Saturday, 5 May 2012

Sunday 6 May 2012 Fifth Easter Sunday


Páshká ká páchwán Itwár

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 97: 1-2
Khudáwand ke liye nayá gít gáo
 kyúnki us ne ‘ajíb kám kiye hain.
Us ne ghair qaumon ke rú ba rú apná ‘adl záhir kiyá hai.
Hallelujah

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 9:26-31
Barnabás ne bayán kiyá ki kis tarah ráh men Khudáwand sháúl par záhir húá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm Psalm 21:26-28,30-32 Jamá‘ati jawáb áyat: 26
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand baṛe majma‘ men terí saná-khwání kartá hún
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1 John 3:18-24
Us ke hukm yih hain ki ham us Beṭe par ímán láen aur ki ham ápas men mahabbat rakkhen.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn15:4-5
Hallelujah, Hallelujah,
Jaise main tum men qáim hún tum mujh men qáim raho, jo mujh men rahtá hai, wuh bahut phal láegá.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 15:1-8
Jo mujh men qáim rahtá hai aur main us men, wuh bahut phal látá hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 15: 1, 5
Khudáwand farmátá hai: haqíqí ták mainn, tum ḍáliyán ho, jo mujh men rahtá hai aur  main us men, wuh bahut phal látá hai. Hallelujah
 ------

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here 

For Commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page here and the podcast 'I am the vine': A look at John 15 and Eucharistic echoes here

More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment