Sál ke daurán dúsrá Itwár C
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Psalm 65:4
Ai Khudá tamám dunyá tujhe sijda
kare.
Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Tú ásmán aur zamín kí har shai par hakúmat kartá hai
Mihrbání se apní ummat kí iltijáon ko sun
Aur hamáre in dinon men hamen apní
salámatí ‘atá kar
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 62:1-5)
Dulhá apní dulhan se khush hotá hai
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 95:1-3,
7-10 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb): Sab ummaton men us ke ‘ajáibát
ká bayán karo
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke
Nám) 1Corinthians 12:4-11
Wuhí ek Rúh apní razá ke mutábiq tarah
tarah kí ni‘maten logon ko bánṭ kar detá hai.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Yúhanná) John 6:64,69
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain aur
zindagí bhí hain
Zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq (John 2:1-11)
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl
men kiyá
Un dinon men Qáná-e Jalíl men biyáh húá,
aur Yisú‘ kí mán wahán thí. Aur Yisú‘ aur us ke shágird
bhí us biyáh men buláe gae the. Aur jab mai ghaṭ gaí, to Yisú‘ kí
mán ne use kahá, ki un ke pás mai nahín rahí. Aur Yisú‘ ne
use kahá, Ai khátún, mujhe aur tujhe kyá? Merá waqt hanoz nahín áyá. Us kí mán ne khádimon se kahá, jo
kuchh yih tum se kahe wuh karo. Aur wahán Yahúdíon kí rasme
tahárat ke liye patthar ke chha maṭke dhare the, jin men do do yá
tín tín bat samáte the. Yisú‘ ne un se kahá, ki maṭkon men pání bharo.
So unhon ne unhen lab á lab bhar diyá. Aur us ne un se kahá,
ki ab nikálo, aur mir i ziyáfat ke pás le jáo. Aur wuh le gae. Jab mir i
ziyáfat ne wuh pání chakhá jo mai ban gayá thá aur na jántá thá ki yih
kahán se áí hai (magar khadim, jinhon ne wuh pání
nikálá thá, jánte the) to mir i ziyáfat ne dúlhá ko buláyá, aur use
kahá, ki har shakhs pahle achchhí mai kharch kartá hai, aur
ma‘múlí us waqt jab ki sab khúb pí chuken, magar tú ne
achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai.
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl
men kiyá, aur us ne apná jalál dikháyá, aur us ke shágird us par
ímán láe. Is ke ba‘d wuh us kí mán aur bháí aur us ke shágird
Kafarnahúm ko gaye, magar wahán bahut din na rahe.
Injíl
I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish
ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham jánte hain ki jitní dafah ham
Tere Beṭe kí salíbí qurbání kí yád táza karte hain
Utní dafah hamárí naját ká kám púrá hotá hai
Pas ‘ináyat kar ki láiq taur par yih pák ‘ibádat adá karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm
22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez
piyála bhí rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús
kiyá aur sach ján liyá
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní mahabbat kí rúh ko ham men unḍel de
Aur jinhen tú ne
Ek hí ásmání roṭí se ser kiyá hai
Inhen apní mahabbat men yak-dil baná de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment