Friday, 7 December 2012

9 Dec 2012, 2nd Sunday of Advent


Ámad Ká Dúsrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Isha‘yá) Is 30: 19, 30
Ai chuní húí qaum dekh,
Khudáwand qaumon ko bacháne áegá.
Us kí jalálí áwáz sun kar tumháre dil khushí se bharpúr hon.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur rahím Khudá
Ham tere beṭe ko khush ámdíd kahne ke liye be-qarár hain
Bakhsh de ki dunyawí fikr aur masrúfíyat
Hamen is kám se hargiz na roken.
Balki ásmání sachcháíon kí ta‘lím hamen Masíh ká sachchá shágird baná de.
Jo tere sáth Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat: (Bárúk) Baruch 5:1-9
Khudá terí shán-o-shaukat tamám aqwám ko dekháná cháhtá hai.

Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 125:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb): Khudáwand ne hamáre liye ‘azím kám kiye hain.

Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon Ke Nám) Philippians 1:4-6,8-11
Masíh ke din tak sáf dil raho.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: Lk 3:4,6
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand kí ráh ko taiyár karo, us kí sháhráh ko sídhe banáo
Aur har bashar Khudá kí naját dekhegá
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Lúqá mutábiq) Luke 3:1-6
Har bashar Khudá kí naját dekhegá

Us waqt Tibiryus Qaisar kí hukúmat ke pandrahwen baras jab Pantús Pílátús Yahúdiya ká wálí thá, aur Herodís Jalíl ká ra’ís-i rub‘, aur us ká bháí Failbús Itúríyah aur Tarákonítís ke ‘iláqe ká ra’ís-i rub‘, aur Líasníús Abilena ká ra’ís-i rub‘. Káhin-i a‘zam Hannán aur Qiyáfá ke waqt Khudá ká kalám biyábán men Zakariyáh ke beṭe Yúhanná ko pahunchá, aur  wuh Yurdan ke sáre girdnawáh men jákar gunáhon kí mu‘áfí ke liye tauba ke liye baptisma kí manádí karne lagá. Jaisá Isha‘yá nabí ke aqwál náme men likhá hai ki

Pukárnewále kí áwáz, biyábán men
Khudáwand kí ráh taiyár karo.
Us kí sháhrah ko sídhá banáo
Har ek ghár bhar jáegá
Aur har ek paháṛ aur ṭílá past kiyá jáegá
Jo ṭeṛhá hai wuh sídhá
Aur jo rásta ná-ham-wár hai wuh ham-wár benegá
Aur har bashar Khudá kí naját dekhegá

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham khák-sáron kí du‘áen aur nazren qabúl kar ke ham se rází ho
Aur chúnki ham men koí kháss fazílat maujúd nahín.
Tú apní shafqat aur mihrbání se hamárí madad ko á
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Bar 5: 5; 4: 36
Ai Yarúshalem uṭh, aur buland jagah par khaṛe hokar
us khushí ko dekh, jo Khudá kí taraf se tere liye á rahí hai

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand , Hamáre Khudá
Tú ne hamen rúhání khurák khilá kar, hamárí khwáhish púrí kar dí hai
Ham tujh se minnat karte hain
Is Pák ‘ibádat men sharík hone se hamen sikhá
Ki ham jahán kí chízon ko ‘aqlmandí ke sáth jánch len
Aur ásmán kí chízon kí tamanná karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment