Ámad Ke Áyyam Kí ‘Ibádat
Ta‘áruf
(Introduction)
Ámad ke din Yisú‘ Masíh is dunyá
men áne kí taiyár ke din hote hain. Is liye sab Masíhíon
ká farz hai ki wuh apne dilon, khándádon aur máhol ko Yisú‘
ke liye taiyár karen. Ámad kí taiyárí ke liye kalísiyá men
phúlon sabz patton aur chár mumbattíon se sajáyá
játá hai. Dáira yá pahiya is liye istai‘mál kiyá
játá hai, kyúnki ye dáimí zindagí ká nishán hai, harí shákhen zindagí kí nash-o-namá kí ‘alámat hai, chár mumbattían
gunáh ke andhere ko dúr karne aur Yisú‘ ke intizár kí ‘alámat hain. Is rasm ko pur ma‘ni, aur bá-maqsad banáne
ke liye ye ‘ibádat murattab kí gayí hai táki du‘á aur ‘ibádat ke zarí‘e ham apne áp ko Yisú‘ kí Ámad ke liye bihtar taur par taiyár
kar saken.
Ágaz-i ‘ibádat Ámad ke gít se
kiyá jáe
Gít
Sarbaráh: Hamárí madad Khudáwand ke nám se hai
Sab: Jis ne ásmán aur zamín ko
banáyá
Sarbaráh: Ham du‘á mángen
Ai Khudáwand
tú jo zindagí denewálá hai, phúlon kí is malá ke sabz patton
kí tara bhí nayí aur táza zindagí ‘atá kar táki ham
bhí apne aur dúsron ke liye zindagí ká nishán ban jáen
Sab: Ámín
(Sarbaráh phúlon kí is malá paní chhirktá
hai aur sab se chhoṭá bachcha mumbattí jalátá hai aur yih du‘á paṛhí játí hai)
Sarbaráh: Ham du‘á karen:
Ai Khudáwand
ham tujh se iltijá karte hain ki apne núr kí raushní ham par ḍál
táki ham is núr se un chízon se mahfúz rahen jin se ham is
mulk men rahte húe ghabŕate hain be-bas aur áqalliyyat hone
ká ihsás bakhsh ki ham tujh se hamesha quwwat páen tú jo
zinda rahtá aur saltanat kartá hai.
Sab: Ámín
Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah
7:11-14
(Isaiah
nabí sát sau sál pahle Masíh kí mu‘ jizanah paidáish kí peshín-goi kartá
hai)
Injíl I Muqaddas: (Matí) Matthew 1:1-17
(Masíh Dáúd kí nasal se paidá húá)
Dhiyán aur shukrguzárí
Tiláwaton
ki ba’d kuch der ke liye khámoshí men Kalám par dhiyán karen
Sarbaráh: Ham du‘á karen
Ai Khudáwand
ham tere niháyat shukrguzár hain ki tú Pák Kalám aur mumbattí kí raushní
kí ‘alámat ke zarí‘e, hamáre
dilon men áyá táki hámarí zindagí ke sab andhere dúr ho jáen.
‘atá kar ki ham har roz apne dilon ko tere liye taiyár karen táki
baṛe din kí ‘Íd ko apní zindagí se pur-ma‘ni baná saken. Tere Pák
nám ke wasíle se. Ámín.
Sab: Ai hamáre báp, Salám
ai Mariyam, Jalál Báp aur Beṭe….
Ákhrí
Gít
(Ámad ke dúsre
tísre aur chauthe hafte ke liye mundarajah zail Tiláwaten paṛhen)
Ámad ke dusrá
haftah:
Pahlí Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah
9:1-7
(Yisú‘ aman,
insáf, aur Salámatí ká Sháhzáda)
Injíl I Muqaddas: (Lúqá)
Luke 1:5-25
(Yúhanná kí
paidáish kí khushkhabarí)
Ámad ke
tísrá haftah:
Pahlí Tiláwat: (Isha‘yá) Isaiah
40:1-5
(Khudáwand
kí ráh taiyár aur hamwár karne kí talqín)
Injíl I Muqaddas: (Matí) Matthew 3:1-12
(Yúhanná Isha‘yá
kí peshín-goi ko púrá kartá hai)
Ámad ke
chauthá haftah:
Pahlí Tiláwat: (Míkáh) Micah 5:1-6
(Yisú‘ kí
paidáish ki taraf Ishára)
Injíl I Muqaddas: (Lúqá) Luke 1:39-56
(Muqaddasa Mariyam
khidmat ká a‘lá namúna)
No comments:
Post a Comment