Ámad Ká Tísrá
Itwár C
Gaudete Sunday
Dákhilah (Entrance
Antiphon):( Filippíon) Phil
4: 4-5
Khudáwand men
khushí karo,
dobárah kahtá hún khushí karo.
Kyúnki Khudáwand nazdík hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
Tú dekhtá hai ki ham tere log dil-o-jan se
Apne Khudáwand ki, paidáish ke din kí taiyáríyán
kar rahen hain
Hamárí ‘ájizánah du‘á hai ki hamen yih fazl bakhsh
Ki ham apne ‘azím naját dahinda kí ‘íd
Baṛe shauq aur nek iráde, pur-josh du‘á aur dilí shádmání se
maná saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Safaniyáh) Zephaniah
3:14-18
Wuh terí khátir shádmán ho kar goyá raqs karegá
Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Canticle: (Isha‘yá) Isaiah 12:2-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
(Jamá‘ati jawáb) Khushí se
lalkáro, kyúnki Isráíl ká Quddús ‘Azím tumháre darmiyán hai.
Dusrí Tiláwat: (Muqaddas
Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon Ke Nám) Philippians 4:4-7
Khudáwand bahut hí nazdík hai
Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: Is61:1(Lk4:18)
Hallelujah Hallelujah
Rúh-e Khudáwand mujh par hai
Us ne mujhe bhejá hai ki miskínon ko khushkhabrí
dún.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 3:10-18
Phir ham kyá karen?
Us waqt logon ne Yúhnná se yih púchhá ki phir kyá karen? Us ne jawáb men un se kahá, ki jis
ke pás do kurte hon, wuh us ko banṭ de jis ke pás na ho, aur jis ke
pás kháne kí chízen hon wuh
bhí aisá h́i kare. Aur mohssil
bhí baptisma lene ko áe, aur us se kahá, ki Ai ustád, ham kyá karen? Us ne un se kahá; Jo tumháre liye muqarrar
hai, us se ziyáda na lo. Aur sipáhíon ne bhí us se yih kah kar
púchhá, ki ham kyá karen? Us ne un se kahá ; Na kisí par zulm karo
na kisí se náhaqq kuchh lo, aur apní tankhwáh par iktifá karo.
Aur Jab logon ko baṛí ummed hone lagí aur sab apne apne
dil menYúhanná kí bábat
sochne lage ki sháyad yih hí Al-Masíh hai, to Yúhanná ne jawáb men
kahá; ki Main tumhen pání se baptisma detá hún, magar
mujh se ek qawí-tar ánewálá jis kí jútí ká tasma main kholne ke
láiq nahín. wuh tumhen Rúhu’l Quds aur ág se baptisma degá. Us ká chháj us ke
háth men hai aur wuh apne khaliyán ko khúb saf karegá, aur
gehúon ko apne khatte men jama‘ karegá aur bhúse ko us ág men
jaláegá jo bujhtí nahín. Aur nasíhat kí bahut sí baten
karke logon ko khushkhabarí detá rahá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní kalísiyá ko yih bakhsh de
Ki múminon kí ‘aqídat kí qurbání lagátar terí nazr
kí játí rahe
Táki ham sab terí ‘ibádat aur sitáish karen
Aur terí naját ham men mukammal taur par asar páe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. Is 35: 4
Kam himmaton se kah do ki hausalah karen aur na
ghabráen
Kyúnki hamárá Khudáwand áne ko hai. Jo hamen
naját degá
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand , Hamáre Khudá
Terí rahmat ke liye ham tuj se iltijá karte hain
Bakhsh de ki is ‘ibádat kí madad se
Ham gunáhon par pashímán hon
Aur is tarah ánewálí ‘íd kí sanjídagí ke sáth taiyárí
karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms
of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment