Friday, 30 November 2012

2nd Dec 2012, 1st Sunday of Advent C


Ámad Ká Pahlá Itwár C


khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 24: 1-3
Ai mere Khudá, merá ásrá tú hí hai,
merá bharosa tujh hí par hai.
Mujhe sharminda na hone de
mere dushman merí hansí na uṛáen,
balki koí bhí muntazir pareshán na ho.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq Khudá
Apne múminon ko yih pukhta iráda ‘atá kar
Ki ánewále Masíh ká istiqbál apne nek kámon se karen
Ek din un men gine jákar jo us kí dahiní jánib khaṛe hain
Aur ásmání mírás páen.
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Yr. C
Readings
Pahlí Tiláwat: (Irmiyá) Jeremiah 33:14-16
Khudawand ká farmán hai Main Dáúd ke liye ek sádiq konpal paidá karún

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 24:4-5,8-9,10,14  Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Main terí taraf apní ján uṭhátá hún, ai Khudáwand

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Tassáluníkíon Ke Nám) 1 Thessalonians 3:12-4:2
Jab Masíh áe to Khudáwand tumháre dilon ko pákízagí men mazbút kare

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Zabúr) Ps 84:8
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand apní shafaqat ham ko dikhá
Aur apní naját hamen bakhsh
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 21:25-28, 34-36
Tumhárí mukhlasí qaríb hai

Us waqt Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá súraj aur chánd aur sitáron men nishán záhir honge, aur zamín par qaumon ko azíyat pahunche gí. Kyúnki wuh samundar aur us kí lahron ke shor se ghabrá jaengí. Aur daṛ ke máre aur zamín par kyá wáqi‘ hogá ádamíon kí ján  men ján na rahegí. Is liye ki ásmán kí quwwaten híláí jáengí́. Aur tab Ibn i Insán ko bádal men baṛí qudrat aur jalál ke sáth átá dekhenge.
Aur yih báten hone lagen to nazar uṭhá kar sir buland karo. Is liye ki tumhárí mukhlasí qaríb hai. Pas apne áp ko sambhálo. Aisá na ho ki tumháre dil aiyáshí aur nasha-bází aur is zindagí ke fikron se sust  hon, aur wuh din tum par phande kí tarah nágahán á paṛe. Kyúnki wuh rúe zamín ke tamám báshindon par á paṛegá. Is wáste jágte raho, aur har waqt du‘á karte raho táki tum in sab chízon se jo honewálí hain bach jáne ke aur Ibn i Insán ke sámne khaṛe hone ke láiq ṭharo.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Hamáre in nazránon ko qabúl kar
Jo ham tujh hí se páí huí nai‘maton men se terí nazr karte hain
Jo kuchh ham is jahán men ‘aqídat ke sáth katre hain
Wuh hamen terí dáimí naját ka in‘ám diláe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Ps 84: 13
Khudáwand hamen khush halí ‘atá karegá aur hamárí sar-zamín phal paidá karegí


Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Yih ‘ibádat hamen terá kháss fazl diláe
Is men sharík hone se ham par yih roshan ho
Ki kis tarah is fání dunyá men rahte húe bhí
hamáre dil ghair-fání jahán par lage rahen
Aur ham ásmání chízon ko ziyáda ‘aziz jánen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment