Sál ke Daurán Tísrá Itwár C
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Psalm
95:1, 6
Khudáwand ke
liye ek nayá gít gáo ai sárí zamín Khudáwand ke liye gáo
‘Azmat aur buzurgí us ke huzúr hain qudrat aur jamál us
ke maqdis men hain
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Apní marzi ke mtábiq hamáre kámon kí hidáyat kar
Táki ham tere piyáre Beṭe ke nám se
Nek kámon ká bahut phal láne ke qábil hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Nahamiyáh nabí kí kitáb) Nehemiah 8:2-6, 8-10
‘Azrá ne Khudá kí sharí‘at men se paṛhá aur
logon ko samajháyá
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 18:8-10,
15 Jamá‘ati jawáb áyat: (Yúhanná) John 6:63
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand terí báten rúh hain,
aur zindagí bhí
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke
Nám) 1Corinthians 12: 12-30
Tum sab báham mil kar Masíh ká badan ho
lekin har ek is ká mukhtalif ‘uzu hai.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Lúqá) Luke 4:13,19
Hallelujah Hallelujah
Khudáwand ne
mujhe is liye bhejá hai
ki miskínon ko khushkharí aur qaidíon
ko riháí dún.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq (Luke 1:1-4, 4:14-21)
Yih nawishta áj púrá ho rahá hai
Chunki aksaron ne yih koshish kí hai ki un báton
ko bátartib bayán karen, jo hamáre darmiyán wáqi‘ húín,
jis tarah ki unhon ne ham se riwáyat kí jo surú‘ hí se khúd
sháhid aur kalám ke khádim rahe. Is liye ai mu‘azzaz Theofilus main ne
bhí munásib samjhá ki sab kuchh surú‘ hí se ṭhík ṭhík daryáft
kar ke bátartib terí khidmat men tahrir karún. Táki
jin báton kí tú ne ta‘lím hasil kí hai tú un kí pukhtagí
mal‘úm kare.
Yisú‘ Rúh kí quwwat se Jalíl ko lauṭá aur ás pás ke sáre
‘iláqah men us kí shuhrat phail gayí, aur un ke ‘ibádat-khánon
men ta‘lím detá rahá, aur sab us kí ta‘ríf karte rahe.
Phir wuh Násrat men áyá jahán us ne parwarish
páí thí, aur apne dastúr ke mutábiq Sabt ke din ‘ibádatkháne men
gayá, aur paṛhne ko khaṛá húá. Aur Isha‘yá nabí ká túmár us
ko diyá gayá, aur jab us ne túmár kholá to wuh maqám páyá jahán
yih likhá thá, ki
Rúh-i Khudáwand mujh par hai
Is liye us ne mujhe masah kiyá
ki miskínon ko khushkharí dún.
Us ne mujhe is liye bhejá hai,
ki qaidíon ko riháí,
Aur andhon ko bínáí
aur kuchle húon ko ázádí bakhshún,
aur Khudáwand ke sál i maqbúl ko mushtahar karún.
Aur wuh túmár ko lapeṭ kar aur khádim ko wápás de kar
baiṭh gayá; aur jo ‘ibátatkháne men the un sab kí ánken
us par lagí thín. Tab wuh un se kahne lagá ki áj yih nawishta púrá
ho kar tumháre kánon men pahunchá.
Injíl
I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish
ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Hamáre Nazráne pasand kar aur qabúl farmá
In ko hamáre liye pák ṭhahrá
Táki wuh hamárí naját ká mu’assir zari‘a banen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf.
Psalm 33:6
Tum Khudáwand kí
taraf nigáh karo, táki munawwar ho jáo.
Aur tumháre chihron par sharmindagí na áe.
Or
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand
farmátá hai ki Main dunyá ká núr hún
jo merí pairawí kartá hai wuh andhere men nahin
chaltá
balki zindagí ka núr páegá.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Qádir I Mutliq Khudá
‘ináyat kar ki ham terá zindagí bakhsh fazl pákar
Hamesha terí bakhshishon kí qadr karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some great
resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The
Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment