Sál ke daurán ikattíswán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 37:22-23
Ai Khudáwand mujhe na chhoṛ,
Ai mere Khudá mujh se dúr na rah,
Ai Khudáwand, ai merí naját, merí madad ke liye jaldí
kar.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur rahím Khudá
Tú hí ‘ináyat kar ke apne ímándáron ko yih bakhshtá
hai
Ki wuh wájib taur par
Díndárí ke sáth khidmat karen
Hamen yih taufíq ‘atá kar ṭhokar kháe baghair aise chalen
Ki sahíh salámat us maqám ko pahunchen
Jis ká tú ne wa‘da kiyá hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tasniyah Shara‘ kí kitáb) Deuteronomy 6:2-6
Sun ai Isráíl, tú Khudáwand apne Khudá ko apne sáre
dil se piyár karná.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 17:2-4, 47, 51 Jamá‘ati jawáb áyat:2
Ai Khudáwand merí quwwat, main tujhe piyár kartá
hún.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon Ke
Nám) Hebrews 7:23-28
Chúnki wuh dáiman qáim hai Masíh kí kahánat lázawál hai.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
(Gospel Acclamation)
Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
OR
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 14:23
Hallelujah Hallelujah
Agar koí mujhe piyár kartá hai to wuh mere kalám par ‘amal karegá
aur merá Báp bhí use piyár karegá
aur ham us ke pás áenge.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 12:28-34
Yih pahlá hukm hai, dúsrá isí kí mánind hai.
Injíl
I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘atá kar ki yih qurbání tere liye ek be‘aib hadiyah ho
Aur ki hamen is se
Tere rahm o karam kí pák bakhshish hásil ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 15:11
Ai Khudáwand, tú mujh ko zindagi kí ráh batáegá,
níz apne huzúr men khushí kí bhar-púrí aur apne
dahine háth par dáimí sarúr diláegá.
OR
(Yúhanná) John 6:58
Khudáwand farmátá hai ki jis tarah Báp ne jo zinda hai mujhe bhejá,
aur main Báp se zinda hún,
usí tarah wuh bhí jo mujhe khátá hai
mujh se zinda rahegá.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Ham men apne fazl kí tahrík baṛhá
Táki ham ásmání ziyáfat men
Sharík ko har ásúda hon
Aur terí mihrbaní se wa‘da kiye gaye sawáb ko
Hásil karne ke qábil ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment