men
kahá; Main tum se kahtá hún, ki agar yih chup bhí rahen,
to patthar chillá uṭhenge.
Injíl I Muqaddas ke
wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho
After the Gospel, a brief homily may be given. Then,
to begin the Procession, an invitation may be given by a Priest or a Deacon or
a lay minister, in these or similar words:
Áen! Jis tarah logon ká púrá
gúroh, Masíh Yisú‘ ke hamráh shahr kí taraf gayá. Ham bhí usí tarah us
kí tamjíd karte húe salámatí se jáen.
K- Áo ham adab se chalen
J- Masíh ko mubárak kahen
The Procession to the church where Mass will be
celebrated then sets off in the usual way. If incense is used, the thurifer
goes first, carrying a thurible with burning incense, then an acolyte or
another minister, carrying a cross decorated with palm branches according to
local custom, between two ministers with lighted candles. Then follow the
Deacon carrying the Book of the Gospels, the Priest with the ministers, and,
after them, all the faithful carrying branches.
As the Procession moves forward, the following or
other suitable chants in honour of Christ the King are sung by the choir and
people.
Mass
Dákhilah (Entrance Antiphon): cf. John12:1. 12-13;
Psalm 24:9-10
Páshká kí ‘id se chha din pahle
Khudáwand Yarúshalem men áyá,
aur qaum ke farzand ṭaihníyan
laihráte húe
us ke istiqbál ke liye nikale
aur yih kahte húe Khudáwand
kí tamjíd karne lage:
Hosha‘ná,
mubárak hai wuh jo apní baṛi
shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai
Ai Pháṭako apne sir baland karo,
ai qadím darwázo únche ho
jáo
táki jalál ká bádsháh dákhil
ho.
Yih jalál ká bádsháh kaun hai?
Lashkaron ká Khudáwand,
wuhí jalál ká bádsháh hai.
‘álam i bálá par hosha‘ná
Mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke
sáth hamáre pás á rahá hai
(Jamá‘atí Du‘á) Collect
Ham du‘á karen
Ai Qádir-i-mutlaq, aur abadí Khudá
Tú ne ne baní nau‘ insán ko apná
piyárá Beṭá bakhshá táki wuh hamen bacháe
Aur hamáre liye inkisárí aur
halímí ká shándár namúna ho
Us ne insán
ban kar, aur salíb par apní ján de kar, terí marzí púrí kí
Apní rahmat se
hamen yih taufíq ‘atá kar
Ki ham us kí pairawí kar ke
tere sachche gawáh rahen
Aur us kí qiyámat men
sharík hone ke láiq banen
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile
se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí
Tiláwat:
(Yasa‘iya nabí
ká sahífa) Isaiah 50:4-7
Main ne to tauhín se apná
munh nahín chhupáyá. Main jantá hún ki main
sharminda na húngá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr 22:8-9,
17-20, 23-24 Jamá‘ati jawáb
áyat:2
(Jamá‘ati
jawáb): Ai mere Khudá, ai mere Khudá, tú ne mujhe kyún
chhoṛ diyá hai?
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Philippians 2:6-11
Us ne apne áp ko
firotan kar diyá, lekin Khudá
ne use niháyat baland kiyá
Yisú Masíh ne Khudá
kí zát men ho kar
Khudá ke barábar
honá ghanímat na jáná
Balki us ne apne
áp ko khalí kar diyá
aur ghulám kí
zát ikhtiyár karke
insánon ká
mushábih ho gayá
insání shakl men
páyá já kar
apne áp ko firotan kar diyá
aur maut, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá
aur isí wáste Khudá
ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá
jo har ek nám se a‘lá hai,
Táki Yisú‘ ke
nám par har ek ghuṭná jhuke,
Kyá ásmán men,
kyá zamín par, kyá ‘álam-i asfal men
Aur Khudá
Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare,
ki Yisú‘ Masíh
Khudáwand hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-i Hamd:
(Filippíon) Philippians 2:8-9
Masíh hamárí khátir
maut balki salíbí maut tak farmánbardár rahá
isí wáste Khudá
ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá
jo har ek nám se a‘lá hai.
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá
ke mutábiq ) Luke 22:14-23:56
Hamáre Khudáwand
Yisú‘ Masíh ke dukhon ká zikar
Injíl I Muqaddas ke
wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á
Ai mihrbán Khudá, bakhsh
de ki tere piyáre Beṭe Yisú‘ Masíh kí azíyat, aur maut hamen tere
maqbúl-i nazr kar den
Ham akele kuch nahín kar sakte
Lekin hamáre naját-dahinda kí
kámal qurbání
Hamen tere rahm aur mahabbat
ke láiq banáegí
Apne karam se hamen yih
taufíq ‘atá kar
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se. Ámín
(Tamhídí Hamd) Preface
Yih wáqa‘i wájib aur niháyat
munásib hai
Ai Quddús Báp ki, ham har waqt aur
har jagah
Tere piyáre Beṭe ke wasile se
terá shukr adá karen
Wuh ham gunáhgáron ke liye
kaffára de kar
Salíbí maut sahne par ámádah
húá
Us ne mar kar, hamáre gunáhon
ko miṭá ḍálá
Aur jí uṭh kar, hamen
Khudá se phir miláyá
Is liye ham farishton aur
ásmán ke báshindon ke sáth
Yih kahte húe terí hamd o saná karte hain:
QUDDÚS….
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon):
(Matí) Matthew 26:42
Ai mere Báp, agar mere piye baghair
yih piyála mujh se nahín ṭal saktá, to terí marzí púrí ho.
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai mihrbán Khudá,
Ham is Pák ‘ibádat men
sharík ho kar
‘ájizí ke sáth tujh se iltijá
karte hain
Tere Beṭe kí maut hamárí ummed,
aur hamáre ímán ko baṛhátí hai
Bakhsh de ki us ká jí
uthná
Hamáre liye sábit-qadamí ká
bá‘is ho
Aur hamen hamesha kí naját
daláe
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron
click here
For reflection by Dr. Scott Hahn
click here
Some great resources for Sunday
Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click
here