Wednesday, 5 December 2012

8 Dec 2012, Immaculate Conception


Muqaddasa Mariyam Kunwárí Be-dágh Haml Men Liyá Jáná

Auwal darja kí ‘Íd

 (Muqaddasa Mariyam ká apní mán ke batn men be-dágh liye jáne kí ‘Íd)

khilah (Entrance Antiphon): (Isha‘yá) Is 61:10
Main Khudáwand men niháyat shádmán hún
aur merí ján mere Khudáwand men khush ho
kyúnki us ne mujhe us dulhan kí tarah jo apne zewarát se árásta ho,
naját kí poshák se mulabbas kiyá aur sadáqat ká jubbah mujhe pahináyá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat mihrbán Khudá
Terí azlí taqdír se terá Kalma
Insán ban kar maut sahne ko thá
Usí taqdír ke mutábiq aur usí maut ke zarí‘e
Muqaddasa Mariyam kí fitrat
Gunáh ke har dágh se barí ho kar hastí men áí
Táki tere Beṭe ke liye ek láiq maskan ho
Ham tujh se minnat karte hain
Bakhsh de ki ham us kí mádar-ána sifárishon kí ba-daulat
Pák ho kar tere pás á saken.
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Takwín) Genesis 3:9-15, 20
Main tumhen ek dúsre ká dushman banáúngá; terí nasl aur ‘aurat kí nasl.

Zabúr: Psalm 97:1-4 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
(Jamá‘ati jawáb) Khudáwand ke liye nayá gít gáo kyúnki us ne ta‘ajjúb-angez kám kiye hain.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 1: 3-6, 11-12
Biná e ‘álam se peshtar us ne hamen chuná

Hallelujah: Lk 1:28
Hallelujah Hallelujah 
Salám ai Mariyam puṛ fazl, Khudáwand tere sáth hai
Tú ‘auraton men mubárak hai
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Lúqá mutábiq) Luke 1:26-38
Khush ho, ai puṛ fazl, Khudáwand tere sáth hai

Aur chhaṭe mahíne Jibráíl firishta Khudá kí taraf se Jalíl ke ek shahr men bhejá gayá jis ká nám Násarat thá, Dáúd ke gharáne kí ek kunwárí ke pás jo Yúsuf námí ek mard se biyáhí húí thí; aur us kunwárí ká nám Mariyam thá. Aur firishte ne us ke pás á kar kahá; Salám ai puṛ fazl, Khudáwand tere sáth hai, tú ‘auraton men mubárak hai. Aur wuh is kalám se ghabrá gayí aur sochne lagí ki yih kaisá salám hai? Aur firishte ne us se kahá; Ai Mariyam na ḍar kyúnki tú ne Khudá ke nazdík fazl páyá hai, aur dekh tú hámila hogí, aur tere beṭá hogá; aur tú us ká nám YISÚ‘ rakhegí. Wuh buzurg hogá aur Haq Ta‘álá ká Beṭá kahláegá, aur Khudáwand Khudá us ke báp Dáúd ká takht use degá, aur wuh Ya‘qúb ke gharáne men hamesha tak bádsháhí karegá us kí bádsháhí ká ákhir na hogá, tab Mariyam ne firishte se kahá, yih kis tarah hogá, jab ki main mard se náwáqif hún. Aur firishte ne jawáb men us se kahá, Rúhu’l Quds tujh par názil hogá, aur Haq Ta‘álá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh Quddús maulúd Khudá ká Beṭá kahláegá. Aur dekh terí rishtadár Ilísábát ke bhí buṛhápe men beṭá honewálá hai; aur yih us ká jo bánjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai. Kyúnki Khudá kí koí bát hargiz be-qudrat na hogí. Aur Mariyam ne kahá, dekh main Khudáwand kí bandí hún; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho. Tab firishta us ke pás se chalá gayá.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham Muqaddasa Mariyam Kunwárí kí ma‘súmíyat kí ‘Íd ke mauqa‘ par
naját kí qurbání terí nazar karte hain
ise apne karam se qabúl farmá kar bakhsh de
ki jis tarah wuh tere fazl se
gunáh ke har dágh se barí rahí
ham apne ímán se apne ‘aqídah ke is mas’alah ko taslím kar ke
mubárak mán Mariyam kí shafá‘at par
usí tarah har gunáh aur har qusúr se barí kiye jáen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Ai Mariyam tere haq men fakhr kí báten sunáí detí hain
Kyúnki sadáqat ká súraj Masíh hamárá Khudáwand tujh hí se tulú‘ húá.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Kásh ham pák sharákat le kar us gunáh ke zakhm ká ‘iláj páen
Jis se tú ne hairán kan taríqe se Muqaddasa Mariyam ko
Us ke hastí men áne se pahle hí barí rakhá thá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

….
From the Catechism of the Catholic Church

The Immaculate Conception
490 To become the mother of the Saviour, Mary "was enriched by God with gifts appropriate to such a role." The angel Gabriel at the moment of the annunciation salutes her as "full of grace". In fact, in order for Mary to be able to give the free assent of her faith to the announcement of her vocation, it was necessary that she be wholly borne by God's grace.

491 Through the centuries the Church has become ever more aware that Mary, "full of grace" through God, was redeemed from the moment of her conception. That is what the dogma of the Immaculate Conception confesses, as Pope Pius IX proclaimed in 1854:

The most Blessed Virgin Mary was, from the first moment of her conception, by a singular grace and privilege of almighty God and by virtue of the merits of Jesus Christ, Saviour of the human race, preserved immune from all stain of original sin.

492 The "splendour of an entirely unique holiness" by which Mary is "enriched from the first instant of her conception" comes wholly from Christ: she is "redeemed, in a more exalted fashion, by reason of the merits of her Son". The Father blessed Mary more than any other created person "in Christ with every spiritual blessing in the heavenly places" and chose her "in Christ before the foundation of the world, to be holy and blameless before him in love".

493 The Fathers of the Eastern tradition call the Mother of God "the All-Holy" (Panagia), and celebrate her as "free from any stain of sin, as though fashioned by the Holy Spirit and formed as a new creature". By the grace of God Mary remained free of every personal sin her whole life long.

For more info:
Check out Aquinas on the Immaculate Conception by Jimmy Akin here
Why Is the Immaculate Conception Important? By Jimmy Akin here
See what the Early Church Fathers have to say here

Learn more here
For The Immaculate Conception. Ineffabilis Deus. Apostolic Constitution issued by Pope Pius IX on December 8, 1854 click here


The Immaculate Conception: The Common Thread by Mark Shea click here

Books: 
Books by Mark Shea


Audio:
CD Sets by Tim Staples

No comments:

Post a Comment