Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke Baptisma kí ‘Íd
Dákhilah (Entrance
Antiphon): cf. Matí 3:16-17 (Matthew
3:16-17)
Jab Khudáwand ne baptisma páyá to us ke liye ásmán khul
gayá.
Aur Khudá kí Rúh kabútar kí mánind utarí
Aur Báp kí áwáz yih kahtí húí áí ki:
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur abadí Khudá
Jab tere Beṭe ne daryá e Urdan men baptisma páyá
Aur Rúhu’l
Quds us par utará
To tú ne sanjídagí ke sáth use apná Beṭá kahá
Apne lepálak farzandon ko yih bakhsh de
Ki pání aur Rúhu’l Quds se naye sire se paidá ho kar
Terí pasand
kí zindagí basar karte húe
Hamesha tere
piyár men qáim rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Yá
Ai mihrbán Báp Khudá
Terá iklautá Beṭá hamárí insání khásíyat ikhtiyár karke hamáre darmiyán áyá
Wuh záhirí taur par hamárí shakl rakhtá hai
‘ináyat farmá ki ham apne dilon men nayí shakl par
ḍhále jáen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Isha‘yá nabí ká
sahífa) Isaiah 40:1-5. 9-11
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 103:1-2.
3-4. 24-25. 27-30 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
(Jamá‘ati jawáb)
Ai merí ján Khudáwand ko Mubárak kah,
Ai Khudáwand mere Khudá, Tú niháyat ‘azím hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Titus
Ke Nám) Titus2:11-14. 3:4-7
Us ne hamen naját bakhshí, nayí paidáish ke g̣husl
aur Rúhu’l Quds kí tajdíd ke wasíle se.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Hallelujah- cf. Lúqá 3:16 (Luke 3:16)
Hallelujah Hallelujah
Yúhanná ne un se kahá
Jo mujh se qawí-tar hai, wuh ánewálá hai
Aur wuh tumhen Rúhu’l Quds aur ág se
baptisma degá
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 3: 15-16. 21-22
Jab Yisú‘baptisma pá kar du‘á kar rahá thá to ásmán khul gayá.
Us waqt logon ko baṛí ummed hone lagí
aur sab apne dil men Yúhanná kí bábat sochne lage ki sháyad yihí
Al- Masíh hai, to Yaúhanná ne jawáb men un se kahá ki main
tumhen paní se baptisma detá hún, magar mujh se ek qawí-tar
ánewálá hai, jis kí jútí ká tasma main kholne ke bhí láiq nahín,
wuh tumhen Rúhu’l Quds aur ág se baptisma degá. Aur jab sab log
baptisma páte the, aur Yisú‘ bhí baptisma pá kar du‘á kar rahá thá, to
ásmán khul gayá, aur Rúhu’l Quds jismání súrat men kabútar kí
mánind us par utrá, aur ásmám se yih áwáz áí, ki Tú merá Beṭá Al-Mahbúb
hai; tujh se main khush hún.
Injíl
I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish
ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tere piyáre Ḅete ke zuhúr kí yád men yih hadye láe
hain
Aur ham ‘ájizí ke sáth tujh se iltijá karte hain
Ki tere muminon ká nazrána Masíh hí kí qurbání ṭhahre
Us ne apne rahm o karam se cháhá
Ki dunyá ko gunáhon se bacháe
Usí ke wasíle se hamárí yih du‘á qabúl kar
Jo tere sáth hamesha se hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá
hain. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Yúhanná 1:32. 34
Use dekho jis ke báre men Yúhanná ne
kahá thá ki main ne dekhá aur shahádat bhí dí ki yih Khudá
ká Beṭá hai
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai mihrbán Khudá
Ham ne terí pák nai‘maton se khush-hálí hásil
kí hai
Ab ham tujh mihrbán Khudáwand se yih du‘á karte hain
Ki tu hamen ‘atá kar
Ki ham sachche dilon ke sáth tere iklaulte Beṭe kí báten
suná karen
Aur haqíqat men tere farzand kahlá saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert
Barron click here
For reflection by Dr. Scott
Hahn click here
For commentary by Dr. John
Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here
Some great resources for
Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp
click here
No comments:
Post a Comment