Sál ke daurán
chauntíswán Itwár (B)
Hamáre Khudáwand
Yisú‘ Masíh kul káinát ke Bádsháh kí ‘Id
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Mukáshafa) Revelation 5:12;
1:6
Barra jo zabah kiyá gayá hai wuh is láiq hai ki
qudrat, daulat, hikmat, aur ‘izzat níz tamjíd aur hamd páe.
Abadu’l ábád tak jalál aur bádsháhí usí kí hai
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Dániál nabí kí kitáb) Daniel 7:13-14
Us kí hukúmat ká lá-zawál hukúmat hogí
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr:
Psalm 92:1-2, 5 Jamá‘ati jawáb áyat:1
Khudáwand Bádsháh hai, wuh hashmat se mulabbas hai.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl ká Mukáshafa) Apocalypse 1:5-8
Sháhán-i ‘álam ká sardár, us ne hamen Khudá aur báp
ke liye bádsháhí aur káhin baná diyá
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
(Gospel Acclamation)
Hallelujah: Mk11:10
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke nám se átá hai
Mubárak hai hamáre báp Dáúd kí bádsháhí jo átí hai
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl ke mutábiq) John 18:33-37
Tú khúd kahtá hai ki main bádsháh hún
Us waqt Pílátus qil‘e men dákhil húá, aur Yisú‘ ko
bulá kar us se kahá: Kyá tú Yahúdíon ká bádsháh hai? Yisú‘ ne
jawáb diyá ki tú yih bát áp hí kahtá hai, yá ki auron ne mere
haqq men tujh se kahí? Pílátus ne jawáb diyá, Kyá main
Yahúdí hún? Terí hi, qaum aur sardár káhinon ne tujh ko
mere hawále kiyá hai: tú ne kyá kiyá hai? Yisú‘ ne jawáb diyá ki merí
bádsháhí is dunyá kí nahín. Agar merí bádsháhí is dunyá kí
hotí to mere khádim laṛáí karte, táki main Yahúdíon
ke hawále na kiyá játá, magar merí bádsháhí yahán kí nahín.
Tab Pílátus ne us se kahá: kyá tú bádsháh hai? Yisú‘ ne jawáb diyá
tú khud kahtá hai, ki main bádsháh hún. Main is
liye paidá húá, aur is wáste dunyá men áyá hún, ki haqq
kí gawáhí dún. Jo koí haqq ká hai, wuh merí áwáz suntá hai.
Injíl
I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish
ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 28: 10-11
Khudáwand
Bádsháh hokar abad tak takhtnishíní karegá
Khudáwand apní
ummat ko salámatí kí barakat ‘atá farmáegá.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment