(Rasúlon ke
A‘mál) Acts 9:1-22
Sháúl hanoz Khudáwand
ke shagirdon ke dhamkáne aur qatl karne ká dam mártá húá, káhin-i
a’zam ke hán gaya, Aur us se Damishq
ke ‘ibádat khánon ke liye is mazmún ke khatt mánge, ki
jinhen wuh is Taríq par páe, khwáh mard, khwáh zan, unhen
bándh kar Yarúshalem men láe. Aur jab wuh safar karte karte Damishq ke nazdík pahunchá,
to yún húá ki yakbáragí ásmán se ek núr us ke gird á chamká. Aur wuh zamín par gir paṛá, aur
use ek áwáz yún kahte sunáí dí ki Sháúl! Sháúl! tú mujhe kyún
ízá detá hai? Us ne kahá, Ai Khudáwand, tú kaun hai ? Us ne kahá,
Main Yisú‘ hún, jise tú ízá detá hai: magar uṭh aur shahr
men já aur aur jo tujhe karná hogá wuh tujhe batáyá jáegá. Jo
ádmí us ke hamráh the, wuh hairán ho kar khiṛe rah gaye. Kyúnki
áwáz to sunte the, magar kisí ko dekhte na the. Aur Sháúl zamín par se
uṭhá, aur jab us ne ánkhen kholín, to kuchh dikháí
na diyá. Tab wuh us ká háth pakaṛ kar use Damishq men le gaye. Aur
wahán tín din tak ná-bíná rahá, aur na khátá na
pítá thá.
Ab Damishq men
Hananyáh námí ek shágird thá, aur Khudáwand ne royá men us
se kahá, Ai Hananyáh ! Wuh bolá, Ai Khudáwand, main házir hún.
Khudáwand ne us se kahá, uṭh aur us kúche men já jo Sídhá
kahlátá hai, aur Yahúdáh ke ghar men Sháúl námí Tarsúsí ko puchh
le, kyúnki dekh wuh du‘á kar rahá hai. Aur us ne bhí royá men
dekhá hai ki Hananyáh námí ek ádmí ne andar á kar mujh par háth rakhe
hain táki ki phir bínáí páún. Magar Hananyáh ne jawáb
diyá, ki ai Khudáwand main
ne bahuteron se us shakhs kí bábat suná hai ki us ne Yarúshalem men
tere muqaddason ke sáth kaisí kaisí
buráiyán kí hain. Aur yahán bhí us ne sardár káhinon
kí taraf se ikhtiyár páyá hai, ki un sab ko bándh le jo terá
nám lete hain. Magar Khudáwand ne us kahá, tú já; kyúnki
yih merá chuná húá wasíla hai, ki mere nám ko g̣hair qaumon , aur
bádsháhon, aur baní Isráíl par záhir kare, aur main use
dikhá dúngá, ki mere nám ke liye use kitná dukh uṭháná paṛegá.
Tab Hananyáh gayá aur us ghar men dákhil húá aur us par
háth rakh kar kahá, ai bháí Sháúl, Khudáwand, ya‘ní yisú‘ ne
mujhe bhejá hai, jo tujh par us ráh men záhir húá, jis se tú áyá
thá. Táki tú, phir bínáí páe, aur Rúhu’l Quds se bhar jáe. Filfaur us
kí ánkhon se jhillí sí gir paṛí, aur wuh bíná ho gayá, aur uṭh
kar baptisma páyá, phir kuchh khá kar táqat páí.
Aur wuh kaí
din un shágirdon ke sáth rahá jo Damishq men the. Aur fauran ‘ibádat
khánon men Yisú‘ kí manádí karne lagá, ki wuh Khudá
ká Betá hai. Aur sab sunnewále hairán hokar kahne lage; Kyá yih wuh nahín
jo Yarúshalem men is nám ke lene wálon ko tabáh kartá thá,
aur yahán bhí is liye áyá, ki unhen bándh kar sardár
káhinon ke pás le jáe? Lekin Sháúl ko aur bhí quwwat hásil hotí
gayí, aur wuh us bát ko sábit kar ke ki Al-Masíh yihí hai, un Yahúdíon
ko jo Damishq men rahte the hairat dilátá rahá.
***
For audio
course on The Gospel According to Saint Paul by Dr. Scott Hahn click here
Also
check out 8 Things You Need to Know About St. Paul and His Conversion by Jimmy
Akin here
No comments:
Post a Comment