Solemnity
6th January or the Sunday between 2 January
and 8 January
Masíh ke Zuhúr kí ‘Íd
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
Cf. (Malákí 3:1, 1 Aḳhbár 29:12) Malachi 3:1; 1 Chronicles 29:12
Dekho, dono jahánon ká hukamrán Khudáwand átá
hai, aur Badsháhí qudrat aur hukúmat usí ke háth men hogí
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai azlí núr ke Khudá
Tú ne áj ráh-numá sitáre ke zarí‘e
Qaumon par apná iklautá Beṭá záhir farmáyá
Ham apne ímán aur i‘tiqád se tujhe pahchánte to hain
Tá-ham tú apne karam se bakhsh de
Ki hamen tujh ‘azím Khudá ko rú barú dekhne kí
ráh batáí jáe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ka sahífa: 60:1-6 (Isaiah 60:1-6)
Khudáwand kí tajallí tujh par tulú‘ huí hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 71:1-2, 7-8. 10-13. Jamá‘ati jawáb áyat
cf.v. 11(Psalm 71)
(Jamá‘ati jawáb) ; Ai Khudáwand. Sab qaumen tujhe sijda karengí
Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt
Ifsíon Ke Nám 3:2-3. 5-6 (Ephesians 3:2-3. 5-6)
Ab yih kashf kiyá gayá hai ki g̣hair
qaumen bhí ham mírás hain
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: Matí 2:2 (Matthew 2:2)
Hallelujah Hallelujah
Ham ne us ká sitára mashriq men dekhá hai
Aur ham Khudáwand ko sijda karne áe hain
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas ke Matí mutábiq 2:1-12 (Matthew 2:1-12)
Ham ne us ká sitára mashriq men dekhá hai aur ham
bádsháh ko sijda karne áe hain
Us waqt Yahúdah ke Baitlahm men jab Yisú‘ paidá húá, to
dekho mashriq ke kaí Majúsíon ne Yarúshalem men á kar kahá
ki Yahúdíon ká bádsháh jo paidá húá hai, wuh kahán hai?
Kyúnki ham ne mashriq men us ká sitára dekhká aur use sijda
karne áe hain. Jab Herodes bádsháh ne yih sunná tab wuh aur us ke
sáth tamám Yarúshalem ghabráyá. Tab us ne sab sardár káhinon aur
qaum ke faqíhon ko jama‘ karke un se púchhá, ki Masíh kahán
paidá honá cháhiye? Unhon ne us se kahá, Yahúdah ke Baitlahm men;
kyúnki nabí kí ma‘rifat yún likhá hai ki
Ai Baitlahm,
Yahúdah kí sar zamín
Tú Yahúdah ke
raíson men hargiz kamtarín nahín
Kyúnki tujh men se ek hákim niklegá,
Jo merí ummat Isráíl kí gallabání karegá.
Tab Herodes ne
Majúsíon ko chupke se bulákar un se tahqíq kí, ki wuh sitára kab
dikháí diyá thá? Aur yih kah kar unhen Baitlahm men bhejá,
ki jáo aur us bachche kí bábat khúb daryáft karo, aur jab use páo
mujhe khabar do, ki main bhí á kar use sijda karún.Wuh
bádsháh se yih sunkar rawána húe, aur dekho, wuh sitára jo unhon ne
mashriq men dekhá thá, un ke áge áge chalá, yahán tak ki us
jagah ke úpar á kar ṭhahr gayá, jahán wuh bachcha thá. Wuh sitáre
ko dekh kar niháyat khush húe. Aur us ghar men dákhil
ho kar, us bachche ko us kí mán Mariyam ke sáth páyá, aur us ke
áge gir kar sijda kiyá; aur apne dibbe khol kar soná aur lobán, aur murr
use nazr guzráná. Aur khwáb men ágáhí pákar ki Herodes ke
pas na jáen, wuh dúsrí ráh se apne mulk ko wápas chale gaye
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham par rahm kar ke tawajjuh kar
Áj terí kalísiyá na soná, na lobán,
aur na murr hí lá kar terí nazr kartí hai
Balki aise nazráne tere huzúr pesh kartí hai
Jin kí súrat men khud Khudáwand Yisú‘ Masíh maujúd ho kar
Qurbán hotá, aur hamárí rúhání khurák bantá hai
Bakhsh de ki ham is intiháí mahabbat ke láiq rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (cf. Matthew
2:2)
Ham ne mashriq men Khudáwand ká sitára dekhá aur
use sijda karne áe hain.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Apní ásmání núr se hamesha hamarí ráhnumáí
kar
Táki jis bhed men tú ne hamen sharík karná
cháhá hai
Aur wájib mahabbat ke sáth hásil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
Epiphany:
Who were the Magi and what was the Christmas Star? Podcast By Dr. Michael
Barber click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
No comments:
Post a Comment